Location via proxy:   [ UP ]  
[Report a bug]   [Manage cookies]                

Raah Dekhi Thi Is Din Ki Kabse, Aage Ke Sapne Saja Rakhe The Naajane Kab Se. Bade Utavle The Yahaan Se Jaane Ko

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

WO~L@MH farewell ki is suhaani shaam aur mere pyare senior's ke naam maine likhi hai ye 4 panktiya is ummeed ke saath

ki yaha baithe har kisi ke dil ko chu jaaye meri ye baat {"Kabhi kabhi zindagi ke kuch pal itne khas ban jate hai ki wo humse hamesha ke liye jud jate hai aur na chahte huye bhi wo humse dur chale jaate hai ,phir kuch yaadien is zehan me is kadar sama jati hai ki zindagi ke har mod par wo lamhe yaad aate hai"} Wo lamhe jo meri zindagi ke anmol pal ban gaye, Wo lamhe jo mere gujre huye kal ban gaye, Kaash in lamho ko mai phir se ji pata, Wo lamhe jo meri nam aankho ke jal ban gaye. Aankho me sapne aur dil me armaan liye, ek safar me chal pade bina kisi ka saath liye, Raaste me kuch naye chehro se mulakaat ho gayi, Phir to wo aise dost bane jaise ek rishta ho umar bhar ke liye. Wo lamhe jo mujhe chahne wale mere dost de gaye, Wo lamhe jo na bhula pane waale kuch log de gaye. Is safar ki shuruaat hamne saath ki thi, Jaan se pyare yaaro ke saath kitni saari baat ki thi, Zindagi ke un palo ko bhi hamne saath jiya tha, Jin palo ne khushi aur gam dono se mulakaat ki thi. Wo lamhe jo ab laut ke nahi aa sakte, Wo lamhe jaha hum chaah ke bhi nahi ja sakte. Apne yaaro ke dil ki baat hum bina kahe jaan lete the, Kaun pasand hai kisko ye thode se jhagde ke baad hum maan lete the, Canteen aur cafe ki partiya to roz hua karti thi, Kubsurat ladkiyo ko call kar, na jaane kitne naam liya karte the. Wo lamhe jo ek dhundhali yaad ban gaye, Wo lamhe jo ek yaadgar kitab ban gaye. College aane ka man nahi phir bhi college aaya karte the, Kuch logo ko gf aur bakiyo ko teacher bulaya karte the, exam dene ki to jaise aadat si ho gayi thi, Phir result dekh ke kuch rote to kuch muskuraya karte the. Ajeeb the ye lamhe jisme hum hase bhi aur roye bhi, Ajeeb the ye lamhe jisme kuch paye bhi aur kuch khoye bhi. In lamho ko ek yaad bana ke apne saath le jaunga, In lamho ki daastan phir kise sunaunga, kyoki............ kya in lamho ko mai phir se ji paunga? kya aise mahaul me mai phir se wapas aa paunga? Kya ye kavita is stage pe mai phir se suna paunga? Mai janta hu iska jawab to naa hi hoga, kyoki likhi hui kitab ko mai phir se kora kaise kar paunga. Bas in lamho ko apne dil me basa lunga, Aur jab yaad aayegi aap sabki to nam aankho ke saath muskura lunga. Ashu hai mera naam aur ye tha mere senior's ke liye ek chota sa paigaam.

Raah dekhi thi is din ki kabse, Aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se. Bade utavle the yahaan se jaane ko ,

Zindagi ka agla padaav paane ko . Par naa jane kyon Dil mein aaj kuch aur aata hai, Waqt ko rokne ka jee chahta hai. Jin baton ko lekar rote the Aaj un par hansi aati hai , Na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai . Kaha karte the Badi mushkil se char saal seh gaya, Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya. Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi, Yaadien jo ab jeene ka sahara ban gayi. Meri taang ab kaun kheencha karega , Sirf mera sir khane kaun mera peecha karega. Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega, Kaun raat bhar saath jag kar padega , KAUN MERI gaadi mujse pooche bina lejayega , Kaun mere naye naye naam banayega. Mein ab bina matlab kis se ladoonga, Bina topic ke kisse faalto baat karoonga , Kaun fail hone par dilasa dilayega, Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega . Tapri mein Chai kis ke saath piyoonga , Wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga, Aise dost kahaan milenge Jo khai mein bhi dhakka de aayein, Par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein. Mere gaano se pareshaan kaun hoga , Kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga , Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai , Kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai . Movies mein kiske saath dekhhonga, Kis ke saath boring lectures jheloonga ,

Bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega. Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna, Na jaane ye fir kab hoga . Doston ke liye professor se kab lad payenge , Kya hum ye fir kar payenge, Raat ko 2 baje poha khane station kaun jayega , Tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega .

Kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega, Aur jyada hawa mein udne par zameen pe layege , Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga , Mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga KEH DO DOSTON YE DOBAARA KAB HOGA

You might also like