Location via proxy:   [ UP ]  
[Report a bug]   [Manage cookies]                
0% found this document useful (0 votes)
248 views

Sri Sri Satya Narayan Ji Vrat Katha: Posted by Sanjay - 2007/06/04 05:46

1. The document describes the ritual and benefits of performing the Shri Satyanarayan Vrat (fasting ritual) according to Hindu scriptures. It involves worshipping Shri Satyanarayan through prayer and offerings on full moon nights. 2. Several stories are told of people who performed the vrat and received blessings like wealth, children and liberation from suffering as a result. This includes a poor Brahmin, a woodseller, and a merchant named Sadhu. 3. Performing the vrat with devotion is said to fulfill all desires and lead to moksha or liberation from the cycle of rebirth according to the teachings.

Uploaded by

swaraj1809
Copyright
© Attribution Non-Commercial (BY-NC)
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
248 views

Sri Sri Satya Narayan Ji Vrat Katha: Posted by Sanjay - 2007/06/04 05:46

1. The document describes the ritual and benefits of performing the Shri Satyanarayan Vrat (fasting ritual) according to Hindu scriptures. It involves worshipping Shri Satyanarayan through prayer and offerings on full moon nights. 2. Several stories are told of people who performed the vrat and received blessings like wealth, children and liberation from suffering as a result. This includes a poor Brahmin, a woodseller, and a merchant named Sadhu. 3. Performing the vrat with devotion is said to fulfill all desires and lead to moksha or liberation from the cycle of rebirth according to the teachings.

Uploaded by

swaraj1809
Copyright
© Attribution Non-Commercial (BY-NC)
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 6

Sri Sri Satya Narayan ji Vrat Katha

Posted by Sanjay - 2007/06/04 05:46


_____________________________________

This may be done on any day but for best results try on Poornima or Full moon eve also known as Pooranmasi to us
Hindus.

Shri Satyanarayan Vrat Katha

Poojan Samagri

Kele ke khambey, kalash, paanch Ratan, chawal, dhoop, pushpo ki maala, ang vastra, naivaidya, aam ke pattey, vastra,
sone ki pratima, kaafoor, gulab ke phool, deep, tulsi, paan, panchamrit ( shakar, dahi, ghee, shahad, tulsi ka patta ),
prasad –aatey, ghee aur shakar se bana

Poojan Vidhi

Vrat karney wala purnima, sankrant ya ekadasi ke din, sham ko snan adi se nivrit hokar, puja sthaan mein aasan par
baitkar aur Shri Ganesh, Gauri, Varun, Vishnu adi Nav Devtaun ka dhyan karke, pujan karey aur sankalp karey ki mein
Shri Satyanarayan Swami ka pujan tatha shravan sadaiva karoonga. Pushp haathon mein lekar, Shri Satyanarayan
Swami ka dhyan karey. Pushp, dhoop, deep, naivaidya adi se yukt hokar stuti karey. ‘Hey Bhagwan, mainey shrada
poorvak phal, jal, adi sab samagri aapko arpan ki hai; isey sweekar keejiye. Aapdaon se meri raksha keejiye. Mera
aapko baarambar namaskar hai. Iske baad Shri Satyanarayan ki katha padey athwa shravan karey.

Shri Satyanarayan Vrat Katha

Pahla Adhyaya

Ek Samay Nem Sharanya Tirth mein Saunik Adi Athaasi Hazaar Rishyo ne Shri Sutji se poocha –”Hey Prabhu, Is Kalyug
mein Vaid-Vidya rahit manushyo ko prabhu bhakti kis prakar milaygi tatha unka udhar kaisey hoga? Isliye hey muni
shreshta, koi aisa tap kahiye jis se thodey samay mein punya prapt ho tatha mano vanchit fal miley.”

Sarvashastra ghyata Shri Sutji boley, “Hey Vaishnavo mein pujya - aap sab ne sarva praniyo ke hit ki baat poochi hai. Ab
mein us shreshta vrat ko aap logo mein kahoonga, jis vrat ko Narad ji ne LakshmiNarayan se poocha tha aur Shri
LakshmiPati ne Muni Shreshta Narad se kaha tha –so dhyan se suniye.

Ek samay, Yogiraj Narad ji doosro ke hit ki ichcha se, anek lokon mein ghoomtey huey mrityulok mein aa pahunchey.
Vahan bahut yoniyon mein janmey huey praya sabhi manushyon ko apne karmo ke dwara anek dukho se peedit dhek
kar kis yatna ke karney se nischay hi inkey dukho ka nash ho sakega, aisa man mein sochkar Vishnulok ko gaye. Vahan
shwet varna aur char bhujaon wale devon ke eersh Narayan ko (jinkey haaton mein shanka, chakra, gada aur padma
they, tatha vanmala pahney huey they) dekhkar stuti karney lagey. “Hey Bhagwan, aap atyant shakti se samparn hai.
Man tatha vani bhi aapko nahi pa sakti, aapka aadi, madhya aur ant nahin hai, nirgun swaroop shrishti ke aadi bhoot va
bhakto ke dukho ko nasht karney wale hai. Aapko mera namaskar hai.”

Naradji se is prakaar stuti sunkar Vishnu Bhagwan boley ki “Hey Munishreshta - Aapke man mein kya hai? Aapka yahan
kis kaam ke liye aagman hua hai? Nisankoj kaho.” Tab Naradmuni boley, “Mrityu lok mein sab manushya jo anek yoniyo
mein paida huey hai, apne apne karmo ke dwara anek prakaar ke dukho se dukhi ho rahey hai. Hey Nath muj par daya
rakhtey hai to batlaeay ki un manushyo ke sab dukh thodey se hi prayatna se kaisey door ho saktey hai?” Shri Vishnu
Bhagwanji boley ki “Hey Narad, Manushyo ki bhalai ke liye tumne yeh bahut achchi baat poochi. Jis kaam ke karney se
manushya moh se choot jaata hai, vah mein kehta hoo suno. Bahut punya ka deney wala, swarg tatha manushya lok
dono mein durlab ek vrat hai. Aaj mein premvash hokar tumse kehta hoo. Shri Satyanarayanji ka vrat achchi tarah
vidhan purvak karke manushya turant hi yahan sukh bhogkar marne par moksh ko prapt hota hai.”

Shri Vishnu Bhagwan ke vachan sunkar Narad ji ne poocha ki us vrat ka kya fal hai, kya vidhan hai, aur kisne yeh vrat
kiya hai aur kis din yeh vrat karna chahiye, kripa karke vistaar se bataiye. Shri Vishnu Bhagwan boley, “Dukh shok aadi
ko door karne wala, dhan dhanya ko badane wala, saubhagya tatha santaan ko dene wala, sab sthano par vijaye karne
wala, Shri Satyanarayan Swami hai. Bhakti aur shradha ke saat kisi bhi din, manushya Shri Satyanarayan ki sham ke
samay, Brahmano aur bandhuo ke saath dharmaparayan hokar puja karey, bhakti bhav se savaya prasad de. Gehu ke
abhaav mein saathi ka churan, shakar tatha gud le aur sabh bhakshan yogya padarath jama karke savaye arpan kar
devey tatha bandhuo sahit bhojan karavey. Bhakti ke saath swayam bhojan karey. Nritya aadi ka aachran kar Shri
Satyanarayan Bhagwan ka smaran kar samast samai vyateet karey. Is tarah ka vrat karney par manushyo ki ichcha
Indians in Thailand-Forum - Indians in Thailand Joomlaboard Forum Component version: 1.1.2 Stable Generated: 15 February, 2011, 00:50
nischay hi poori hoti hai. Vishesh kar kal kaal mein bhoomi par yahi moksh ka saral upaya hai.

Doosra Adhyaya

Sutji boley “Hey Rishyo! Jisne pehle samay mein is vrat ko kiya hai uska itihaas kehta hoo, dhyan se suno.” Sunder
Kashipuri nagari mein ek ati nirdhan Brahman rehta tha. Vah bookh aur pyaas se bechain hua nitya hi prithvi par ghumta
tha. Brahmano ko prem karne wale Bhagwan ne Brahman ko dukhi dekhkar, boodey Brahman ka roop dhar uske paas
jaakar aadar ke saath poocha, “Hey Vipra! Tu nitya dukhi hua prithvi par kyo ghumta hai? Hey shreshta Brahman! Yeh
sab mujse kaho, mein sunana chahata hoo.” Brahman bola “Mein nirdhan Brahman hoo, biksha ke liye prithvi par firta
hoo. Hey Bhagwan, yadi aap iska upaya jaante ho to kripa karke batao.” Vridh Brahman bola ki Satyanarayan Bhagwan
manovanchit fal ko dene wala hai. Isliye hey Brahman tu unka pujan kar, jiske karne se manushya sab dukho se mukt
hota hai. Brahman ko vrat ka vidhan batakar budey Brahman ka roop dharan karne wale Satyanarayan Bhagwan
antardhyan ho gaye. Jis vrat ko vridh Brahman ne batlaya hai, mein usko karoonga. Yeh nischay karne par usey raat
mein neend bhi nahi aayi. Vah saverey utha. Shri Satyanarayan ke vrat ke nischay kar biksha ke liye chala. Us din usko
biksha mein bahut sa dhan mila jis se bandhu-baandhavo ke saath usne Shri Satyanarayan ka vrat kiya. Iske karne se
vah brahman dukho se chutkar anek prakaar ki sampatiyo se yukt hua. Us samay se vah Brahman har maas vrat karne
laga. Is tarah Satyanarayan Bhagwan ke is vrat ko jo karega vah sab papo se chutkar mauksh ko prapt hoga. Aagey jo
prithvi par Satyanarayan vrat karega, vah manushya sab dukho se chut jayega. Is tarah Naradji ne Shri Narayan ka kaha
hua yeh vrat tumse kaha. Hey Vipro! Mein ab aur kya kahu? Rishi boley “Hey Munishwaro! Sansar mein is Brahman se
sunkar kis kis ne is vrat ko kiya, hum vah sab sunana chahatey hain. Iske liye humarey man mein shradha hai. Sutji
boley “Hey Muniyo! Jis Jisne us vrat ko kiya hai vah sab suno. Ek samay vah Brahman, dhan aur aishwarya ke anusaar
bandhu-baandhavo ke saath vrat karne ko tayar hua. Usi samay ek lakdi bechney wala ek buda aaya aur bahar lakadiyo
ko rakhkar Brahman ke makan mein gaya. Pyaas se dukhi lakadharey ne Brahman ko vrat kartey dekhkar namaskar
karkey poochney laga ki aap yeh kya kar rahey hai aur iskey karney se kya fal milta hai? Kripa karkey mujse kahiye.
Brahman ne kaha, “Sab manokamnao ko poora karne wala, yeh Satyanarayan ka vrat hai. Iski hi kripa se mere yahan
dhan-dhanya aadi ki vridhi hui hai.” Brahman se is vrat ke barey mein jaankar lakadhara bahut prasan hua. Charnamrit
lekar aur prasad khaney ke baad, apne ghar ko gaya.

Lakadharey ne man mein is prakaar ka sankalp kiya ki aaj gram mein lakdi bechney se jo dhan mujhe milega usi se Shri
Satyanarayan Bhagwan ka uttam mein vrat karoonga. Yeh man mein vichar kar, budha lakadhara lakadiya sar par
rakhkar Sundernagar mein gaya. Us roz vahan par usey un lakadiyo ka daam pehle dino se chauguna mila. Tab budha
lakadhara daam lekar aur ati prasan hokar pakkey kele ki fali, shakar, ghee aur dahi, gehu ka chun ityadi Satyanarayan
Bhagwan ki vrat ki kul samagriyo ko lekar apne ghar gaya. Phir usne apne sab bhaiyo ko bulakar vidhi ke saath
Bhagwan ji ka pujan aur vrat kiya. Us vrat ke prabhav se budha lakadhara dhan, putra, aadi se yukt hua aur sansar ke
samast sukh bhogkar vaikunth ko chala gaya.

Teesra Adhyaya

Sutji bole, “Hey shresta muniyo! Ab aagey ki katha kehta hoo- suno. Pehle samay mein Ulkamukh naam ka ek
budhimaan raja tha. Vah satyavakta aur jeetendra tha. Pratidin dev sthano mein jaata tatha garibo ko dhan dekar unkey
kasht door karta tha. Uski patni kamal ke samaan mukh wali aur sati sadhvi thi. Badrashila nadi ke tath par un dono ne
Satyanarayan Bhagwan ka vrat kiya. Usi samay mein vahan ek sadhu vaishya aaya. uske paas vyapaar ke liye bahut sa
dhan tha. Nav ko kinarey par thehra kar raja ke paas gaya aur raja ko vrat kartey huey dekh kar vinay ke saath poochney
laga–Hey rajan! Bhaktiyukt chit se aap kya kar rahey hai? Meri bhi sunaney ki ichcha hai. Yeh aap mujhe bataea.

Raja bola “Hey Sadhu! Apne baandhavo ke saath putradi ke prapti ke liye Mahashaktivaan Satyanarayan Bhagwan ka
vrat va pujan kiya ja raha hai.

Raja ke vachan sunkar Sadhu aadar ke saath bola, “Hey rajan! Mujko iska sabh vidhan kahiye, mein bhi aapke katha
anusar is vrat ko karoonga. Meri bhi koi santaan nahi hai aur is se nischay hi hogi. Raja se sabh vidhan sunkar, vyapaar
se nivrit hokar, aanand ke saath ghar gaya. Sadhu ne apni stri se santaan dene wale us vrat ka samachar sunaya aur
kaha ki jab meri santaan hogi tab mein is vrat ko karoonga. Sadhu ne aise vachan apni stri Lilawanti ko kahey. Kuch
samay baad, Lilawanti garbawati hui tatha dasve mahiney mein uske ek sunder kanya ka janam hua jiska naam
Kalawanti rakha gaya. Tab Lilawanti ne meethe shabdo mein apne pati se kaha ki aapne jo sankalp kiya hua tha ki
Bhagwan ka vrat karoonga, ab aap usey kariye. Sadhu bole, Hey priya! Iske vivah par karoonga. Apni patni ko
aashvaasan dekar voh nagar ko gaya. Kalawanti pitragrah mein vridhi ko prapt ho gayi. Sadhu ne jab nagar mein
sakhiyo ke saath apni putri ko dekha to turant hi doot ko bulakar kaha ki putri ke vastey koi suyogya var dekh kar laao.
Sadhu ki aagya paakar doot Kanchan Nagar pahuncha aur vahan par badi khoj kar aur dekhbhaal kar ladki ke vaastey
suyogya vanik putra ko le aaya. Us suyogya ladke ko dekh kar, Sadhu ne apne bhai-bandhuo sahit prasan-chit apni putri
ka vivah uske saath kar diya. Kintu, durbhagya se vivah ke samay bhi us vrat ko karna bhool gaya. Tab Shri Bhagwan
krodhit ho gaye aur usey shrap diya ki voh daarun dukh prapt hoga.

Apne kaam mein kushal sadhu baniya apne jaamata sahit samudra ke samip Ratanpur nagar pahuncha. Aur vahan
dono sasur jamai, Chandraketu Raja ke nagar mein pahunche aur vyapaar karney lagey. Ek roz, Bhagwan
Satyanarayan ki maya se prerit koi chor raja ka dhan churakar sheegra ja raha tha kintu peechey se raja ke dooton ko
Indians in Thailand-Forum - Indians in Thailand Joomlaboard Forum Component version: 1.1.2 Stable Generated: 15 February, 2011, 00:50
aatey dekh kar, chor ne ghabrakar bhaagtey-bhaagtey dhan ko vahin chup-chap rakh diya jahan vah dono sasur jamai
thehrey huey they. Dooton ne us sadhu vaishya ke paas raja ke dhan ko rakha dekh kar dono ko baandhkar le gaye aur
prasanta se daudtey huey raja ke samip jaakey boley, “Yeh do chor hum pakad kar laye hai, dekh kar agya de.” Raja ki
agya se unko kathin kaaravaas mein daal diya aur unka dhan raja ne cheen liya. Usi shrap dwara uski patni bhi ghar par
bahut dukhi hui aur ghar par jo dhan rakha tha chor churakar le gaye. Sharirik va mansik peeda mein bookh va pyaas se
ati dukhit ho ann ki chinta mein, Kalawanti ek Brahman ke ghar gaye. Vahan usne Satyanarayan vrat hotey dekha.
Vahan usne katha suni aur prasad grahan kar raat ko ghar aayi. Mata ne Kalawanti se kaha, “Hey putri! Din mein kahan
rahi va tere man mein kya hai?” Kalawanti boli, “Hey mata! maine ek Brahman ke ghar Satyanarayan ka vrat dekha.”
Kanya ka vachan sunkar, Lilawanti Satyanarayan Bhagwan ke pujan ki tayari karney lagi. Lilawanti ne parivar aur
bandhuo sahit Bhagwan ka pujan kiya aur yeh var maanga ki mere pati aur daamaad sheegra hi aa jaavey aur prathna ki
ki hum sab ka apraadh shama karo. Satyanarayan Bhagwan is vrat se santusht ho gaye aur Raja Chandraketu ko
swapna mein dekhayee diye aur kaha ki “Hey rajan! Dono bandhi vaishyon ko prat hi chod do aur unka sab dhan jo
tumne grahan kiya hai de do nahi to tera dhan, rajya, putradi sab nasht kar doonga.” Raja ko aisa vachan sunakar
Bhagwan antardhyan ho gaya. Prat-Kaal Raja Chandraketu ne sabha mein apna swapna sunaya aur dono vanik putro
ko kaid se mukt kar sabha mein bulaya. Dono ne aatey hi Raja ko namaskar kiya. Raja meethey vachno se boley, “Hey
Mahanubhavo! Bhagyavash aisa katheen dukh prapt hua hai, ab koi bhay nahi hai.” Aisa kahkar Raja ne unko naye-naye
vastrabushan pehnaye tatha unka jitna dhan liya tha us se duna dhan dilvakar vida kiya. Dono vaishya apne ghar ko chal
diye.

Chautha Adhyaya

Sutji boley, “Vaishya ne mangalachar karke yatra aarambh ki aur apne nagar ko chala. Unkey thodi door pahunchney par
dandi veshdhari Satyanarayanji ne un se poocha, “Hey sadhu! teri naav mein kya hai? Abhimani vaanik hasta hua bola,
“Hey dandi, aap kyon poochtey ho? Kya dhan lene ki ichcha hai? Meri naav mein to bel tatha pattey adi bharey hai.
Vaishya ka kathor vachan sunkar, Bhagwan ne kaha ki tumhara vachan satya ho. Aisa kahkar dandi vaha se chaley
gaye aur kuch door jaakar samudra ke kinarey baith gaye. Dandi ke jaaney par vaishya ne nitya kriya karne ke baad
naav ko oonchi uthi dekh achamba kiya tatha naav mein bel patradi dekh murchit ho gir pada. Phir murcha khulney par
bahut shok karne laga. Tab uska daamaad bola ki aap shok na karey, yeh dandi ka shrap hai. Aapko sharan mein
chalna chahiye tabhi hamari manokamna poori hogi. Damad ke vachan sunkar vah dandi ke paas pahuncha. Bhakti
bhav se namaskar kar bola, “Maine jo aap se asatya vachan kahey they us ko shama karo, aisa kahkar vah mahan
shokatur ho roney lagey. Dandi Bhagwan boley, “Hey vanik putra! Meri aagya se tumhe baar-baar dukh prapt hua hai. Tu
meri puja se vimukh hua hai.” Sadhu bola, “Hey Bhagwan! Aapki maya se mohit gyani aapke roop ko nahi jaantey, tab
mein agyani kaise jaan loo? Aap prasan hoiay, mein saamarth ke anusaar aapki puja karoonga. Meri raksha karo aur
pehle ke samaan, nauka mein dhan bhar do.” Un dono ke bhaktiyukt vachan sunkar Bhagwan prasan ho gaye. Uski
ichanusar var dekar antardhyan ho gaye. Tab unho ne naav par aakar dekha ki naav dhan se paripurn hai. Phir vah
Bhagwan Satyanarayan ka pujan kar saathiyo sahit apne nagar ko chala. jab vah apne nagar ke nikat pahuncha tab doot
ko ghar bheja. Doot ne sadhu ke ghar jakar, uske stri ko namaskar karke kaha ki sadhu apne daamaad sahit is nagar ke
samip aa gaye hai. Aisa vachan sunkar Lilawanti ne bade harsh ke saath Bhagwan Satyanarayan ka pujan kar putri se
kaha mein apne pati ke darshano ko jaati hoo, tu karya purna karke sheegra aana. Mata ke vachan sunkar Kalawanti
prasad chhodkar pati ke paas gaye. Prasad ki avagya ke karan Bhagwan Satyanarayan ne rusht hokar uske pati ko naav
sahit pani mein duba diya. Kalawanti apne pati ko na dekhkar roti hui zameen par gir gayi. Is tarah naav ko dooba hua
tatha kanya ko rota dekh sadhu dukhit ho bola, “Hey Prabhu! Mujse ya mere parivar se jo bhool hui usey shama karo.
Uske deen vachan sunkar Bhagwan Satyanarayan prasan ho gaye aur aakashvani hui. “Hey Sadhu! Teri kanya mere
prasad ko chhodkar aayi hai, isliye iska pati adrishya hua hai. Yadi woh ghar jaakar prasad khaakar lautey to isey pati
avashya milega. Aakashwani se aisa sunkar, Kalawanti ne ghar pahunchkar prasad khaaya. Phir us ne aakar pati ke
darshan kiye, tab vaishya parivar ke sab log prasan huey. Phir sadhu ne baandhavo sahit Bhagwan Satyanarayan ka
vidhi poorvak pujan kiya. Us din se har purnima va sankrant ko Bhagwan Satyanarayan ka pujan karne laga. Phir is lok
ka sukh bhogkar swarg ko chala gaya.

Paanchva Adhyaya

Sutji boley, “Hey Rishyo! Mein aur bhi katha kehta hoo, suno. Praja palan mein leen, Tungadhwaj naam ka raja tha. Usne
bhi Bhagwan ka prasad tyag kar bahut dookh paaya. Ek samay, vanmein ja karke pashuo ko maarkar bud ke ped ke
neechey aaya. Us ne bhaktibhav se gwalo ko baandhavo sahit Bhagwan Satyanarayan ka pujan karte dekha. Raja
dekhkar bhi, abhimaan vash na vahan gaya, na namaskar kiya. Jab gwalo ne Bhagwan ka us ke saamne prasad rakha,
to vah prasad ko tyag kar apni sunder nagri ko chala gaya. Vahan us ne apna sab kuch nasht paaya. To vah samaj gaya
ki yeh sabh kuch prasad ke niradhar ke vajai se hua hai. Tab vah, vishwas kar gwalo ke samip gaya aur vidhi poorvak
pujan kar prasad khaaya. Bhagwan Satyanarayan ki kripa se sab jaisa tha vaisa hi ho gaya. Tatha sukh bhogkar marne
par swarg lok mein gaya. Jo manushya is param durlab vrat ko karega, Bhagwan ki kripa se usey dhan dhanya ki prapti
hogi. Nirdhan dhani hota hai. Bandhi bandhan se mukt hokar nirbhay ho jaata hai. Santaanheeno ko santaan prapt hoti
hai. Sab manorath purna hokar ant mein vaikunth dham ko jaata hai. Jinhonay, pehle is vrat ko kiya hai, uske doosrey
janam ki katha kehta hoo. Vridh Shatanand Brahman ne Sudama ka janam lekar mauksh paaya. Ulkamukh naam ka raja
Dashrath hokar vaikunth ko prapt hua. Sadhu naam ke vaishya ne Mordhwaj bankar apne putra ko aare se cheerkar
moksh prapt kiya. Maharaj Tungadhwaj ne swayam-bhu hokar Bhagwan ke bhaktyukt karm kar moksh ko prapt kiya.

Indians in Thailand-Forum - Indians in Thailand Joomlaboard Forum Component version: 1.1.2 Stable Generated: 15 February, 2011, 00:50
It Shri Satyanarayan Vrat Kathayaam Panchmodhyaya Samapt.

Aarti: Shri Satyanarayan Swami

Jai Lakshmi Ramana, Swami Jai Lashmi Ramana, Satyanarayan Swami, Jan Patak Harana, Jai Lakshmi Ramana…………

Ratan Ja Rat Singhasan, Adhbut Chabee Rajey Narad Kahat Niranjan, Ghanta dhun bhajey Jai Lakshmi Ramana………….

Praghat Bhaye Kali Karan, Dwaj Ko Daras Diya Budha Brahman Bankey, Kanchan Mahal Kiya Jai Lakshmi Ramana………….

Durbal Bhil Kathier, Jan Par Kripa Karey Chandra Choor Ik Raja, Jinaki Vipat Hare Jai Lakshmi Ramana………….

Vayesh Manorath Payo, Shradha Uj Dini So Fal Bhogyo Prabhji, Fer Ustati Kini Jai Lakshmi Ramana………….

Bhav Bhagti Ke Karan, Chhin Chhin Roop Dharya Sharda Dharan Kini, Tin Ka Karj Sarya Jai Lakshmi Ramana………….

Gwal Bal Sang Raja, Ban Mein Bhagti Karey Man Vanchit Fal Dino, Deen Dayal Harey Jai Lakshmi Ramana………….

Charhat Prasad Sawayo, Kadali Fal Mewa Doop Dheep Tulsi Se, Raje Sat Deva Jai Lakshmi Ramana………….

Shri Satya Narayan Ji Ki Aarti jo koi gaavey Kahat Shivanand Swami Man Van Chit Fal Paavey Jai Lakshmi Ramana………….

To listen to above aarti click here

SHRI VISHNU AARTI

Om Jai Jagadeesh Hare, Swami Jai Jagadeesh Hare


Bhakt Jano Ke Sankat, Daas Jano Ke Sankat
Kshana Mein Door Kare, Om Jai Jagadeesh Hare

Jo Dhyaavey Phala Paavey, Dukh Binasey Mana Kaa


Sukha Sampati Ghar Aavey, Kashta Mitey Tana Kaa
Om Jai Jagadeesh Hare

Mata Pita Tum Mere Sharana Gahoon Kiski


Tum Bin Aur Na Doojaa, Aash Karoon Jiski
Om Jai Jagadeesh Hare

Tum Poorana Paramatmaa, Tum Antaryaami


Paar Brahma Parameshwara, Tum Sabake Swami
Om Jai Jagadeesh Hare

Tum Karuna Ke Saagar, Tum Paalana Kartaa


Mein Moorakh Khal-Kaami
Mein Sevak Tum Swami, Kripaa Karo Bharata
Om Jai Jagadeesh Hare

Tum Ho Ek Agochara Sabke Praanapati


Kisa Vidhi Miloon Dayaamaya, Tumko Mein Kumati
Om Jai Jagadeesh Hare

Deena Bandhu Dukha Harataa, Thaakur Tum Mere


Swami Rakshaka Tum Mere
Apne Haath Uthaao, Apne Charan Lagaao
Dwaar Para Mein Tere, Om Jai Jagadeesh Hare

Vishaya Vikaar Mitaao, Paap Haro Deva


Shradhaa Bhakti Badhaao, Santan Ki Seva
Om Jai Jagadeesh Hare

Tan Man Dhan Sab Kuch Hai Tera,


Swami Sab Kuch Hai Tera
Tera Tujhko Arpan, Kyaa Laagey Mera
Indians in Thailand-Forum - Indians in Thailand Joomlaboard Forum Component version: 1.1.2 Stable Generated: 15 February, 2011, 00:50
Om Jai Jagadeesh Hare

Shri Paar Brahmaji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gaave


Kahat Shivanand Swami, Man Vaachit Phal Paave
Om Jai Jagadeesh Hare

To listen to above aarti click here


To play video of Om Jai Jagdish click here via:google

Perform Virtual Pooja by clicking here

Vrat Katha Sangraha click here Via: Bhaktisangeet.com

Happy New Year 2007


2007 Tipna/Calendar click here via:jhulelal.com
2007 Moon Calendar/Tipna 2007 click here via:hinduism.co.za
2007 Festival Calendar click here via:hinduism.about.com

Lord Narayana’s Love For His Devotee

It so happened that once sage Narada upon his tour around the world in spreading God’s Glory happened to meet a
devotee of the Lord sitting under a huge banyan tree. Upon seeing the great sage, the devotee prostrated before him
and said, “Oh great one, when will you be going to Vaikuntha to meet the Lord?” Narada replied, “After my trip around the
world spreading the message of the Lord I will surely go to Vaikuntha.” The devotee then put forward his prayer. “I have
been meditating for so many years. Please ask the Lord when He will give me His Darshan?”
And so the sage consented to put forward the prayer of this devotee and proceeded to Vaikuntha. There Lord Narayana
asked him, “Narada, what is your news?” Narada then put forward the prayer that the devotee had made and Lord
Narayana said, “Tell the devotee that I will give him Darshan only after a number of births, a number equal to the number
of leaves on the tree under which he is meditating.

Narada was dejected, but He was only a messenger and so he went to the devotee and said, “You fool. Couldn’t you find
any other tree to meditate under? Of all the trees, you chose a banyan tree! The Lord will surely come to give you
Darshan but it will be after a number of births, equal to the number of leaves on the tree under which you are meditating.”

And that moment a strange thing happened. The devotee went into a fit of ecstasy and the Lord appeared on the scene.
As Narada stood there, fuming and fretting, the Lord and the devotee met. It was like a calf running to meet its mother, or
a river surging to meet the ocean.

After the union, the Lord came to Narada and said, “Narada why do you look so upset?” Then Narada said, “Lord, you may
not have any value for your words but I have some value for mine. You said one thing and did something so contrary to
it. Please explain.”

Then Vishnu went on to explain: “It is the Faith the devotee had. He had Faith – complete Faith. I had given my assurance.
It does not matter how long it will take, but I had given my word, and that Faith gave him all the joy that I am going to give
him Darshan, and so I had to break My Word and appear in front of him.”
============================================================================

Re:Sri Sri Satya Narayan ji Vrat Katha


Posted by Priyanka - 2007/06/06 10:25
_____________________________________

Thanks Sanjay,,

if u are organizing katha at home, don't forget to post on forum, so we can be part of Sri Satya Narayan ji Vrat Katha
============================================================================

Sri Sri Satya Narayan ji Vrat Katha


Posted by Sanjay - 2007/06/06 14:03
_____________________________________

Indians in Thailand-Forum - Indians in Thailand Joomlaboard Forum Component version: 1.1.2 Stable Generated: 15 February, 2011, 00:50
Sure Priyanka !

It would be a pleasure.

The next time we have it at home you will be invited and all thai forum.
My wife and son away for summer vacation we will do end july now.

Sri Satyanarayan ji ki Jai !


============================================================================

Re:Sri Sri Satya Narayan ji Vrat Katha


Posted by Priyanka - 2007/06/07 04:22
_____________________________________

Sri Satyanarayan ji ki Jai !


============================================================================

Indians in Thailand-Forum - Indians in Thailand Joomlaboard Forum Component version: 1.1.2 Stable Generated: 15 February, 2011, 00:50

You might also like