Dharm
Dharm
Dharm
Uff kitni sardi hai, kuch mota aodne ko le lena chahiye tha, meri hi mati mari gai thi jo ek sol k saahre chala aaya aisa hi kuch badbadate hue chale aa rahe the Pandit shastri ji. Jo ki panch gaun me akele hi pandit the. Sabhi gaun wale unhe bhagwan ki tarah pujte the. Aaj ek gaun se puja-path karke laut rahe the apne ghar ki aur. Thoda aaram kar leta hu, thak bhi gaya hu pandit ji ek chattan ki aut le kar baith gaye jaha sardi ki maya thodi kam thi, wah chattan pandit ji ki raksha kar rahi thi, thandi hawaon se loha le rahi thi. Pandit ji ne apni potali kholi aur garv se apni chutiya ghumate hu badbadane lage hey prabhu tune bhi kya kismet de ke bheja hai mujhe pure panch gaun me eklauta pandit paida kiya Potli ko niharte hue bole itna sara saman pahle kabi nai mila, lekin kya fayda in sab ko na to kha sakta hu. Aur na hi pahan sakta hu, achhuto ke ghar puja path ka bhi yahi panga hai, milta to bahut kuch h lekin kya kare kam ka kuch nai hota pandit hu DHARM bharst na ho jaye mera achhuto ke hath ka kha ke naa jane kaise kaise logo ne hath lagaya hoga haan ek kam kar sakta hu in sab ko gaun ke kisi baniye ko baich dunga thode paise di aa jayege aur dharm bharsat hone se bhi bach jayega Ye soche hue himmat karke pandit I aage chal pade lekin thakan,pyas, sardi ke karan kuch kadam chale ki himmat jawab de gai. Unhe laga sayad ab pran nikal jayenge aur wahi pe achet ho kar gir pade.
Tabhi dur kohre ko chatta hua, belgadi ko hakte hue koi akrati chali aa rahi thi. Pas pahuchne par use koi insane achet pda hua dikhi diya,, arey ye to pandit shastri ji hai, inhe kya hua ye kahte hue pandit ji ko tatole ki kausis ki. Shastri ji ne kuch pal baad hosh sanbhala to Arey hariya!!! Dur hat paji suar tune mujhe chune ki himmat kaise ki,tune mujhe chhua kaise Hariya sar jhukate hue pandit ji meri itni aukat kaha, mai to apke pairo ki dhul bhi nahi hu, apko is tarah thand me, murchhit dekha to ghabraht me apko sahara dene tatole ka socha,parantu apko chhu pata isse pale aap sambhal gaye, aap to hmare bhagwan hai bhala meri kya hasti jo sar bhi utha saku maaf karna!!! Murkh mujhe mere gaun tak chhod apni bailgadi par jate hi suddh pani se nahana padega, pavitrta ka satyanash kar diya haramkhor ne apni manhus, achhut surat dikah kar, laa tera ye kambal de pandit ji ne hariya ka mota kambal khichte hue kaha. Aur jaa baithe bailgadi par, hariya bailgadi hankne laga.
Pandit ji ahi bhi badbada rahe the jarur maine koi ache karm kiye honge jo aaj jaldi hosh aa gaya yarna to aaj ye manhus chhune hi wala tha chalo mera pavitra dharma bharst hone se to bach gaya. Hariya pandit ji ki baatain sun ke mand hi mand muskura raha tha aur nange badan bailgadi hankta hua chal pda tha shastri ji ke gaun ki aur.