ASIM Posts Deleted 14april
ASIM Posts Deleted 14april
ASIM Posts Deleted 14april
sab say pehley mai aap ki us baat ka jawab daita hun jo aap nay nabi par jhoot bola hai.
Zara English k bajaye is hadith ki Arbi aur Urdu dono Quote keriyga, haqeeqat aapko
khud pata lag jaayegi, main is silsiley main kuch nahi kahoonga. Aap ney phir dhooka
deney ki koshish ki hay English translation k zariye.
Anyone who have some knowledge about ahadith, then he must know that aam taur per
Nabi (saw) Sahaba (Ra) ko address ker k Ummat ko address kertey they. Anyways lets
copy its actual Matan first.
Aap ko lagta hai English nahi aati khair. Aap nay jo gustakhi ki so ki. Mai nay to refrence diya
tha ab aap nay check nahi kiya to mera koi kasoor nahi hai.
Haddasana Abdullah bin Yusuf Haddasana al lais haddasanee yazeed ubnu abi habeeb an abi al
khair an uqbata bin aamir Anna nabi sallahualihewasallam kharaja youma fasalla ala ahli uhud
salatahu alal maiyat summan sarafa ilal minbari fa qaal inni faratul lakum w`ana shaheedun
alikum wa`inni wallah la anzuru ilaa hauzee al aana wa inni o`ateetu mafateeha khazaain il ardh
wa inni wallah ma ikhafu alykum an tushriku baadi wala kin akhaafu alykum an tanafasu feeha.
bukhari kitab ul janaaiz baab salatin alal shaheed
Translation:
hum say Abdullah bin yusuf nay hadees byan ki, in say lais nay hadees byan ki, in say yazeed bin
abi habib nay hadees byan ki, in say abul khair nay, un say aqba bin amir (raziallahanho) nay keh
nabi kareem Sallahu alihewasallam aik din bahir tashreef laaye aur uhud kay shaheedoon kay
haq mai. Is tarhaan dua ki jesey maiyat kay liye ki jati hai. phir mimbar par tashreef laaye aur
farmaya keh mai tum say pehley jaoon ga aur tum par gawah rahoon ga aur Qasam Allah ki mai
is waqat apney hoz ko dekh raha hun aur mujhai zameen kay khazaney ki kunjiaan dee gai hain.
aur Qasam Allah ki mujhai is ka dar nahi kay merey baad tum shirk karo gay balkeh is ka darr
hai keh tum duniya haasil karney mai raghbat karo gay.
janab ALLAH kay nabi nay Qasam khaai hai aur Qasam who qiyaas kay torr par nahi
khatey.
Bolo janab ab kya iradah hai aap ka maafi mangani hai ya zidd par hee ho. Agar
zidd par ho to ALLAH ko khud hee jawab daina kay mai nay apni taraf say tashreeh
kar dee thi hadees ki.
Aur agar khud paish karni hoti hai to wohi muhaddis bohet acha lagta hai aap ko.
Dual standars kion hain aap kay??
Aisey to aap yeh hee keh kar baat ko khatum kartey raho gay. Yeh to mai bhi keh
sakta hunk eh jo zahbi ki baat aap paish kar rahey ho who us ka apna ijtehaad tha.
Zahbi nay to abdul razzaq ko dekha bhi nahi tha. Yeh wohi baat hai jo brelvis and
deobandis kartey hain. aura b aap kar rahey ho.
Sab sey pehley to meray bhai yeh k aap apney usool ul ahadith sahih
kerein. Jirah o Tadeel k jo usool aap ney naqal kiye hain woh Rajeh nahi
bulkey Marjooh aqwaal hain. Meray khiyal main aap ahle hadith ulma k
alawa kisi ki baat sun ney ko tayyar nahi hain. And I know from where u r
copying all that stuff. lemme search the name of that book and yeah I got
it. It is the book refute to Kandhalvi’s book by Irshad Ul Haque Asri named
‘Ahadith Sahih Bukhari o Muslim ko Mazhabi Dastanen Bananay Ki Nakaam
Koshish’.
So I am right na!
first of all I think aap ko ilham hua hai shetan ki taraf say kay mai yahaan say lay
raha hun.
Mai nay to book ka naam hee pehli dafa suna hai. pehley bhi aap ko aik shetani
ilham hua tha kay mai aap ki posts kisi aalim ko dekha raha hun. Lihaza aap ki baat
bilkul galat hai. bohtaan na lagaien hamesha ki tarhaan.
OK! Then you have to prove it that if Bukhari knew that these ahadith
were Sahih and he deliberately didnt include them in its Sahih. The
Question is still at his place that Bukhari didnt include these ahadith of
Mehdi in his Sahih. The reason that Bukhari quit these ahadith may be
that he found these ahadith Zaeef or Majrooh. Or the reason may be that
they were Sahih but Bukhari left them due to 'tawalat'. But one point that
favours me that Bukhari talked about Arrival of Jesus (as) in his Sahih but
didnt talk about Arrival of Mehdi, so strange na! , though Bukhari knew
Mehdi's ahadith by the narration of Abdur Razzaq.
1st of all imam bukhari nay tawalat ki wajha say apni book mai sab sahih ahadees
quote nahi ki hain. janab meri baat par yaqeen nahi hai to yeh jawab muhaddis say
suno
Abu omer allama ibn e islaah said in his book Aloom ul hadees page 19
imam bukhari o muslim nay apni sahihieen mai tamam sahih ahadees ka istiaab
nahi kiya aur na hee unhu nay is baat ka iltizaam kiya ya zimma uthaya tha.
Then he said:
Mai nay apni kiab Al jami al sahih mai sirf who hadees riwayat ki hai jo keh sahih
hai. aur kitni hee sahih ahadees ko khof e tawalat say chorr diya hai.
janab lagao fatwa jhoot ka ibn e islaah par. MUSLIM O BUKHARI par bhi.
Janab is baat ka aap ko nahi pata tha to mera to koi kasoor nahi hai ??. Aap ab haq
ko tasleem karien. Aur imam muslim nay Muhammad bin ishaq bin yasaar ki
ahadees bhi li hain. Janab ab bolo is par ijma hee hai.
imam nawawi
he said:
yeh aiteraaz kay kitni hee ahadees aisee hain jo bukhari aur muslim ki shart par
sahih hain lekin un ko unhu nay bukhari aur muslim unhu nay quote nahi kiya. Bilkul
galat hai.
sahih sanad kay sath un ki yeh tasreeh mojood hai keh unhu nay tamam tar sahih
ahadees ka istiaab nahi kiya balkeh sahih ahadees mai say kuch sahih ahadees
jama ki hain.
muqaddama sharah sahih muslim al imam nawawi 1/24
ismaailee nay imam bukhari say riwayat byan ki hai keh unhu nay farmaya:
mai nay is kitab mai sirf sahih ahadees jama ki hain. jo sahih ahadees mai nay chorr
dee hain un ki tadaad in jama kardah ahadees say bhi ziadah hai.
muqad fath ul bari sharah bukhari page 7[.green]
agar baat kay taweel honay ka khadsha na ho to yahaan mai who tamam ahadees e
mehdi naqal kar daita jo merey ilam mai aai hain. Kion keh mojoodah dorr mai kuch
loge mehdi kay barey mai shakooq o shubhaat mai mubtala hain. Aur kehtey hain
keh yeh ahadees qatiee hain ya nahi.?
Aur baz to allama ibn e khuldoon ki baat par aitemaad kar letey hain. Halaankeh
woh is maidan mai(ilm e hadees) kay admi hee nahi.
nazum ul mutanasir min al hadees al mutwatir al kitani page 146)
janab lagao fatwey in par. Ab wohi poorana rona na lay ker baith jana yeh to un ka
apna ijtehaad tha. Ummat e Muslimah kay muhaddiseen is baat ko mantey hain kay
mehdi aaien gay. Aap ki baat ki koi hasaiyat nahi hai.
aur
meri baat ka jawab to aap nay diya hee nahi counter question kar gaye mai nay
bukhari kay ilawah Muslim ka refrence bhi diya tha jis mai unhu nay kaha tha merey
nazdeek sahih hai. lekin is ko hum nahi laye hain.
aj aap bukhari kay muqallid ho gaye ho aap nay kaha hai kay bukhari eesa
alehsalam ki khabar lay kar aye hain. janab agar who laye hain is ka kya matlab hai
kay agar mehdi ki hadees nahi laye to who zaeef ho gai??
Aur who hee muhaddiseen mehdi wali ahadees ko sahih kehtey hain to aap us ko
ijtehaad maan kar thukra detey ho. Doghala pun dekha kar hut dharmi kar rahey ho.
Ibn e hajar ki jirah paish kartey ho aur us hee ibn e hajar ki doosree baat kha jatey ho jo us nay
mehdi kay aaney kay barey mai ki hai kay who aien gay. Fatwa kion nahi lagta ibn e hajar jesey
doosrey muhaddiseen par??.
Aur yeh sawal mai bar bar kar raha hun kay bukhari nay apni book mai sab sahih hadees jo un ko
yaad thien lanay ka dawa nahi kiya hai.
Yeh Quran aur hadees aur ijma e sihaba say la kar dekhao keh bukhari mai jo hadees nahi who
sahih nahi. Ya yeh strange baat hai .
Bachoon wali bat kar rahey ho aur kuch nahi. U r nothing man u r nothing in ilm e hadees.
Syed Razi ( 420 A.H.) compiled the book Nahjul Balagha in 5th Century, this belief was
introduced in Shiasm that Abu Talib was Mumin and he was a Sahabi. No book of Shiasm
before that had this belief. So all Shia before that believe that Abu Talib was an infidel. So
your this tadeel that Abdur Razzaq narrated that Abu Talib was an infidel holds no base.
first of all who told u key sayed razi nay 1st time yeh baat kit hi. Yeh to tareekh e tabri mai zaeef
hadees hai jis mai abu talib kay kalmia parhney ki riwayat hai. is ka matlab yeh pehley say
aqeeda mojood tha.
First of all, very cleverly overhere, you tried to prove a Marjooh Qaul the Rajeh one. Dude!
you can play with those who dont have any knowledge of Science of ahadith but not with
me.
tum kya ho Muhaddis?? Gharoor kum karo warna gunah ho ga aur Junnat mai jana mushkil ho
jaye ga.
Agar kisi ravi k baarey main Jirah aur Tadeel dono aqwaal warid ho to??
1- Sahih tar Qaul yahi hay k jirah agar mufassir aur wazeh hogi to usey tarjeeh hasil hogi.
janab yeh baat bhi agar rakhi jaye to janab yeh batao keh. Abdul razzaq par jirah Mufassir hai
kya?? Balkeh un ko to aap sabit hee nahi kar sakey keh who shia hain aur shia say bhag kar
ikhilaat par aa gaye ho.
imam bukhari tareekh ul kabeer mai mehdi ki hadees lay kar aaye hain aur us ka
refrence diya tha aur us say bukhari nay ihtejaaj bhi kiya hai. Yahaan aap loge
tareekh ul kabeer ko story book kehtey ho.
Mai nay apni baat tareekh ul kabeer say paish ki thi to aap nay mani hee nahi.
Aur jub apni baat paish karni thi to tareekh ul kabeer yaad aa gai.
Is Qol kay tehet bhi Abdul razzaq shia nahi bantey hain. Aagey ja kar aap ki aik aur
chori pakarta hun.
Aur aap say guzarish hai kay refrence poora diya karien Book ka naam na lien. Itni
bari books say kon dekhey ga?
aik aur jhoot aik bhi hadees bata do jo brelvi paish kartey hain aur us par tadeel
ziada muhaddiseen nay ki ho.
First of all, for me Zubair Ali Zai is not even a true scholar rather than a
Muhadiss. He is just mere Muqallid Ahle Hadith scholar who always tried
to save his existance belief. So none of his saying can be hujjat for me
until and unless it is supported by Quran o Hadith (in Belief and Act) and
Classical Scholars (in Ilmul Hadith).
aap ko muhaddiseen par ta`an karma Mubarak ho mai kisi bhi muhaddis par tana
nahi karta. Siwaye kandhalvi jesey kazzaboon kay.
Anyways lets counter Zubair Ali Zai statement. By quoting his statement, I
am thankful to you that you yourself initiated this debate of Hasan Hadith.
Because its very necessary to know the Muqaam of Hasan Ahadith in
Beliefs and Amaal.
don’t deviate from topic. Pehley hee aap Muhammad bin ishaq par jirah kar kay
topic ko itna lamba kar chukay ho.
Mai nay yeh poocha hee nahi hai hasan lazatah aur hasan laghira kya hota hai. AAP
ko Hero bannaney ka shok hai bus
o bhai jaan aap topic sey deviate kion ho rahey ho mujhai pata hai kay aap hero ho.
Tadlees par kion bhag gaye.
Agar aisee baat hai to SUFIYAN SORRI bhi mudallis hain. lekin tadlees kartey hain
aur mashoor hain. Bukhari nay un say bohet ahadees li hain.?? aur koi shahid bhi
nahi hai. aisa kion hai.
Yeh sawalaat jo aapney Sis Sophie sey poochein hain is cheez ko sabit
kerdetey hain k you really dont know anything about Ilmul Hadith. Sis
Sophie had presented the above tradition with complete chain of narrators
and let me copy it again for you. The Chain is as:
Ibn Humayd told me, from Salama, from Muhammad ibn Ishaq, from Yazīd
ibn Ziyād al-Madanī, from Muhammad ibn Ka'b al-Qurazī:
janab aap ko jirah karney mai bohet maza aata hai. lekin aap un ahadees par jirah
kartey ho jo aap kay khilaaf hain. zra is chain par bhi jirah kar detey to kya hee acha
hota.
Is mai aap ko yazeed bin abi ziaad nazar aa raha hai ya nahi.. yeh us ki wajha say
qol mardood hai. na keh ibn e ishaaq ki wajha say. Mai topic to lamba nahi karma
chahta lekin logoon ko aap ki hat dharmi zroor dekhana chahta hun.
Shoba said:
Kaana yazeed bin abi ziaad rafa`an
(al jarah wa tadeel 9/265)
nisaai said:
laisa bil qavi
(al zofa al matrookeen raqam 651)
ibn e hazam:
zaeef
(al mohla 7/484)
behqi
ghair e qavi
(al kubra 2/26)
bhi kay liye itna hee kafi hai is ko 30 muhaddiseen nay zaeef kaha hai. Yahaan siraf
aap ki hut dharmi dekhana maqsad tha.
Itna lamba post kiya hai sirf time zaaia kiya hai aur kuch nahi.
Muhammad bin ishaaq ki ahadees say 40 say above muhaddiseen ihtejaaj kartey
hain(daleel letey hain)
Jin mai aap ki meezan waley zahbi bhi aatey hain. (talkhees ul mustadrak 1/486)
Ab aap yahaan kaheen gay nahi nahi yeh to un ka apna ijtehaad hai.
Aur mai yeh manta hun kay Muhammad bin ishaaq ki a`an wali riyawat zaeef hoti
hai. lekin jis mai who sama ki tasreeh karien who sahih hoti hai.
Mai dobarah kehta hun Ibn e ishaq ka topic band kar do.
Aap fazool mai topic lamba kar rahey ho.
2- Sahih Tarr Qaul yeh hay k Mudallis agar apney Sama ki tasreeh kerdey
to rivayat qubool hogi. Lekin agar mudallis apney Sama ki tasreeh nahi
kerta to rivayat mardood aur Qable Rudd hogi jaisey k raavi rivayat ko
"Ann" sey rivayat kerey.
janab mai nay bhi yeh hee kaha tha. Keh us ki tadlees sabit ho jaye to us ki riyawat
zaeef hai kion topic ko itna lamba kar rahey ho.
Ahmad bin hamble ki jirah yahaan samajh aap ko aa gai hai aur jo unhu nay Abdul
razzaq ko sahih ul hadees aur shioon ki koi baat nahi suni wali baat hai bhool gaye.
Againdoghala pun
Mai nay kaha tha keh Muhammad bin ishaaq ka topic band karo kion kay mai nay us
say koi hadees paish nahi ki hai. Aap siraf hero ban rahey ho aur kuch nahi.
Ab Aayi aapki Samajh man Yahya Bin Moeen ki Jirah.
Yeh hee yahya bin moieen nay Abdul razzak ko siqqa La B`asa beh.(al kamil ibn e
adi 5/1947) kaha hai Aap ko woh samajh mai nahi aai.
Wesey shayed aa hee gai hai kion kay ab aap un kay shia honey say bhag gaye ho
aur ikhilaat par aa gaye ho. Khair us par bhi baat karta hun aagey.
Muhadiseen ka reference koi point nahi rakhta coz majority ney Ibn-e-
Ishaq ki tadeel sey ruju kerliya tha. Aur phir Ahle Hadees to Tibri ki bhi
tadeel kertey nazar aatey hain jab k Ibn-e-Ishaq ki rivayat sey is tradition
ko to Tibri ney hi apni kitaab main naqal kya hay. So Tibri k baarey main
aapka kya khiyal hay ab
Yeh kehna aap ka bilkul galat hai keh majority nay Ibne ishaq ki tadeel say ruju kar
liya tha.
AUR jahaan tuk tabri ki baat hai to janab woh yazeed bin abi ziaad ki wajha say
sahih nahi.
Aur tabri nay is say ihtejaaj nahi kiya hai. 2ndly kisi muhaddis ya kisi tareekh daan
ka apni book mai kisi riwayat ko laney say us ka aqeeda who nahi hota. Haan agar
who us hadees say ihtejaaj karey tub aur baat hai. ya who kahey keh mai is ko sahih
samajhta hun.
Aap tabri par bhi tana kar rahey hain. kis kis par ta`an karo gay janab??
Baqi aap ney Kandhalvi k hawaley sey jo baat ki hay to I m not follower of
Kandhalvi jo main inko defend kerta phiro yeah but I noted your
allegations against him and will see them that whether your are right or
Kandhalvi Sb is. By the way, the jirah that Kandhalvi had done on Abdur
Razzaq is 100% right and I have checked it by myself so is silsiley main to
main foran yeh keh sakta hoon k Abdur Razzaq ki jirah Kandhalvi ney
sahih naqal ki hay and you are wrong and he is right here.
janab aap nay kaha tha key kandhalvi aaj kay ullema e ahl e hadees deoband aur
brelvi say acha hee tha.
Is liye mai nay us ka jhoot nabi ki taraf mansoob paish kiya tha. Kay aap ko woh
banda pasand hai jo nabi par jhoot bolta hai.
Aur Abdul razzaq wali jirah mai nay galat sabit ki hai aap wahaan say bhag kar
ikhlaat par aa gye.
Ikhlaat par bhi baat karta hun zara aagey parhtey raheen.
And jo kuch aap ney Kandhalvi k baarey main kaha hay us main sey ek bhi
cheez sabit nahi jhoot boolney k hawaley sey. Even its not your own
tehqeeq, you are just copying pasting it from Asri Sahib's book. I am right
na!
aap ko bar bar mirzay ki tarhaan ilhaam ho raha hai mai nay is book ka naam hee
first time suna hai aur wo bhi aap kay munh say.
Kandhalvi ki book mai ja kar parho us nay jhoot mansoob kiya hai ya nahi.
Abhi ooper hee aap nay kaha hai keh mai dekhoon ga phir bataoon ga kay kon
theek hai aap ya kandhalvi sb.
] aisey hee apni taraf say bol diya ja kar check to karo.ϑU r just funny man [
U people gave the refrence of book of kandhalvi(I think tahat was zahoor e mehdi).
Aur ab keh rahey ho mai follow nahi karta.
yahaan say hee pata lagta hai aap original book say nahi dekh rahey. Kion kay aap
nay pehley dawa kiya tha kay abdul razzak ki book mai hadees hai aur us ko sahih
kaha hai.
Janab aap logoon ka koi deen eemaan nahi hai. ibn e hajar ki fath ul bari say quote
kiya tha. Who story book hai kya??
aur jub khud jirah karni hoti hai to bhag bhag kar ibn e hajar ki taraf jatey ho.
Pehley cheez to yeh k Abdur Razzaq ko baaz muhadiseen ney Tashee sey
mumtahim kya hay, jo k aap k nazdeek sabit nahi aur meray nazdeek sabit
hay.
is ka jawab mai day chukka hun yeh sabit nahi hai. ab bhi na manien to yeh hut
dharmi hai and nothing.
Doosri cheez k Ibn-e-Hajr ney Tehzeeb main yeh tasreeh ki hay "Aakhir
Umer main Abdur Razzaq ki hadith main ihktilaat waqaiya ho gaya tha kyu
k woh nabeena ho gaye they is liye unki aakhri umer ki rivayat qable aitna
nahi".
pehley aap nay kaha tha kay ibn e hajar nay un ko shia saabit kiya hai. jo keh mai
nay batil sabit kiya tha kay unhui nay to un ko muhaddis e shaheer kaha hai.
wahaan say bhag kar ikhlaat par aa gaye. Khair yeh to aap ka hee eemaan hai.
Basabab NabeenaPan:
Yeh nihayat hi eham fun hay aur iska bada faida yeh hay k siqa raavi ki
rivayat main imtiyaaz qaim rehta hay aur jin k baarey main yeh sabit
hoojayein k yeh daur-e-ikhtilaat ki hain unko rudd kerdiya jaata hay
mai nay to yeh kaha hee nahi tha kay ikhilaat kay baad wali hadees say ihtejaaj
karna chahiye ya nahi. Ikhilaat ka ilzaam sahih hai.
Ab debate is par aap kar rahey ho kay yeh hadees ikhilaat say pehley ki hai ya nahi.
To mai agey ja kar proof karta hun kay yeh ikhilaat say pehley ki hai
yeh aap ka khula jhoot hai. Kisi muhaddis nay un ko kazzab nahi kaha.
(Teesar Mustalah ul Hadith Pg. 210) mai yeh nahi hai keh un ko kisi muhaddis nay
kizb say mumtahim kartey hain.
3- Aakhri umer main unko Ikhtilaat ka aariza lahiq ho gaya tha is liye unki
aakhri umr ki rivayatein qable qubool nahi.
Ab yeh prove karna hai kay ikhilaat say pehley ki riwayat hai ya baad ki.
Muhadiseen ki ek jamaat is taraf gayi hay k kisi bhi biddatti sey koi hadith
rivayat kerna jaiz nahi lekin yeh Qaul Maqbool nahi. Jamhoor ka Maanna
hay k agar biddatti Sadiq ul Lehja ho aur Ahl ul Hadith k haan uski tadeel
ho to us ki rivayat qable Qubool hay bashart yeh k woh us k biddatti
aqeeday ki taeed na kerti ho. Jaisa k Bukhari ney Apni kitab main Shia
Raviyoon sey rivayatein li hain lekin woh saarey raavi Sadiq ul Lehja hain
Aur bukhari ney unsey Ahle Bayt k baad main koi hadith nahi li kyu k woh
Raavi Tashee sey mansoob hooney ki wajah sey is baab main qable aitna
nahi.
janab is say to yeh sabit ho raha hai keh bidati kay aqeeday wali riwayat qabil e
qabool nahi. Yeh sabit nahi ho raha hai kay abdul razzaq shia hai ya bidati hai.
abdul razzaq ko mai sabit kar chukka hun kay who siqqa muhaddis e shaheer aur
sadooq hain.
aap kay sab ilzam ka jawab day chukka hun.
Is usool k tehat, Abdur Razzaq ki Belief sey muttalliq hadith qable qubool
nahoi hoogi kyu k Mehdi sey muttalliq Quran main kuch nahi aur Adbur
Razzaq per jirah aur Tadeel dono maujood hay. So Abdur Razzaq Mehdi ki
ahadith k silsiley main to hujjat nahi ho saktey chaahey woh aur amli
ahadith maun hujjat ho.
janab Abdul razzaq ko ikhilaat kay baad zaeef kaha hai muhaddiseen nay pehley
nahi. 2ndly who bidati nahi hain aap bar bar Dr mahmood al tahan say yeh quote
kar rahey ho. Mahmood al tahan ki baat say yeh sabit nahi hota hai kay abdul
razzaq bidati hai.
aap ko refrence mila bhi to Ahle sunnat(salafi aalim) kaa mila. Aap ka apna koi aalim
nahi hai.
Bukhari Muslim Zahbi sab ahl e hadees the. Lekin yeh koi firqa nahi hai.
Aur yeh dono wahi raavi hain jo k Mehdi ki hadith Abdur Razzaq sey
rivayat ker rahey hain. To is tarq sey bhi yeh hadith Mehdi k aqeeday per
hujjat nahi bun sakti kyu k yeh Abdur Razzaq k Daur-e-Ikhtilaat ki marwi
ahadith main sey hay jo k hujjat nahi.
yeh aap ka sara sur jhoot hai dhoka day rahey hain aap.
Is hadees ko ibn emaja nay riwayat kiya hai (2/1367)aur buseri nay is ko sahih kaha
hai(zawaid e ibn e maja)
Mustadrak hakim 4/464,464 hakim nay Bukhari aur muslim ki shart par sahih kaha
hai aur talkeeh al hakim mai Zahbi nay bhi is ko sahih kaha hai.
Abdul aleem nay is ko sahih kaha hai(al ahadees 1/196)
Janab kin hawaoon mai ho. Agar zahbi nay in ko ikhlaat kay baad zikar kiya hai to is
ko sahih kion kaha hai.
Ibne kaseer nay is ko sahih kaha hai (al nihaya 1/29) (aap ka ibn e kaseer par ilzaam
jhoota hai jo mai quote kar chuka hoon tafseer ibn e kaseer say)
janab soban raziallahanho wali hadees ko khud Zahbi nay sahih kaha hai. Kidher
bethey huye ho aap. Kion jhoot bol kar logoon ko kharaab kar rahey ho.
Ab yeh na keh daina yeh in ka apna ijtehaad tha agar kaho gay to phir meri baat bhi
sun lo.
Kay jo jirah aap paish kar rahey ho woh sab muhaddiseen ka ijtehaad tha. Woh
hujjat nahi hai.
Lihaza yeh mai nay sabit kar diya hai keh yeh hadees iklaat say pehley ki hai
ALHUMDULILLAH. Aur zahbi akiley say nahi bohet muhaddiseen say sabit kiya hai.
lagao un par jhoot ka fatwa.
Lijiye kahi sey bhi kaam paker lein Abdur Razzaq ki yeh Mehdi ki Hadith
qable aitna nahi aur hujjat nahi bun sakti. Ab dekhtey hain k Ibn-e-
Khildoon ney in ahadith per kya jirah ki hay:
ibne khuldoon ki aadhi baat parh dee hai INSHALLAH ab poori baat mujh say sunien.
Aap zara 2 pages aagey ja kar yeh parh letey to kitna hee acha hota. Ap ka refrence
page 309 mai hai ab aagey sunien. Agar aap nay un ki book say parha hai khud say
to yeh aap ki hut dharmi hai. agar kaheen say copy kiya hai to us ka faisala aap
khud karien.
yeh qul ahadees hain jinhee imam mehdi kay barey mai aiema hadees nay riwayat
kiya hai. Jin mai aaya hai kay woh aakhri zamana mai zahir o kharij hoon gay. In
ahadees mai say siwaye thori c balkeh bohet hee thoree c ahadees kay koi bhi
naqad o jirah say nahi bach saki.
(muqaddama tareekh ibn e khuldoon page 311 taba dar ul qalam beruit 1978)
pehli baat ibn e khuldoon tareekh daan the jesa kay yeh baat bhi unhu nai. Tareekh
ibn e khuldoon kay muqaddama mai ki hai.
2ndly in ki apni ibarat say maloom ho raha hai keh bohet thori ahadees naqad o
jirah say bachi hain.
chalo janab bohet thori c hee sahih lekin kuch to bach gaien na jin par jirah hui hee
nahi hai??.
aur jin ahadees par muhaddiseen nay jirah ki hai un muhaddiseen ka apna maslak o
aqeedah yeh hee tha kay Mehdi aaien gay.
Janab ap meetha meetha hup hup korra korra thu thu. I can just laugh on u.
Plzz don’t copy paste. Agar copy paste na karte to ibn e khuldoon ki poori ibarat
quote kartey.
Aur abdul razzaq wali riwayat kay barey mai muft mai dawa kar diya. Ab kehtey ho
who hath lagey ga to bataien gay.
Ibn-e-Khildoon ki jirah sey bhi yeh baat sabit ho jati hay k Abdur Razzaq ki
Soban (ra) wali hadith kisi tarah qable qubool nahi. Aur dekh lein k Ibn-e-
Khildoon ney kitney sakht alfaaz istimaal kiye hain Abdur Razzaq k baarey
main. Aap chahey to Ibn-e-Khildoon per bhi Bohtaan ka ilzaam laga saktey
hain.
ibn e khuldoon tareekh daan the muhaddis nahi the. Au mai pehley hee Ibne hajar,
nawawi aur ibn e islaah aur Muhammad bin jafar al kitani ki baat paish kar chukka
hun.
For e.g agar aap beemar hain aur aap kisi doctor kay bajaye doctor kay pass chalay
jao. To kya khyaal hai medicine sahih milay gee?
Aur ibn e khuldoon tareekh ki hud tuk sahih hain. aur muhaddiseen kay mutabik
who ahadees par jirah nahi kar saktey. Kion key yeh un ka fun nahi tha.
2ndly ibn e khuldoon ki apni baat mai pehley quote kar chukka hun jo aap adhoori
quote kar gaye the.
Kya filmi andaaz main aap ney meri baat ko moora hay aur itna ghalat
rang diya. In Muhadiseen ka in hadeeso ko sahih kehney sey yeh kaisey
sabit ho jata hay k inho ney Jhoot boola. Iska simple matlab yeh hay k in
Muhadiseen ka in hadeeso k baarey main Ijtihaad ghalat tha tabhi to in
hadeeso ko Sahih keh gaye jo k asal main Mauzo aur Majrooh hain.
Ummat e muslimah kay muhaddiseen ka is par ittefaaq hai kay mehdi aaien gai.
Aap ki jirah mardood hai.
wo muhaddiseen jinhu nay mehdi kay barey mai specially books likhi hain
1.Imam naeem bin hammad al khazaai al marozi (228 h) shaykh e al imam bukhari
ki book al fitan.
2.Turq ahaddes Al mehdi Hafiz abu zar`a al Iraqi ki.
3. AL MALAHUM WA JUZZ FE AL MAHDI allama abul hussain manavi(336 h)(is ka
zikar ibn e hajar asqalaani nay fathul bari mai kiya hai(13/216)
4.al mahdi ya akhbaar al mahdi Hazin abu naieem safhani (430 h)
5.Al sunan al waradah fil fitan Abu Omer Usman bin saeed al daani al muqree (444
h)
6.Al ba`as wal nashoor Imam al behqi (458 h)
7.Ibne kaseer ki Juzz
8.Irtiqa al furf Imam sakhawi ki
9.al uruf al wardee fe akhbaar al mahdi imam suyuti ki is kitaab mai suyuti 200
ahadees o asaar lay kar aaye hain mehdi kay barey mai.
10.Allama ibn e hajar haytim makki ki Al qol al mukhtasir fe alamaat e mehdi
muntazir
Yahaan yeh keh kar jaan na chura laina yeh story books hain yeh woh loge hain
jinhu nay baqaidah mehdi kay aaney ki books likhi hain. Time kam lagey is wajha
say aur muhaddiseen kay naam nahi likh raha hun.
Warna classical muhaddiseen ka ijma hai kay mehdi aaien gay. Jin mai tabieen bhi
aatey hain.
Tabieen kay naam mai pehley likh chuka hoon refrence bhi diya tha. Aap nay
wahaan bhi apni jaan yeh keh kar keh yeh aqwaal hain jaan chura li.
Yahaan 2 tabieen kay aqwaal paish karta hun
Hazrat Sameet (tabiee) imam mehdi kay naam aur omer kay barey mai poocha gya
to byan kartey hain:
In ka naam aik nabi kay naam par ho ga(al sunan al waradatah fil fitan 5/1058
hadees 577 aur is ko bastawi nay sahih kaha hai
Mujahid(tabiee) aik sihabi say byan kartey hain.
Mehdi ka zahoor tub ho ga jub be qasoor jaan ko qatal kiya jaye ga
(ibn e abi shaiba 361 bastawee said its sahih)
31 sihaba nay in ko riwayat kiya hai. naam mai quote kar chukka hun.
Aur 64 say ziadah muhaddiseen say apni books mai mehdi ka zikar kiya hai.
Jin mai behqi, darqutni, khattabi, ibn e hibban, ibn e jareer tabree, khateeb
baghdadi, nisaai, tirmizi,abu dawood, ahmad bin hamble, ibn e maja, ibn e
khuzaima, abu awana, abdul razzaq jesey muhaddiseen hain. Aur bukhari o muslim
mai isharatun mojood hai. In kay ilawah bohet say muhaddiseen hain.
Yeh sab classical scholars hain in kay bar aqs jinhu nay mehdi kay aaney ka inkaar
kiya hai woh yeh hain. Jo bilkul haal hee kay loge hain. Jin mai pehla naam
1.ibne khuldoon hain. (inhoo nay aaney ka inkaar nahi kiya hai. Inhu nay ahadees
par aiteraaz kiya hai. Aur aakhir mai khud hee maan gaye keh kuch ahadees par
jirah nahi hui)
2.molana modoodi
3.habib ur rehman kandhalvi
4.javed ahmad ghamdi
5.saad muhammad hasan
6.abdullah bin ziaad
7.muhammad abdullah annan
yeh mazi qareeb kay aalim hain. Classical scholars’kay samney in ki koi hasiyat nahi
hai.
aur aap jin ullema say jirah quote karte ho un ka khud ka yeh aqeeda hai keh mahdi
aaien gai.
Aur jahan tak Ahmed Bin Hanbal k yeh kehna hay k unho ney Abdur
Razzaq sey Shiat k hawaley sey kuch nahi suna to yeh baat Abdur Razzaq
per Tashee k ilzaam ko void nahi kerta bulkey sirf yeh sabit kerta hay k
Ahmed Bin Hanbal ney un sey Tashee k hawaley sey kuch nahi suna lekin
ghaur kerney ki baat hay k Ahmed Bin Hanbal sey Tashee k ilzaam ki
mukhalifat nahi ki.
Mashallah janab kya hee ajeeb andaaz mai baat ki hai. 30 muhaddiseen mai sey
siraf ahmad bin humble nazar aaye aap ko. Janab yeh baat un ki tub hai jub unhu
nay shiat say ruju kar liya tha. Mai nay aik aur baat ahmed bin hamble say quote kit
hi.
Warna Ahmed Bin Hanbal yeh bhi keh saktey they k un per Tashee sabit
nahi but unho ney aisa nahi kaha bulkey kaha k main ney un sey aisa kuch
nahi suna jiska saaf matlab yeh nikalta hay k Doosrey muhadiseen ney
Abdur Razzaq per Tashee ka jo ilzaam lagaya tha Ahmed Bin Hanbal ney us
ko ghalat nahi kaha. Bulkey us per khamosh rahein.
Ibraheem bin abdullah nay imam ahmad say naqal kiya kay abdul razzaq nay
tasheeh say ruju kar liya tha (tareekh damashq ibn e asaaqar 38/69)
Ahmad bin hamble say poocha gya kya aap nay abdul razzaq say behter hadees
byan karney wala dekha hai
unhu nay kaha nahi..(tareekh damashq al ibn e asaaqar 38/126 wa sandah sahih)
Aur abdul razzaq kay khud kay fatwey quote kiye the. Sihaba kay haq mai jin mai
moaviah raziallahanho bhi aatey hain???
To phir aap kaisey keh saktey hain k un per tashee sabit nahi.
pehli baat un kay khud kay fatwey is baat ka saboot hain keh who shia nahi. 2ndly
agar ap kehtey hain mai nahi manta.
To ahmed bin hamble jo keh un kay student hain. un ka fatwa quote kar hee chukha
hun.
Aur aap nay jo un par ilzam lagaya tha refrence nahi diya tha us ka jawab bhi day
diya hai. ke wo galat hai.
Sahiheen k kayi aisey raavi hain jo k Siqa hain aur saath saath un per
Tashee bhi sabit hay jaisa k Fadal Bin Dukain, Fatar Bin Khalifa etc.
Mai nay yeh kub kaha hai keh sahiheen mai shia ravi nahi. Baat abdul razzaq par ho
rahi hai janab. Don’t deviate from topic.
Aur Abdur Razzaq per to baad muhadiseen ney Tashee main Ghulu ka
ilzaam bhi lagaya hay. Lekin woh koi jirah aapko nazar hi nahi aati.
janab mai aap ki baat ka jawab day chukka hun aaj aap ka kuch nahi banana.
Kandhalvi kuch nahi kar saka aap kya hao?? Who saabit hee nahi hai. mai jirah kar
chukka hun.
Yaar aap k ilmul hadith ki to daad deni pareygi. Abdur Razzaq khud to Abu
Bakr, Umer, Mauviyah (ra) ey direct rivayat nahi ker raha na. To phir is
main itna chillana kya......jab Waqdi jaisa Kazzab Mauviyah (ra) sey
Rivayat ker sakta hay jo k Apni Tashee main Badnaam hay to phir Abdur
Razzaq ki yeh safai kaisi. Aap sey kis ney keh diya k Tashee sey mutasif
raavi Khulfa-e-Rashideen (Abu Bakr, Umer, Usman, Ali, Mauviyah (ra) ) sey
rivayat nahi kertey.
aik hadees la kar dikha do jis mai moaviah raziallahanho hun aur shia kehtey hun
hum is hadees ko mantey hain???
aur Ali raziallahanho ko Abu baker Omer Usman raziallahanhum par fazeelat nahi
day rahey.
Actuallay aap ki aankhoon mai dhool par gai hai jo aap main a manoo main a
manoo ki zidd nahi chorr rahey .
Bhai meray jaaye aur Rijaal ki kitaabein zara khool ker khud perhye, her
doosra Shia raavi Sahaba (ra) sey rivayat kerta nazar aayega. You need a
detailed study on Ilmul Hadith.
Mai aap ko is liye jhoota keh raha hunk ion kay abdul razzaq par tashieen sabit nahi.
Aur jo aap nay jirah ki hai. us mai ravi sahih nahi hain khud zaeef hain. apni bari sab
jirah yaad aa jati hain jub mai paish karoon to sab kuch bhool jata hai.
To meray bhai yeh sirf ijtihaadi ikhtilaaf hota hay. Warna to aapko Ibn-e-
Khildoon ko sab sey pehley is ilzam sey mutasif kerna chahye lekin us
waqt aap keh detey hain k yeh ijtihaadi ikhtilaaf hay.
janab meri aik baat dikha dien jis mai mai nay kaha ho ibn e khaldoon ka ijtehaad
tha? Kion ilzam laga rahey ho. Aap ko lagta hai aadat par gai hai ilzaam laganaye ki.
Kaha hay bhai woh sanad dobara quote kerdein, muhjey nazar nahi aayi,
zara main bhi to dekhoon k aap kis sanad ki baat ker rahey hain ya phir koi
nayi sanad aap ney khud hi ghar li .
haris bin abi usama kehtey hain humien hadees byan ki ismaiel bin abdul kareem
nai, inhee hadees byan ki ibraheem bin aqeel nay, unhu nay apney walid(aqeel) say
unhook nay wahab bin munabba say aur unhu nay jabir raziallah anho say kah nabi
Sallahu alihewasallam nay farmaya
EESA alehsalam nazil hun gay to musalmanoo kay ameer imam mehdi keheen gay
aaiye jamat karwaiye who kaheen gay nahi. Tum khud hee aik doosrey kay ameer o
imam ho…
Aur aik hadees doosree hadees ki sharah karti hai. ab yahaan porana rona na lay
kar baith jana key muslim mai to naam nahi hai mehdi ka
yeh lo janab ab aap ko nazar aaya mai nay kya quote kiya tha??
Aur aap nay jo jirha ki un mai kuch jirha MUHAMMAD BIN ISHAAQ BIN
yasaar par hai hee nahi balkeh Muhammad bin ishaaq bin yazeed al basri
par hai. Jis ko aap kay kandhalvi sahib MUHAMMAD BIN ISHAQ BIN YASAAR
samajh bethey hain
Yaar mujhai samajh nahi aa rahi shayed aap ki nazar kamzore hai zra meri post
dobarah parhien mai nay kaha hai kuch jirah us par hui hee nahi hui.
Yeh nahi kaha tha key sab ki sab us par nahi huien. Ainak laga kar parhien to acha
ho ga.
Aur doosri jaga aap Abdur Razzaq ko Tashee k ilzaam sey bachaaney k liye
baghair kisi reference k lihktey hain:
Is ki sanad mai ahmad bin zakeer al hazrami aur muhammad bin ishaaq
bin yazeed al basri dono majhool ul haal hain na maloom hain.
yahaan bhi aap ilzaam laga rahey hain kay mai nay refrence nahi diya. Zra yeh parh
lien (al zo`afa al aqeeli 3/109)
Balekh aap nay refrence nahi diya tha refrence mai nay diya hai. jhoot bolna aap ki
aadat ho gai hai aur bus.
Lolz, isko kehtey hain k aap apney daam main saiyyaad agaya. Jab ek ravi
Majhool ul Haal hay to phir us per jirah kaisi ? Iska matlab hay k aap ney
dono main sey kisi ek jagah per jhoot boola.
janab I m sorry to say mai dobarah kehta hun koi achi c glasses lay lo takeh meri
poori posts aap ko nazar aa jaien aur aap ko gunah bhi nahi ho ga kion kay muft mai
mujh par jhoot ka ilzaam laga rahey ho.
Majhool Ul Haal Raavi woh hota hay jis k baarey main muhadiseen ko kuch
pata nahi chalta k woh kaun hay, kaha sey aaya, aaya woh asli main koi
shakhs hay bhi ya sirf ek naam ghar liya gaya hay. Isi liye aisey raavi ki
rivayat qable qubool nahi hoti kyu k aisey raavi ki jirah o tadeel maujood
hi nahi hoti, To phir aap ney kaisey keh diya k Kandhalvi ney jitni jirah Ibn-
e-Ishaq bin Yasaar ki quote ki hay woh actual main Ibn-e-Ishaq bin Yazeed
Al Basri ki hay, jab k doosri jagah aap kehtey hain k Ibn-e-Ishaq Yazeed Al
Basri Majhool ul Haal hay.[/]
aap bar bar mujh par jhoot bol rahey ho wesey I m damn Sure kay ALLAH
merey sath hai. jo aap say hee galtiyaan karwata jar aha hai.
Aur aap say mai nay majhool ul haal ravi kay barey mai poocha hai jo is ki
explanation shuroo kar dee??? Muft mai hee topic sey deviate ho rahey ho.
And I am Damn sure k aap ney dono jagah per jhoot bola hay. Ab to aap k
reference jaaker check kerney pareingey. Itna bara jhoot aap yahan ravani
main keh gaye. Sirf apni baat ko defend kerney k liye. Ab Ibn-e-Ishaq sey
marvi koi baat aapki nahi maani jasakti, bulkey ab to aap apna aitbaar hi
kho gaye. Aap yahan ghalat references detey hain aur soochtey hoongey k
main ney jo kehna hay kaun sa kisi ney jaaker usko check kerna hay. So
bhai aap to pakrey gaye is dafa.
Isi liye kehta hoon k Ilmul Hadith per behas kerney sey pehley us per kuch
ilm hasil kerlein. Aur plz ghalat references aur jhooti baatein yaha na
paish kerein.
aur mai nay ibn e ishaq say marvi aik bhi hadees paish nahi ki hai wo aap nay hero
bannaney kay liye us par jirah wa tadeel shuroo kar dee.
mera aik refrence bhi galat sabit kar do mai maan jaoon ga. Jhoot kiion boltey ho.
Asal mai jis kay dil mai chor hota hai who hee aisee baat karta hai.
Ufff apna sarr peetney ko dil chahta hay, yaar plz yeh baat maan lein k
aapney Ilmul Hadith k ooper basic Qaida bhi nahi perha aur aap yaha
Rijaal ki behas leyker beth gaye hain, main ooper reference sey sabit ker
aaya hoon k Agar koi rivayaat bohat saari Zaaef Sanad sey marvi hooti hay
to Ibn-e-Hajr etc us k Hasan Laghairatah hooney k Qayil hain aur aap
awain main kehtey hain k Zaeef+Zaeef+Zaeef=Zaeef.
Aap ko Zaaef, Mauzoo, Munqatey, Mursil etc ka farq bhi pata hay ya nahi.
Baba yeh sab likhney sey kuch perhlein.
janab khan refrence diya hai aap nay ibn e hajar bohet sari zaeef riwayat ko hasan
laghirah kehtey hain?
hasan laghira who hoti hai jis kay aik ravi mai thora sa zo`af ho. Bohet ziadah zaeef
ahadees hasan nahi ban jatien.
Haan un ahadees mai kisi ravi mei thora sa zo`af ho us say who hasan lagheera
banti hai.
Aur yahaan hasan lagirah ki behes na cher daina ab. Topic par rahein.
Ab aapki yeh halat hogayi k Sihah-e-Sitta ko chorr ker aap in third rated
books per agaye. chalein ji zara is hadith ko bhi dekh letey hain. I must
wonder k is hadith ka tazkira kabhi kisi ney nahi kya. Yeh Hadith Muslim
main maujood hay baghair Mehdi k naam sey. Aap ney apni post main
aagey yeh baat likh bhi di hay.
When I searched for this hadith I didnt get it anywhere, Not even Ibn-e-
Khildoon talked about this hadith in his Muqadma, even your rival
Kandhalvi didnt talk about this hadith. Aakhir yeh hadith aayi kaha sey,
Main aaj pehli baar aap k munh sey is hadith k baarey main sunn raha
hoon.
janab ap ko mai pehley araz kar chukka hun kay imam bukhari aur muslim apni
sahih mai har sahih hadees nahi laye hain. aur yeh keh hadees ka miyaar us ki
sanad hoti hai na keh us ka bukhari mai aa jana. Bukhari mai hadees is liye sahih
hain kion kay un ki sanad sahih hai.
2ndly ibn e khuldoon khud keh rahey hain keh is mai kuch ahadees aisee hain jin
par jirah nahi hui hai.
3rdly aap kay kandhalvi sahib koi nabi nahi hain jin ko ALLAH tala wahi kar dien keh
yeh hadees bhi mojood hain.
aur kitni hee ahadees aisee hain jo bukhari ko nahi milien. Aap kis khait ki moli hain
jo merey munh say first time sun rahey ho??.
aur aap nay yahaan khud hee iqraa kar liya hai keh aap kandhalvi say copy kar
rahey ho. Aap kay munh say khud hee nikal aaya.
Aur yeh rona chor do keh Bukhari Muslim mai nahi is mai nahi us mai nahi yeh
baat poorani ho chuki hai.
Mujhey to lagta hay k aap ney ghar bethey yeh hadith ghar daali hay
Aap muft mai mujh par kazzab ka fatwa laga rahey hain. asal mai aap ki halat yeh
ho gai hai keh aap ko jawab daina nahi a raha. Mujhai who hadees yaad hai jis nay
jaan boojh kar mujh par jhoot bola who apna thikana jahunnum mai bana lay.
Aur aap ko yeh bhi yaad hona chahiye kay musalmaan ko gali daina fisq hai. aap
nay to mujhai hadees gharney wala bana diya hai.
Mujhai who hadees yaad hai jis nay jaan boojh kar mujh par jhoot bola who apna
thikana jahunnum mai bana lay.
Aur aap ko yeh bhi yaad hona chahiye kay musalmaan ko gali daina fisq hai. aap
nay to mujhai hadees gharney wala bana diya hai.
Aur aap ko mai bar bar keh chukka hun Muslim o Bukhari nay yeh dawa nahi kiya
hai keh unhu nay apni sahih mai har hadees lay li hai balkeh bukhari nay to yeh bhi
keh diya keh kitni hee sahih ahadees aisee hain jo meri book mai nahi hain. blkeh
un ki tadaad meri jama ki gai ahades say ziadah hain.
Aur yeh hades musannad haris mai bhi hai. aur al manar al maneef ibn e qayam ki
book hai.
Agar aap ko nahi pata to is ka kya matlab hai yeh ahadees exist hee nahi karti??
is hadees ko ibn e hajar nay fath ul bari(6/493, 13/93) quote kiya hai aur sakoot kiya
hai. jo in kay nazdeek hasan darja ka saboot hai.
Janab mehdi kay ooper 300 ahadees o asaar hain. ab ap ko aik aik ka pata hai
kya??.
Agar aap ko nahi pata to is ka kya matlab hai keh ahadees exist hee nahi kartien??.
300 ahadees mai kum say kum 50 ahadees sahih o hasan darja ko pohonchti hain.
bakasrat ahadees woh bhi hain jin ko ibn e khuldoon apni kitab mai warid nahi kar
paye.
(al radd min kizb al ahadees al waridatah fe mehdii page 28)
aur jin par ibn e khuldoon nay jirah ki hai un mai bhi ibn e khuldoon nay kaha hai
thori c ahadees hain jin par jirah nahi hui hai.
kisi aik muhaddis ki baat hoti to baat aur thi. Yahaan jamhoor muhaddiseen almost
all muhadiseen mehdi ki ahadees ko sahih mantey hain.
khair who bilkul theek kehtey hain lekin may yeh keh raha hunk eh jhaan almost all
muhaddiseen aa jaien wahaan to khata nahi ho sakti na ??.
Abu Hatim said that he is not enough capable to declare him Siqa.
yahaan abu hatim yaad aa gya jub mai nay abu hatim aur zahbi say ali
raziallahanho wali hadees paish ki to forum mukar gaye??.
Ho sakta hay k ab yeh kaha jaye k tum ney Asim per jirah kaisey kerdi jab
k Bukhari ney us sey rivayat li hay to iska jawaab bhi hay. Lijiye Ibn-e-
Khildoon ki zabani iska jawaab dekhiye:
ibn e khuldoon ki yeh batien tumheen yaad hain aur jo unhu nay kaha hai keh kuch
ahadees aisee hain jin par jirah hui hee nahi who yaad nahi aatien tumeen. Aur
kuch ahadees aisee hain jin ko ibn e khuldoon nay apni book mai quote hee nahi
kiya hai.
ibn e khuldoon achey tareekh daan the magar muhaddis nahi the. Un ki baat ka
taqub kitney hee muhaddiseen nay kiya hai. aur yeh keh ibn e khuldoon mehdi kay
munkir nahi the. Unhu nay khudd hee maan liya tha kay kuch ahadees aisee hain jin
par jirah nahi hui hai.
is ko copy karney ki zroorat nahi samjhi mai nay lekin agar aap bazid hain to janab
jawab bhi sun lo.
Abu hanifa par muhaddiseen nay jirah ki hai jis mai ahmad bin hamble nisaai yahya
bin moieen jesey barrey muhaddis aatey hain.
Ibn e saad ka ustaad kay barey mai mai baat nahi karma chahta lekin siraf itna keh
dun ko muhaddiseen siqqa kehtey the.
Rahi maalik kay katib ki to janab yahaan bhi araz hai keh mai nay abu hanifa par
jirah quote kit hi.
Ab yahaan yeh rona na lay kar beth jaiye ga keh aagey kion copy nahi kiya.
Can I ask you k aap ney underline lines kyu omit kerdi thi meray para ko
copy kertey huey coz aap ko un main poochey gaye sawaalat k jawaabat
maloom nahi they. Jaaye Imam Abu Hanifa per tanqeed kerney sey pehley
Underline lines k jawabaat dhoondhye, isey kehtey hain molviyana
chabukdasti k jis cheez ka jawaab nahi pata isko line sey hi nikaal diya.
Lolz.
pehli baat mai apney aap ko molvi nahi bolta. 2ndly mai nay us ka jawaab daina
lazmi nahi samjha kion kay out of debate tha. Lekin phir bhi day diya hai. aap ki
zidd ki wajha say.
Kya double standard hay, Jab inhi Ulma-o-Muhadiseen ki jirah aur Dalail
Abdur Razzaq aur Ibn-e-Ishaq k baarey main bataye jaatey hain to aap
inko to hadith main Zaeef maanney per tayyar nahi hootey bulkey unki
quwaat k qayil rehtey hain. Miyaan kuch to insaaf pasandi ka muzahira
kerein, Jirah o Tadeel her Ravi k baarey main kitb ur Rijaal main maujood
hay lekin aapka masla yeh hay k aap apney fav raaviyo ki sirf tadeel naqal
kertey hain aur apne maslak k against k raviyon ki sirf jirah. Isey kehtey
hain munafiqat .[/p]
aap bar bar apni zuban bahir likaal rahey hain. lagta hai aap mazay lay
rahey hain. aur munafiq mai nahi aap kar rahey hain munafiqat khair
Abdul razzaq kay ikhilaat wali riwayat ka jawab to mai day chukka hun.
Aur un par shia hona sabit hee nahi hai. shia ki koi mufassir jirah hee nahi
hai.
Rahi baat ibn e ishaq ki to janab ibn e ishaq ko phir Imam muslim nay
(baqol aap kay) shawahid ki bina par liya hai.
Abu hanifa ko to na malik nay na bukhari nay muslim nay na tirmizi nay etc
liya hee nahi hai.
Isey kehtey hain Na Waqfiyat ki intiha. Sab sey pehley to yeh k Imam Abu
Hanifa Imam Bukhari k ustaad nahi they aur na hi un k daur main they is
liye yeh qareen-e-qiyaas hay k Imam Bukhari tak Abu Hanifa ki ahadith na
pohnchhi ho aur agar pohanch bhi gayi ho to Abu Hanifa ko Imam bukhari
Marjai samajhtey they is liye unki Hadith unho ney na li hogi. Lekin aapka
Ahmed Bin Hanbal k baarey main kya khiyaal hain, jin k dars main Bukhari
bethey hain aur phir bhi Bukhari Ahmed Bin Hanbal sey "Hadsana" kehker
rivayat nahi kertey.
janab bukhari mai to malik ki ahadees bhi hain lekin imam malik un kay
teacher nahi hain.
aur aap nay khud hee kaha abu hanifa ko bukhari marjai mantey the is liye
nahi li. To janab muslim aur motta kay barey mai kya khyaal hai un tuk bhi
hadees nahi pohonchi??
Baqol nisaai unhu nay 50 ahades zikar ki hai jin mai galtiyaan hain.
Kya khyaal hai aap ka ab. Khair topic say bahir na jaien mehdi par hee
rahien.
Ab main aap sey poochta hoon k muhjey bataye k kya wajah hay k Bukhari
ney Ahmed Bin Hanbal sey koi Hadith "Hadsana" kehker rivayat nahi ki jab
k Ahle Haditho k nazdeek Ahmed Bin Hanbal Bukhari k ustaad they. Jab k
Bukhari apney doosro ustaado jaisey Ishaq Bin Rahwiya etc sey "Hadsana"
keh ker apni Sahih main hadith laaye hain. To kya ab aap Ahmed Bin
Hanbal ko Majrooh maaneingey.
yaar aap ki bhi daad deni parrey gee. Ahmad bin hamble khud kehtey hain
kharaasan mai bukhari jesa aalim paida nahi hua.(tafheem ul bukhari volume 1
page 2)
imam ibn e hajar asqalaani kehtey hain Bukhari kay asatazah ka koi taiyun nahi kiya
ja sakta kion kay hazaroon hazraat aisey hain jin say unhu nay 1 hee riwayat li
hai(fath ul bari)
aur aap ka yeh kehna unhu nay ishaq bin rawahia say haddasana say hadees nahi
li. Shayed yeh bhi ap nay copy paste kar liya hai yeh lo hadees jis mai unhu nay
Ishaq bin rawahiya say riwayat li hai.
Haddasana Ishaq qala haddasana obaidullah bin moosa qaal akhbarana israel an abi
hussain an yahya bin wasaab an masrooq qaal sa`altu ayesha raziallahanha an
sallate Rasool illah Sallahu ailihewasallam.
Jao yeh sanad hee kafi hai hadees likhnay ki zroorat nahi hai logoon ko aap ki hut
dharmi dikhana maqsood tha ab yeh na kehna khud gharr li hai refrence lay lo
bukhari kitab ul tahajjud baab kaifa kana salatun nabi sallahu alihewasallam wa
kum kana al nabi sallahuialihewasallam yusalli minal lail
aik aur riwayat ishaq bin rawahiya sai li hai zra kitab ul kasoof baab al nidaa bil
salatu jamia tun fil kasoof open kar kay dekho pata lag jaye ga.
Yeh 2 woh ahadees hain jin ko ALLAH merey samnay lay aaya hai. warna kitni hee
ahades unhu nay haddasana ishaq say li hain.
Yeh khan ka qadidah hai keh bukhari jis say haddasana say riwayat na karien to woh
majrooh ho jata hai?. Mai nay to kaha hai ahmad bin hamble ki ahadees bukhari mai
hain. Aur bagair shawahid kai hain.
Lihaza un ko is liye majrooh kehna keh un say haddasana say riwayat nai ki yeh aap
hee ki faqahat hai.
Rahi baat imam shafi ki to us ka jawab mai dun ga INSHALLAH sabar kar jaien.
Kyu k main ney Madina university k scholar ki reference sey bhi likha tha
jisko aap hazam kergaye:
Taham Imam Hakim per hadith main Tasahul sabit hay, woh baaz shadeed
zaeef ahadith ko bhi Sahih keh jaatey hain is liye Hadith ki taseeh k
maamley main woh hujjat nahi, unki ahadith ki tehqeeq ki jaani chahye aur
un k munasib haal un per hukum lagana chahye. Imam Zahbi ney is kitaab
ki talkhees ki hay aur baaz ahadith per hukum bhi lagaya hay, is k
bawajood kitab mazeed tehqeeq ki talabgaar hay.
Aap yaha phir underline words kha gaye. Dr Mehmood Al Tahan khud
kehtey hain k Zehbi ki talkhees k baad bhi yeh kitaab mazeed tehqeeq ki
talib hay. lekin aap ney yeh baat sheer-e-madir samajh ker pee li.
janab talab gaar hai us hadees ko sirf zahbi aur hakim nay sahih kaha to baat aur
thi.
Yahaan to muhaddiseen ki line lagi hui hain
Yeh hadees Ibn e maja h 4151, musnad e ahmad 1/84, ,ibn e abi shaiba 321,
tareekh kabeer imam bukhari 1,1,317 mai hai
Al jami ul sagheer mai is ko suyuti nay hasan kaha hai al bani nai sahih kaha hai. Al
jami ul sagheer hadees:6611 bastawi nay hasan kaha hai(al ahadees ul waradatah
fil mahdi 1/157)
Aap apni zidd laga kar baith gaye ho to mai kya karoon.
"Aur Hakim per Hadith main tasahul ka ilzaam hay aur yeh ilzam bhi k woh
Ali (ra) ki fazeelat sey muttaliq ahadith ki sehat main kafi mutasahil
waqaiye huey hain is liye kuch mutashidideen ney un per shiyat ka ilzaam
lagaya hay jo k durust nahi albatta muqadamm uz zikr dono ilzaam un per
sabit hain is liye unki paish kerda ahadith ki tehqeeq lazim hay khaas ker
jab to Fazeelat-e-Ahle Bayt sey muattaliq hoon." (Al Mauzuaat Pg. 333)
janab mai phir keh raha hunk keh hakim ki hadees ko siraf hakim ya zahbi nay sahih
nahi kaha hai.
aap dr tahaan ki poori baat parho unhu nay khud kaha hai keh us ki tehqeeq karma
parrey gee. To janab us ki tehqeeq muhaddiseen nay ki hai.
Al jami ul sagheer mai is ko suyuti nay hasan kaha hai al bani nai sahih kaha hai. Al
jami ul sagheer hadees:6611 bastawi nay hasan kaha hai(al ahadees ul waradatah
fil mahdi 1/157)
Is hadees ko siraf iss liye radd karma kion kay Ali raziallahanho say hai jahalat hai
aur kuch nahi.
O meray bhai! Ibn-e-Kaseer ney Sahaba (ra) per Taan kerney ka matlab eh
nahi k woh unko gaaliyaan nikaaltey they ya phir un sey ahadith nahi letey
they, bohat hi kurhmaghaz ho aap. Aap ko abhi bohat perhna hay. Iska
matlab yeh tha k Ibn-e-Kaseer ney Sahaba (ra) ki tanqees main rivayat ko
chaant phatan kiye baghair apni Tareekh main jagah di jin ki wajah sey
Maududi jaisey logo ney Khilafat o Malookiyat jaisi kitab likh maari.
Ab aayi samajh main meri baat. Maududi k baarey main aaj tak kisi ney
kaha k woh Mauviyah (ra) sey rivayat nahi letey they ya Umer (ra) ko bura
bhala kehtey they. Bohat hi aqalbund hain aap. Ilmi kitaabein perha kerein
apney Maslak Ahle Haditho k alawa aur kisi ki bhi to shayed kuch samajh
main aati aapko meri baat.
Janab pehley to aap who refrence do jis mai ibne kaseer nay sihaba ko tana diya aur
yeh bhi keh who un ko bura kehtey the. Ibn e kaseer ka apni tareekh mai koi baat
lay aana us ka aqeeda nahi bun jata. Aqeeda tub un ka banta hai jub who us ko
mantey.
Balkeh baraqs woh moaviah raziallahanho aur sab sihaba ko sahi mantey the.
Meri pichli 2 dino ki kisi post main Kandhalvi ka koi reference nahi, lagta
hay k aapko Kandhalvi phobia ho gaya hay. Aur Ibn-e-Kaseer ney Sahaba
(ra) ki tanqees main rivayaat apni Al Badaya Wanahaya main naqal ki hain
aur wahi sey leker Maududi ney Sahaba (ra) per Khilafat o Malookiyat
main keechar uchaala hay.
Mashallah aaj aap nay accept kar hee liya kay aap kandhalvi say quote kar rahey
the. Aakhir ALLAH nay aap ki zubaan say nikalwa hee diya.
Khair al bidaya ka refrence do aur yeh bhi keh ibn e kaseer ka apna yeh aqeeda tha.
aayi samajh main meri baat. Itney fariqh hain k Ibn-e-Kaseer ki tafseer
khool ker Sahaba (ra) k naam ginaaney beth gaye jaisa k main ney Ibn-e-
Kaseer ko shia keh diya ho. Kuch Ilm hasil kerlo meray bhai.
janab mai to ilam hasil kar raha hun agar aap mazay lay rahey hain to mera kya
kasoor.
Original book say dekha hai mai nay warna aap ki baat par rehta to gumrah ho jata.
Aap kay pass time nahi hai to mera kya kasoor. Mai nay to Alhum dulillah ilm hasil
karney kay liye check kiya hai.
Aap waqai baghair perhey hi likhna shru kerdetey ho. Kandhalvi ney to
Mazhabi Daastaanein Vol. 3 main Hakim ko defend kya hay aur un per
Tashee k ilzaam ko ghalat kaha hay aur aap ney beechaarey Kandhalvi per
hi jhoota ilzam jhar diya k us ney Hakim ko Shia kaha. Sharam kero meray
bhai kisi ki taraf jhoot mansoob kertey huey.
mera maqsad yahaan abdul razzaq ki taraf tha. Aur haakim ka mujhai pata nahi kay
kandhalvi nay kya kaha hai aur kya nahi. Mai to kandhalvi ko gustaakh e rasool
manta hun.
Jo nabi ki taraf jhoot bolta hai.