Eid Meeladun Nabi Roman Urdu
Eid Meeladun Nabi Roman Urdu
Eid Meeladun Nabi Roman Urdu
1) Tamheed 04
4) Hadeeson se suboot 11
5) Eterazaat O jawabaat 13
6) Buzurgon ka amal 17
8) Waqt-e-wiladat ki yaaden 20
14) Aasaar-e-Mubarak 28
TAMHEED
Tamaam khoobiyan Allah ke liye, jo saare jahaano ka
paalne wala, nihaayat meherbaan, bara rahem waala.
Hazaaron darood o salaam aur croron barkaten aaqa o maula
Muhammadur rasoolullah ke liye jinke tufail, ham shirk aur
kufr ki gumrahiyon se nikle. Aur darood o salaam ke tohfe
Rasoole-paak ke tamam Ahle-bait, jumla Sahaba-e-kiraam ki
khidmat mein. Jinhen Allah ke rasool ne baad waale tamam
musalmano ke liye sham-e-hidayat banaya.
Aur drood o salaam un chaar imaamon par jinke tareeqe par
amal karna Rasoolullah ki sunnat par amal karna hai. Aur
saath hi tamaam Auliya-Allah par, jinka raasta “siraate-
mustaqeem” hai. Jo unse door hua, islaam se alag hogaya.
ZIKRE WILADAT-E-RASOOL
QUR’AAN KI ROUSHNI MEIN
Jashne wiladat-e-Rasool ka tazkira sab se pahle
khaaliqe kainaat Allah rabbul izzat ne farmaya. Aur us waqt
farmaya jab kisi ka wujood hi nahi tha. Tamam insanon mein
sab se afzal ruhoun ko jama kiya, aur ek azeemush-shaan
‘Mahfil-e- zikre Wiladat’ munaqid ki. Jiska bayaan quraan-e
kareem mein is tarah farmaya.
ٌ ْ ۡ و ا ِْذ اخذ اہلل م ۡی ٰثق النبّی لما ۤ ٰات ۡیتک ۡم م
ک ْم رس ۡول ُ ٓاء ج مُ ث ۃ
ٍ م ک ح
ِ و َٖ ب
ٍ تٰک ِ ن ِٖ ُ ُ َ َ َ َ ٖ َ َ َ َ ُ ِ َ ٖ َ ِ ن
ُ َ َ َ َٖ َ
ٰ ْ ْ ک ْم لت ْؤ ِمنن ب نہ ولت ۡنصرنہؕٗ قال ءاقْر ْرت ٌ
ک ْمُ ِ خذت ُ ْم َع ٰٰل ذل َ َ ُ َ َ َ َ َ َٖ ُ ُ َ َ َ ِ َٖ ُ ُ َ ُ ص ٖ ِدق ٖل ِ َما َم َع
َ او م م
َ ُٖ
ٰ ٰ ْ ْ وا اقْر
ۤۡ ۡ ِصر
﴾ ف َ َم ۡن تَو ّٖل۸۱﴿الش ِہ ِدیۡن ٖ ک ۡم ِٖمن ۡ
ُ ال فَاش َہ ُدوا واَنَا م َع َ َ ق ٗؕاَ ن ر َ ُ یؕٗ قَال ِ
ْ ا
َ َ َ َ َ َ
ۡ ٰ ْ ٰ ْ
﴾۸۲﴿ہم الف ِس ُقون بع َد ذلِک فاُولٰٓئک
َ ُ ُ َ ِ َ َ َ
AUR YAAD KARO, JAB ALLAH NE PAIGHAMBARON SE
UNKA AHED LIYA, KE MAI TUM KO KITAAB AUR
HIKMAT DOON, PHIR TASHREEF LAAEN TUMHARE
PAAS WOH RASOOL JO TUMHARI KITABON KI
TASDEEQ FARMAE, TO TUM ZAROOR ZAROOR UN PAR
IMAN LANA. AUR ZAROOR ZAROOR UNKI MADAD
KARNA. FARMAYA: KIYUN TUM NE IQRAAR KIYA? AUR
IS PAR MERA BHARI ZIMMA LIYA? SAB NE ARZ KI! HAM
NE IQRAR KIA. FARMAYA: TO EK DOOSRE PAR GAWAH
7
QURAN MAJEED SE
JASHN-E- WILAADAT MANANE KA SUBOOT
Quraan majeed mein kaei maqamaat par aamade asool ke
tazkire maujood hain. Kuchh aayaten to aap ne mulahaza farma
leen. Ab aaiye, woh aayaten bhi pesh hain jin mein hamein
aamade Rasool par khushi manane ka hukm bhi diya gaya
hai. dekhiye... Allah farmaata hai.
ْ ۡی مما ی
﴾۵۸﴿ ج َم ُع ۡون ٌ ۡ حم ِت نہ فب ٰذلِک ف ْلی ْفرح ۡوا ؕٗ ہو خ
ْ ضل اہلل وبرْ ْ
َ ِ
َ َٖ ٖ َ َ ُ ُ َ َ َ َ ِ َ ِ
َ َ َ ِ ِ َ ُق
ف ب
ِ ل
HADEESON SE SUBOOT
Hamare Nabi ne khud apna youm-e- wiladat manaya
hai. Dekhiye Saheeh Muslim shareef,
Eteraaz; Islaam mein eid sirf do hi hain, ye tisri eid biddat aur
islam mein ziyadati hai.
Jawaab; Islaam mein sirf do hi eiden hain? Rasoolullah ne to
har juma ke din ko musalmano ke liye eid ka din qaraar diya hai.
JASHN-E-WILAADAT AUR
BUZURGON KA AMAL
Qraan o hadees ki raushni mein “eid meelaad” ke subooton
se imaan taza hogaya. Ab barkat haasil karne ke liye kuchh
buzurgon ke maa’moolaat ka muataala karte hain.
Muhaddis ibne Jauzi [510 hijri/ 579 hijri] kahte hain: Makkah,
Madeena, Misr, Shaam, Yaman gharz mashriq se maghrib tak
tamam arab mulkon ke rahne waale hamesha se “meelaadun-
Nabi’ ki mahfilen munaqid karte aae hain. Jab Rabi-ul-awwal
ka chaand dekhte hain, to unki khushi ki inteha nahi rahti.
Chunanche, zikre meelaad parhne aur sunne ka khusoosi
ehtemaam karte hain. Aur iske sadqe mein bepanaah ajr o
sawaab aur bari kaamyaabi haasil karte hain. {Al-meeladun-
nabawi}
Imam Shamsuddin jazri [---/660 hijri] farmate hain: Jo aapki
wilaadat par khushi ka izhaar kare, aur apki muhabbat ki wajah
se apni taaqat ke mutabiq kharch kare. Mujhe apni umr ki
qasam beshak Allah kareem uska ajr zaroor dega. Aur usko
apne fazl se jannat ki nematon mein daakhil farmaega. {Husnul-
Maqsad fi amalil-maulid bahawala Urfut-tareef Bil-
maulidish_shareef}
Imam Zahbi [673 hijri/ 748 hijri] Sultaan Abu Saeed
Muzaffaruddin ki taareef karte hue likhte hain. Woh munkasirul
mizaaj tha, Pakka sunni tha. Ulama aur muhaddiseen se bahut
muhabbat karta tha. Woh har saal ‘Mahfile meelaad’ ke liye teen
laakh deenaar kharch karta. Meelaad ka mauqe par uske
dastar-khwanon ke upar paanch hazaar murghiyaan, ek laakh
mitti ke bartan aur tees hazaar mithaei ke thaal paae jaate.
{Siarul aalamin-nubala}
Shaikh Imam Abu shamah [599 hijri/ 665 hijri] ne bhi Sultaan
Muzaffaruddin ki taareef ki hai. “Allah ta’ala usko mahfooz
rakhe, har saal Yaum-e-Wilaadat ke mauqe par khushi ka izhaar
karte hue, sadqaat o khairaat ke darwaaze khol deta hai. Neik
18
PAHLA SAFAR
Jab piyare aaqa ki umr shareef 12 saal ki thi. Us waqt
chacha Abu taalib tijaarat ke liye mulke Shaam jaane ka iraada
kiye. Lekin chunke woh aap se door rahna bardaasht nahi karte
the, isi liye us safar mein aapko bhi apne saath mulke Shaam le
gae.
Jab ye qaafila ‘Busra’ naam ki jagah pahuncha to hame-sha
ki tarah ek church ke paas sab aaraam ke liye ruk gae. Wahaan
ek raahib tha, jis ne Tourat o Injeel mein ‘Aakhri Nabi’ ki
nishaniyaan parhi thin. Jaise hi us ne hamare Nabi-e-kareem
ko dekha, pahchaan liya. Woh janaab Abu taalib ko tanhaai
mein legaya, aur kahne laga ke, ye saare jahaan ke sardaar aur
Allah ke aakhri Nabi hain. Mai ne dekha hai per, poude aur
patthar inko sajda kar rahe hain. Inke dono shaano ke
darmiyaan mohare nubuwwat hai. Aap is baat ko raaz mein
25
rakhna. Aur aapke liye bahtar yahi hai ke jald se jald yahin apna
saamaan bech kar, fauran Makka waapas ho jao. Kiun ke mulke
Shaam ke yahoodi inko pahchaan len, to takleef pahuchaane ki
koshish karenge. Itna sunte hi janaab Abu taalib ne wahin apna
maal bech diya. Aur fauran Makka waapas aagae. {Tirmizi.J.2
Page 203}
Hazrat Usman bin Abul aas apni ammi ka qaul naql karte hain
ke “Us raat woh ghar ki jis chiz ko dekhti woh raushan hi nazar
aati.” {Tarikhul Tabri}
Khaas kar masjidoun ko aabaad aur raushan rakhen.
AASAAR-E-MUBARAK
Nabi-e-kareem ke Gesoo-e-mubarak dunya bhar mein
intihaai aqeedat o muhabbat ke saath mahfooz kiye gae hain,
aur khush aqeeda musalman khaas mauqoun par unki ziyaarat
ka sharf haasil karte hain. Ye koi naya amal nahi, balke
sahaaba-e-kiraam ka ek bahut mahboob aur pasan-deeda
amal hai. Sahaaba-e-kiraam hamesha aasaar-e-mubarak se
barkaten haasil farmaate.
29
EK GUZAARISH
MAHFIL-E-MEELAAD MEIN SAB SE ZAROORI CHEEZ
SALAAM
UN PAR DAROOD JINKO HAJAR TAK KAREN SALAAM
UN PAR SALAAM JINKO TAHIYYAT SHAJAR KI HAI.
Kaei risale aur kitabein alag alag topics par tarteeb de kar,
banai gai hain. Lekin Asbaab ki kami ki wajah se printing ka
kaam ruka hua hai.
Allah paak aasaani farmaae. Intezam farmae,
aur hamari khidmaat ko qabool farmaae.
Aameen.
+91 9030897863 +91 9032119287
33