Surah Kahf Summary
Surah Kahf Summary
Surah Kahf Summary
www.livequraneverymoment.org Page | 1
Surah Al Kahf JUZ 15
Maldaar Dost Ke Paas 2 Angoor Ke Baagh The, Atraaf Khajoor Ke darakht The, Undono Ke
Beech Mein Ek Khet Tha Aur Ek Nehar Beh Rahi Thi
Usne Takabbur Kiya Aur Kaha Ki Wo Behtar Hai Doosre Dost Se Maal Aur Aulaad Mein
Wo Samajhta Tha Ke Uske Khet Kabhi Barbaad Nahi Honge
Usko Qayamat Par Yaqeen Na Tha
Wo Kehta Ke Agar Qayamat Aa Bhi Jayegi, Jis Tarah Wo Duniya Mein Maaldaar Raha Usi Tarah
Aakhirat Mein Bhi Uska Anjaam Acha Hoga
Uska Dost Kehne Laga Ke Tumne Apne Kheit Mein Dakil Hote Huye Ma Sha Allah Kyun Nahi
Kaha
Aur Kehne Laga Allah Chahe Toh Usko Usse Behtar Dega
Takabbur Karne Waale Dost Ka Sab Kuch Barbaad Hoagaya Aur Wo Haath Maltey Reh Gaya
Ruku 6 – Ayat 45-49
Duniya Ki Zindagi Khatam Hone Waali Hai
Maal Aur Aulaad Duniya Ki Zindagi Ki Zeenatein Hai
Maal Aur Aulaad Akhirat Mein Kaam Nahi Aayega
Nekiyaan Hamesha Rehne Waali Hai
Qayamat Ke Din Insaan, Allah Ke Saamne Aisa Hazir Kiya Jaayega Jaisa Wo Duniya Mein Paida
Hua Tha – Belibaaz, Akela, Baghair Khatna Ke,Baghair Maal Aur Jaaidaat Ke
Har Kisi Ko Naam-E-Amaal Diya Jaayega, Naam-E-Amaal Mein Har Cheez Likhi Hogi
Ruku 7 – Ayat 50-53
Allah Ne Farishton Ko Adam As Ko Sajda Karne Ka Hukum Diya Tha
Sabne Sajda Kiya Siwaye Iblees Ke
Iblees Jinnon Mein Se Tha
Iblees Akela Nahi Hai Uski Aulaad Bhi Hai
Qayamat Ke Din Insaan Jinko Shareeq Tehrate The Unko Pukarenge, Par Koi Jawaab Nahi
Milega
Mujrimon Ke Liye Aag Ka Azaab Hai
Ruku 8 – Ayat 54-59
Quran Mein Logon Ke Liye Kayi Misaalein Hai
Rasool Saw Khushkhabri Dene Waale Aur Darane Waale Banakar Bheje Gaye
Kafir Log Aayaton Ka Mazaak Udhate Hai
Jo Allah Ki Ayaat Ke Saath Airaaz Barathta Hai, Allah Unke Dilon Par Gilaaf Daal Dete Hai, Unko
Koi Baat Samajh Nahi Aati
Hidayat Ka Dene Waala Sirf Allah Hai
Zulm Karne Waalon Par Allah Ka Azaab Aata Hai
www.livequraneverymoment.org Page | 2
Surah Al Kahf JUZ 15
www.livequraneverymoment.org Page | 3
Surah Al Kahf JUZ 15
Yajuj Majuj Ko Qaid Kiya. Lohe Ke Tukde, Iron Sheets, Molten Tamba(Copper)-Ki Deewar
Banaye Yajuj Majuj Ko Qaid Kiya
Itna Bada Kaam Kiya Zul Qarnain Ne Kaha Yeh Mera Rab Ki Taraf Se.
Qayamat Se Pehle Yajuj Majuz Khul Jayenge Aur Zameen Me Khoob Sarkashi Karenge.
Ruku-12, Ayat 102-110(In Ayat Mai Jahannum, Jannat, Allah Ki Baat Ka Zikr Hai.)
Farishte Jahannum Ko Khench Kar Layenge.1st Soor- Sab Zinda Log Mar Jaayenge.
2nd Soor- Sab Apni Qabro Se Niklenge.
Imaan Ke Bagair Aur Qayamet Ke Din Ka Inkaar - Saara Amal Zaya Hoga.
Ajubbul Huzn-Jahannum Ki Ek Wadi, Khud Jahannum Roz Usse Panaah Chahti Hai Dikhawe Ke
Ulma Usme Dakhil Honge..
Lessons Learnt From Surah Kahf
1) Is Surat Ki Fazeelat: Pehli 10 Ayate Yaad Karne Se Dajjal Ke Fitne Se Mehfooz.
2) Juma Ko Padne Se Noor
3) Dosti Karo: Subah Sham Zikr Karne Walo Ke Sath
4) Mat Dosti Karo: Jo Zikr Se Ghafil
5) 2 Logo Ki Missal- Sabaq-Ne’mato Par Faqhr Mat Karo
6) Shirk K Khilaaf- No Compromise.
7) Narmi Se Rawayya
8) Bahas Aur Issues Me Nahi Padhna
9) Duniya Aur Akhirat Mai Imaan+ Amal-E-Saleh
10) Takabbur Aur Faqr Nahi Karna
11) Nafs Ko Shareek Nahi Karna.
12) Ilm Se Insaan Me Sabr Aajata Hai
13) Kisi Burayi Me Bhi Bhalayi Hoti Hai Allah Ki Taraf Se,Baad me Hame Pata Chalta Hai.
14) Aulad Ki Wajah Se Jannat Ya Jahunnam Me Ja Sakte –Allah Ko Naraaz Nahi Karna Hai.
15) Aulad Ki Sahi Tarbiyat- Dua Karna Hai Ki Aankhon Ki Thandak Bane.
16) Halal Kamai Ki Hifazat Allah Karega.
17) Ustaad Ki Izzat.
18) Momin Badsha(Muslim Rulers) Ka Maqsad Deen Ko Qayam Kare.
19) Allah Ki Di Hui Taqat,Sources Ka Sahi Use Karna Aur Koshish Kare Ke Logo Ko Fayeda
Pahunchaye.
20) Koi Bhi Kamyabi Hame Mile Wo Sirf Allah Ki Taraf Se Hoti Hai.
21) Maal Aur Power Ke Baad Bhi Narmi Aur Ajizi,Qayamat Par Yaqeen
22) Allah Ki Ayat Ko Samjhna,Padhna Aur Amal Bhi Karna Hai
23) Allah Ke Ahkamaat Follow Karna.
24) Halal Dayre Me Rehna Aur Haram Chod Dena.Bais-E- Ajr Hosakta.
25) Jannat-Ul-Firdaus, Highest Grade Ke Liye Dua Karna.
26) Allah Ki Baatein- Samander Ink Se Replace Karenge Tab Bhi Nahi Khatam Hogi, Sirf Aur Sirf
Allah Ki Ibadat Karna Hai.
Every Friday While Reading Surah-Al-Kahf We Should Remember All These Points
www.livequraneverymoment.org Page | 4