Hayatunnabi (S) Par Inke Aqeede
Hayatunnabi (S) Par Inke Aqeede
Hayatunnabi (S) Par Inke Aqeede
ALAIHI SALAM
Ye baat aam hai aur sab jaante hai k wahabi jamat Akeeda e Hayat un Nabi ko nhi maante aur Nabi
alaihi salam ko Murdar samajte hai Maazallah aur Takviyatul Imaan, Kitabut tauhid me to yaha tak
likh diya hai k AMBIYA ALAIHI SALAM marke Mitthi me mile gaye.
Firka E Wahabia ke HIND me baani Devbandi aur Gair Mukallid dono jamaat maante hai dono k
peshwa hai ye Maulana Ismail Dahelvi (Born 1193 Hijri Death 1246 Hizri) apni badnaam
kitabTakviyatul Imaan me likhte hai "Ya'ni mein bhi ek din Mar kar Mitti mein milne wala hun!
References:
(Taqwiyat ul Iman - Urdu; pg : 100 Published by Dar us Salafiya, Mumbai)
References:
(Taqwiyat ul Iman; 79 Published by Adam Publishers, New Delhi)
Kuch wakt pehle Saudi Arabia me kitab chapi Wahhabi/Salafi likhte hai
"Iss se malum hua ke aap Murdah hain"
References:
(Al Hajj wal Umrah wal Ziarah,pg : 161 by Shaykh Abdul Aziz bin Baaz, Riyadh)
Allah ki panah in mardoodo se. Khair jab ye bataya jaata hai to wahabi apni kayas lagate hai aur
jawab dete hai ye mar gye hai inse hume kya accha kare to jannat me jaaynge aur bura kare to
jahannam me jaaynge. Chaliye janab ye mar gye to ab sunlo inke zinde jahilo ke ye hai GAIR
MUKALLID nahi nahi FIRKE E VICTORIA yaani MUKALID E NASF ki maulvi ko is masle jitney
aitraaz aaynge IN SHA ALLAH wo saare aitraaz k jawab hum Part 07 Aitraaz k jawab me denge.
i) ye hai Maulana Tausif Ur Rehman sahab is video me kehte sawal ka jawab dene pe listen on
this link http://www.youtube.com/watch?v=dKXigElvZTA&feature=youtu.be
Tausif sahab kehte hai
“Agar Nabi Zinda hai har jagah mauzood hai to Masjide Nabvi me Kabr kiski hai, aap sochiye
ALLAH ne akal di hai agr zinda hai to kabr kiski hai, Sahaba kyu roye etc. YE GUMRAAH TARIN
AKEEDE KABAR PARASTO K, K NABI ZINDA HAI HAAZIR NAAZIR HAI YE QURAN K
BHI KHILAF HAI AUR JO AISA KAHE WO GUSTAKH HAI KAAFIR HAI”
ii) Ye hai Maulana Meraj Rabbani sahab Sawal hua k Nabi Zinda hai ya Nahi Janab jawab
dete hai is video me sune link pe click kare http://www.youtube.com/watch?v=Xe8SkypDmTM
Meraj sahab is video me kehte hai
“Aapka Kya Khayal hai Aala Hazrat ! jo aadmi aisa akeeda rakhe Nabi Mare nahi Zinda hai aisa
aadmi kaafir hai, Kya sahaba Zinda nabi ko dafan karte, 2 maulvi Hindustan se Nepal se nahi dono ne
likha Nabi kabr me aise zinda hai jase dunya me zinda hai”
Aala Hazrat rehmatullah alaih ka naam leke in sahab ne ye batane ki koshish ki hai k ye akeeda
AALA hazrat ne izaad kiya hai. ye hai in jaahilo ki ilmi salahiyat inhe aaj tak pata hi nahi hai k
hayatun nabi ka akeeda Hindustan se nahi balki shuru se hi ISLAM me raha hai aur ulema ka is baat
pe izma hai is risale ko padhne k baad aapko pata chal jaayga k ye jo khud ko ahle hadis kehte hai
inhe asal me na to Quran aati hai na to hadis bas yahudio k raste me awaam ko le jaana hota hai.
iii) Ye hai inke Qawwal Maulana Jarjees sahab jhut bolna inki fitrat me shamil hai sunlo kya
kehte hai is link me http://www.youtube.com/watch?v=E08mrCMSabM
Zarees sahab kehte hai
“nahi nahi sahab mar gay na kehna tauhin hojaygi parda kar gye.. tum kitna hi accha lafz istemal karlo
parda kar gye zinda hai bahayat hai wisal kar gye tum kuch bhi kaho kitne hi acche lakab lelo lkin
Janabe Muhammad Rasool allah is dunya me nahi hai agr hai to mujhe address do AHLE HADIS KA
GUNAHGAAR BANDA unse milne jaayga chanda jama karke,MAI UNKO APNE GHR BULAKE
UNKO APNA GULAM NAHI BANAUGA, Hum unko apne ghr bulana nahi gawara karenge mera
ghar is layak nahi hai k hum aaka ko bulao hume batao nabi kaha hai hum jarur jaaynge tum jaao na
jaao KYUKI BADE LOG SE MILA JAATA HAI UNKO GHR BULAKE NAUKAR NHI BANAYA
JAATA HAI”.
Mujhe ye samaj nhi aaya k kisi ko apne ghr mehmaan banana isse murad naukar banane ka kya
maamla hai Balki Mehman ki to hadiso me kaafi fazilat aaye hai. Ye hai ahle hadis ki hakikat inhe
kuch aata jaata nhi hai bas gustakhi karne ka kaam chahye.
iV) Ye hai inke bade Islam ko spread karne waale Zakir naik sahab aaj tak samajh nhi aaya k
konsa Islam ye faila rahe hai jo khud Islam se dur hai, aajke Google Se padhne waale Gair
mukallid bahot maante hai inhe inko bhi sunlo is link me https://www.youtube.com/watch?
v=LZMwTK3K0JI
“Aaaj ki tareekh me hum Muhammad salallahu alahi wassalam se bhi nhi maangsakte ye baba logo ko
to chodo Muhammad salallahu alahi wassalam ko bhi MAAN NA hamare liye haraam hai, jo aadmi
MAR CHUKA HAI”
V) Ye hai inke Peace TV waale ye duniya ko Islam pahuchane ka dong kar rhe hai par khud
Islam se khali hai Bilal Philipssahab foreigner hai to English me lecture dete hai is link me sune
wo kya kehte haihttp://www.youtube.com/watch?v=RajY2ZTeJ1M
Bilal Philips Kehte hai
“When you Call an Rasool Allah Salallahu alaihi wassalam again there is an line of argument that ppl
like to chat that they are living Rasool Allah Salallahu alaihi wassalam said ‘EARTH DOES NOT
EAT THERE BODY’,OK
point 1 : Bcoz earth does not earth eat there body this mean they are living ? It is just a miracle of
ALLAH,
point 2 : If prophet does not died then the sahaba commited great crime isn’t it ? This is non sense, it
is an error clear error,
THE POINT IS RASOOL ALLAH IS DEAD”
“ Urdu Translation : Bilal sahab kehte hai jab behas o hoti hai to log kehte hai k Nabi ne farmaya
Jamin Ambiya k jismo ko nahi khati thek hai maan lete hai, agr maan bhi le tab bhi ye kaha saabit
hota hai k Nabi Zinda hai, agr jisme salamat rehta hai to ye ALLAH ki Qudrat ka ek moezeze hosakta
hai, agar Nabi zinda the to sahabio ne bahot bada gunaah kar diye ek Zinda shaks ko dafan karke,ye
bekar baate hai galat akeede hai, hakikat ye hai RASOOL ALLAH MAR CHUKE HAI “
Maazallah Astagfirulla.
Is sab videos dekhne inke statement padhne k baad kuch aitraz bhi aagye hai IN SHA ALLAH
unka akli aur ilmi jawab. AITRAAZ K JAWAB jo Part 07 me hai usme diya jaayga.
PART 02 : AKEEDA OF AHLE SUNNAT WA JAMMAT ABOUT THE TOPIC OF HAYAT
UN NABI ALAIHI SALAM
1) Ahle Sunnat Wa Jamaat ka bhi Akeeda Is baat pe hai k har wo cheez jisko ALLAH ne banaya hai
wazood bakhsa hai usko ‘fana hona’ hai baaki rehne waali ZAAT sirf ALLAH ki hai. Insaan jinn
parind farishte sabko maut aani hai.Hum is baat k munkir nahi aur hamara akeeda hai aur quran ki wo
aayat jisme maut ka bayan aaya hai wo hak hai uspe hamara imaan hai. ALHAMDULLILAH
Is baat se sirf ye samjhana maksad hai k AMBIYA ALAIHI SALAM ko bhi maut aani hai hum iske
munkir nahi hai. WAHABI awaam me ye galat baat failate hai k Sunni AMBIYA ki maut nhi maante.
Chunache Sayyid Ahmad Sa’id Kaazmi rehmatullah alaihi likhte hai
“Jo koi bhi Huzur alaihi salam k wisaal hone aur jism se Rooh nikale jaane ka munkir hai wo
shaks Quran ki aayat ka aur hadis e paak ka munkir hai wo shaks Islam k dayre se bahar hai”
References:
(Hayat Un Nabi pg : 78)
2) Hum jo kehte hai wo ye hai k Ambiya ko maut aati hai wo k wakt lamhe k liye taaki aayat ka aur
ALLAH k farmaan ka maksad pura hojaye aur unki AMBIYA alaihi salam ki Rooh e Mubarak unke
jism me dobara daal jaati hai AMBIYA KA ZINDA REHNA IS TARAH SE Hota hai jaise wo jaahiri
zindagi me the.
“ANBIYA KO BHI AANI HAI AZAL MAGAR ITNI KI FAKAT AANI HAI” (Aala Hazrat)
Kuch jaruri masle jinhe yaad rakhe aage aasani hogi.
1) Nabi wafat k baad dunyawi zindagi ki hakikat ki tarah jinda rehte hai.
2) Nabiyo ki jindagi hakiki jismani hai shahido ki tarah maanvi aur Roohani nhi hai. Isliye Nabi ki
wafat k baad unka choda hua maal baata nhi jaata hai aur unki biwiya nikah nhi kar sakti. Aur shahido
k masle me maamla alag hai unka maal bhi baat diya jaata hai aur biwiya bhi Nikah kar sakti hai.
3) Nabiyo ki zindagi dunyawi hai barjakhi nhi hai bas fark itna k jaise logo ki nigaho se chipe hai.
References:
(Mufti Zalaluddin Ahmad Amjadi, Anwarul Hadis, pg : 171)
Chunache'Allama al-Hasan bin 'Ammar al-Shurunbulali Hanfi (1069 H) me apni kitab Mirakatul
Maraqi al-Falah sharh matn Nur al-Idahme likhte hai k tehkeek karne waalo se ye baat saabit hai k
Huzur alaihi salam apni dunyawi zindagi ki tarah hayat hai.
Ambiya alaihi salam ki hakiki dunyawi zindagi k saath zinda hai. Unko Rozi di jaati hai tamam lajjat
waali cheezo ka maza paata hai lekin jo log unche darje makam tak nhi pahuchte wo unki aankho se
cheepe hai.
References:
(Tahtavi pg : 447)
Muhaddis Imam Bayhaki Rehmatullah alaihi ne is masle ko saabit karne k liye ek kitab hi likh di
“Hayat Al Ambiya Fi Kuburihim” Fikah E Shafai k bade Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaihi
ne bhi ek kitab likhi “Hayat E Ambiya E Kiram”.
Tarjuma : “Allah Ek Misaal bayan farmata hai, Ek Gulam me kayi badkhu Aaka Sharik aur ek Nire
Ek maula ka, kya un dono ka haal ek sa hai ? sab khubiya Allah ko balki unke aksar nahi jaante”.
References:
(Al Quran: Surah Al Zumar Ayat 29)
Tarjuma :“Beshak Tumhe Intekal Farmana hai aur unko bhi Marna hai”
References:
(Al Quran Surah Zumar ayat 30)
jaise k ayat upar di gayi aayat 29 me bayan hua k 2 insaan k halaat alag hote hai ussi trah Paigambar
ki zindagi aur maut bhi aam insaan si nahi hai wo humse alag hai.
ََواَل تَحْ َسبَ َّن الَّ ِذينَ قُتِلُوا فِي َسبِي ِل هَّللا ِ َأ ْم َواتًا بَلْ َأحْ يَا ٌء ِعن َد َربِّ ِه ْم يُرْ زَ قُون
Tarjuma: “Aur jo log Allah ki raah me qatl kiye jayen unhe hargiz murda guman mat karo, Balki wo
zinda hain aur rizq diye jate hain”.
References:
(Al Quran : Surah Al-Imran, ayat : 169)
References:
(Tafsir Mazhari, Vol 1, Page 151)
TAFSIR2: Isi Ayat ki Tafsir me Wahabiyo ke dil aziz Imam Qazi Shawkani likhte hain:
Quran Paak me ek ayat hai jo Shahido ki zindagi per istedlal karti hain, aur unki zindagi duniya ke
jaisi hi hai, to fir Ambiya ki Hayat ka aalam kya hoga? Aur Imam Munziri ki Hadees kehti hai ki
Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur iski Sanad ko Imam Baihaqi ne Sahi likha hai.
References:
(Nayl al-Awtar, Vol 3, Page 282)
TAFSIR 3:Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaih (Born 841 Hijri – Wisal 911)likhte hain:
Ambiya apni Qabro me zinda hai, ye is Ayat ke Zahiri mayno par bhi sabit hai,
ya Jo Mayne Muhaddesin is se nikalte hain usse bhi.
References:
(Al-Hawi lil Fatawa, Vol 2, Pg: 149)
Tafseer 4 : Hazrat Imam Ismail Hakki Haqqi Rehmatullah alaih farmate hain.
Baaz Ulamae Ikram ne apki qabr ke paas awaz buland karne ko na-pasand kiya hai, kyunki aap qabr
anwar me zinda hain.
References:
(Tafsire Ruhul Bayan, Jild-9,pg-66)
References:
(Tafseer Ibn Kaseer)
References:
(Tafseer-e-Saawi alal Jalalain jild : 1 pg : 128)
PART 04 : PROOF FROM HADEES E RASOOLﷺ
AMBIYA ALAIHI SALAM APNI KABRO ME ZINDA AUR NAMAZ PADHTE HAI
HADIS : 01 Hazrat Anas Rehmatullah alaihfarmate hai, Rasool Allah ﷺfarmate hai
“Ambiya apni kabro pe zinda hai aur namaz padhte hai”
References:
(Hayat ul-Anbiyah, Pg No. 003 – writer IMAM BEHKI)
(Imam Abu Ya’la ne apni Musnad me sahi sanado k saath likha Musnad Abu Ya’ala
Zild:6, pg :147, hadis : 3425)
(Imam Ibn Hazar Makki Haythami ne : Mazma’ul Zawaid zild 08, Pg : 387, hadis : 13812)
aur aage likha hai Imam Abu Yaala & imam bazzar ne iski tehkeek ki aur iske raavio ko bharose k
layak bataya hai.Imam Aboo Ya’ala Ne Bhi Apni Musnad Me Isi Tareeq Se Yah Hadith Riwayat Ki
Hai Aur Imam Bazzar Ne Bhi Is Ki Takhreej Ki Hai Aur Imam Bayhaqi Ne Ise Sahih Qaraar Diya
Hai. Gair Mukallid k Muhaddis jinhe apna maa baap sab maante hai Shaikh Albani ne bhi apni kitab
“Silsilatal Hadis al sahihah zild 02 pg 187 Hadis : 621 me yehi likha hai.
Imam Jalaludin Suyuti farmate hain,
“Qabro me Hayat-e-Ambiya par hamara Eiman-e-Qatiyaan hai”
HADIS 02 :Hazrat Anas Rehmatullah alaihfarmate hai, Rasool Allah ﷺfarmate hai
“Safar e meraj me mera gujar Moosa alaihi salam ki kabr k pass se hua maine dekha MOOSA
ALAIHI SALAM apni kabr me Masroof E Salat the”
References:
(SAHI MUSLIM Kitab 30 , Paigambar aur unke sahaba ki khususiyat
Baab : MOSA ALAIHI SALAM K FAZAIL, Hadis number : 5858)
(Ref : Sahih Al-Muslim, zild-04, Pg-1845, Hadith-2375)
(Ref : Imam Nasai ne, Sunan Nasai, Book : As Salah Chapter :
Zikr Salat NABI ALLAH MOSA A.S Zild : 2 pg : 237 Hadis: 1630-1636)
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Book : As Salah Chapter :
Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl Jild : 2 Pg : Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal ne : Al-Musnad, Jild-03, Pg-148, Hadith-12526, 13618)
(Sahih Ibn Hibban, Vol-01, Pg-242, Hadith-50)
(Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Zild-08, Pg-13, Hadis-7806)
(Imam Ibn Abi Saybah ne Al-Musannaf, Vo-07,Pg-335, Hadith-36575)
(Abu Ya'ala Al-Musnad, Vol-06, Pg-71, Hadith-3325)
(Abd Bin Humayd Al-Musnad, Vol-01, Pg-326, Hadith-1205)
(Daylami Al-Musnad-ul-Firdaus, Vol-04, Pg-170, Hadith-6529)
(Haythami Majma-uz-Zawa'id, Jild-08, Pg-205)
(Imam Ibn Hazar Asqalani Shara E sahi ul Bukhari Fat'h-ul-Bari, Jild-06, Pg-444.)
kabr me kya murde namaj padhte hai ? nadaano MUSA alaihi salam ki azmaat maante ho aur Nabi k
bare me shirk biddat chillate ho.
References:
(Sahih Al-Muslim,jild:01,Pg:156,Hadith-176)
(Nasa'i As-Sunan-ul-Kubra, Jild-06, Pg:455, Hadith-11480)
(Abu Awanah Al-Musnad, Jild-01, Pg-116, Hadith-350)
(Abu Nuayam Al-Musnad-ul-Mustkhraj, Jild-01, Pg-239, Hadith-433)
(Asqalani Fat'h-ul-Bari, Jild-06, Pg-487)
“ALLAH Ne haraam kar diya hai jameen ko k wo Ambiya k jism ko khai aur unhe rizk diya jaata hai”
References:
(Sunan Ibn Maja zild : 01 hadis : 1627)
(Mishkat Sharif zild : 1, pg : 304, Hadis : 1366)
Shaikh Abdul Hak Muhaddis E Dahelvi Rehmatullah alaihi (Born 958 hizri Wisal 1052)isi
hadees ki shara me likhte hai
“Ambiya alaihisalam apni kabro pe zinda hai, jis tarah dunya me jinda rehte hai”
References:
(Ash’at al Lama’at vol.01 pg. 576)
Shaikh Abdul Hak Muhaddis E Dahelvi Rehmatullah alaih yaha ek masla bayan farmate hai
“Ambiya zinda hai aur shuru se is baat pe izma raha hai k wo hayat hai unki zindagi asal hai,
shaheedo ki tarah Ruhani ya barjaki nhi”
References:
(Ash’at al Lama’at vol.01 pg. 574)
Note : Sheikh Abdul hak Muhaddis rehmatullahi alaihi ko Hindustan k saare akeede waale maante hai
rafzio ko chodke phr chahe wo ahle hadis gair mukalid ho ya devbandi ho.
Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali Qari Rehmatullah alaih (Wisal 1014Hijri) likhte hain:
Ambiya ki Hayat-e-Duniya aur Baad-e-Wafat ki Hayat me koi farq nahi hai,
isliye kaha jata hai ki Allah ke wali marte nahi, sirf ek jaga se dusri jaga ka safar karte hain.
References:
(Mirqat Shara E Mishkat,jild-2,Pg-212)
HADIS 005 :“HAZART AWS BIN AWS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE RIWAYAT
HAI KI HUZOOR NABI-E-AKRAM ﷺNE FARMAYA :
BeShak Tumhare Dinon Me Se Jum’a Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Aadam Alaihissalam
Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Paaee Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht
Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood
Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai. Sahaaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ! ﷺHamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baad Aap Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega ?
Jab Ki Aap Ka Jasad-E-Mubarak Khaaq Me Mil Chuka Hoga ?
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
BeShak Allah Ta’ala Buzurgon Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Wo Hamaare
Jismon Ko Khaa’e .”
References:
(Abu Dawud Book 002, Hadis : 1526)
(Sunan Ibn Majah, Zild 001 , hadis 1626, Ibn Maajah As-Sunan, Jild-01, Pg-345, Hadith-1085)
(Imam Nawawi said "Isnaad is Sahih" , Al Azkaar, Chapter :
As salah 'Ala AN NABI SAW Jild : 1 Pg : 131-132 Hadis: 302)
(Imam Ibn e Hajar 'Asqalani, fathul Bari, Vol: 6 Pg: 562)
(Imam Tabrani , Ma'jam Al Ausath Vol: 5 Pg:97 Hadis: 4780)
(Imam Tabrani, Ma'jam Al Kabeer Vol:1 Pg: 216-217 Hadis: 589)
(Ibn e Abi Shaibah ne Musannaf ibn Abi Shaiba me, Book :
As Salah Chapter : 795 Jild : 6 Pg : 40 Hadis: 8789)
(Imam Ahmad Bin Hambal, Al Musnad Vol:26 Pg:84 Hadis: 16162)
(Imam Bazzar, Musnad Al Bazzar, Jild : 8 Pg : 411 Hadis: 3485)
(Imam Ibn Hibban ne sahi Ibn e Hibban me, Book :
Ar Raqaiq Chapter : Ad'iyah Jild : 3 pg : 190-191 Hadis: 910)
(Ibn e Khuzimah in his Sahi, Jild : 3, Pg : 118, Hadis: 1733-1734)
(Imam Bayhaqi, Shu'b Al Eman Chapter :
Fadl As Salah 'Ala An NABI SAW Jild : 4 Pg : 432 Hadis: 2768)
(Imam Bayhaqi, Sunan Al Kubra, Book : Al Juma'ah Chapter : 105 Jild : 3 Pg : 353 Hadis: 5993)
(Imam Darimi, Sunan Darmi, Book : As Salah Chapter :Fee Fadl Yaum Al Jumu'ah Jild : 1
pg : 445 Hadis: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-445, Hadith-1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah, Book: As Salah wa Sunnah feeha Baab :
Fadl yaum Al Jumu'ah (79) Jild : 1 Pg : 345 Hadis: 1085)
(Imam Nasai, Sunan Nasai, Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101
Hadis: 1374 ,Nisa'i As-Sunan, Jild-03, Pg-91, Hadith-1374, &
As-Sunan Al-Kubra, Jild-01, Pg-519, Hadith-1666)
(Hafiz Ibn e Katheer , Tafseer Al Quran Al Azeem Jild : 6 Pg : 473 Under Tafseer of Sorat Al
Ahzaab, Ayat : 56)
Imam Zahabi ne Hakim ki Sanad ko aur Imam Nawawi ne Azkar me Sahih likha hai.
Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali Qari likhte hain:
“Beshak Ambiya apni Qabro me zinda hain”
References:
(Mishkat Shara E Mirqat – Vol. 2 Pg. 209)
References:
(Ibn Maajah As-Sunan, Jild-01 , Pg-524, Hadith-1627)
(Mundhiri Tahdhib-ul-Kamal, Jild-10, Pg-23, Hadith-2090)
(Manawi Fayd-Ul-Qadir, Jild-02, Pg-87)
(Ajlawni Kashf-ul-Khifa, Jild-01, Pg-190, Hadith-501)
(Shawkani Nayl-ul-Awtar, Jild-03, Pg-304)
Koi Bhi Shakhs Mujh Par Salam Bhejta Hai To BeShak Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta
Dee Huee Hai. (Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Us Ke Salam
Ka Jawab Deta Hoon”
References:
(Abu Dawud As-Sunan, Jild-02, Pg-218, Hadith-2041)
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild-02, Pg-527, Hadith-10767)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Pg-262, Hadith-3092, 9329)
(Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Jild-05, Pg-245, Hadith-10050, &
Shuab-ul-Iman, Jild-02, Pg-217, Hadith-5181, 4161)
(Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Jild-01, Pg-453, Hadith-526)
(Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild-02, Pg-326, Hadith-2573)
(Haythami Majma-uz-Zawa'id, Jild-10, Pg-162)
Is Hadees se wazeh ho gaya ki Apmbiya ki Qabro ki ziyarat aur unpar salam bhejna durust hai.
Note : Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaihfarmate hain: Hadees me ''Radda'' ke lafz maujud
hain, aur ''radda'' ka maayna hai ''àlà-àl-dàwam'' yani permanently. To yahan ye matlab nahi hua ki
ALLAH TA'ALA bar bar apne Mehbub ki Rùh lautata hai, aur fir bar bar wapas leta hai, balki ye
matlab hai ki ALLAH ne apne Mehbub ki Rùh ko lauta diya hai, aur ab wo zinda hain.
HADEES 08: “Meraj ki raat aap alaihis salaam ne Hazrat Aadam, Hazrat Ibrahim, Hazrat Eisa,
Hazrat Yahya, Hazrat Musa, Hazrat Idrees, Hazrat Haroon alaihe salam ko mukhtalif asmano par
dekha”
References:
Bukhari, Jild:1, pg: 549)
Zara ghaur kijiye, ki Muslim ki ek riwayat me Nabi alaihe salam ne farmaya ki ''Mai Musa alaihis
salam ki qabr ke paas se guzra to wo apni qabr me namaz padh rahe the. Aur jab aap asman par
pahuche tab Musa alaihis salam bhi wahan par pehle se maujud the??
Kya isse sabit nahi hota ki Ambiya jahan chahe ja sakte hain?
Ambiya ko maut to ek baar aati hai, magar bas maut ka zaaeqa chakhne ke baad wo fir zinda kar diye
jate hain. Aur jahan chahe ja sakte hain, koi chiz unse chhupi hui nahi hai.
HADEES 09 : Nabi alaihe salam ne farmaya ki mere ghar aur mere member ka darmiyani hissa
Jannati bagh hai.
References:
(Sahi Muslim, Kitabul Hajj)
References:
(Fath al-Bâri jild 10 pg: 415)
(al-Mundhiri’s Targheeb wa al-Tarheeb jild 3, pg: 343)
(Musnad e Ahmad jild 4, pg:484.)
NABI ALAIHIS SALAM ZINDA BHI HAIN AUR HAMAARI AWAZ BHI SUN SAKTE
HAIN AUR JAWAB BHI DE SAKTE HAIN
HADEES 10: Agar eisa alaihis salaam meri qabr par khade hokar kahen, 'ya muhammad' to mai zarur
unko jawab dunga.
References:
(Musnad Abi Ya'la, Jild-11, Pg:462)
Imam Abu Bakr Haismi Rehmatullah alaihne is Hadees ke rijaal ko sahi kaha hai.
(Majmauz Zawaid)
HADEES 11: Hazrat Abu Bakr Siddiq Radiallaho Ta'ala Anhu Ka Aqeedah, Nabi Alaihis Salam
Zinda Bhi Hain Aur Hamaari Awaz Bhi Sun Sakte Hain Aur Jawab Bhi De Sakte Hain:
References:
(Siratus Saliheen Pg:92)
(Tafseere Kabeer Jild:5, Safa:685 )
(Khasasi'ul Qubra Jild:2, Safa:282 )
(Tarikh-e-Damishq. Pg.747)
Isse pata chalta hai ki HazratAbu Bakr Siddiq Rehmatullah alaihka Aqeeda tha ki Nabi alaihe
salam hume sun bhi sakte hain aur jawab bhi de sakte hain, isiliye aisi wasiyat farmayi thi.
HADEES 12 : “Hazart Saeed Bin Abdul Azeez Se Riwayat Hai Ki Jab Ayyaam-E-Hurra (Jin Dinon
Yazeed Ne Madinah Munawwara Par Humla Karwaaya Tha) Ka Waaqia Pesh Aaya To Huzoor Nabi-
E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Masjid Me Teen-03 Din Tak Ajaan Aur
Iqaamat Nahin Kahi Gaee Aur Hazrat Saeed Bin Musayyab RasoolAllah Ta’ala Anhu (Jo Ki
Jaleelulqadr Taaba’i Hain Unhone Masjid-E-Nabawi Me Panaah Lee Huee Thi Aur) Unhone (Teen-
03 Din Tak) Masjid Nahin Chhodi Thi Aur Wo Namaz Ka Waqt Nahin Jaante The Magar Ek Dheemi
See Aawaaz Ke Zareeye Wo Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam
Ki Qabr-E-Anwar Se Sunte The.”
References:
(Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-56, Hadith-93)
(Khatib Tabrizi Mishkat-ul-Masabih, Jild-02, Pg-400, Hadith-5951)
(Suyuti Sharah Sunan Ibn Maajah, Jild-01, Pg-291, Hadith-4029)
HADEES 13 : Sayeed Bin Musayyib Rehmatullah alaihfarmate hain. Mai Ayyame Hirah me akele
Masjid Nabwi me hua karta tha to jab Namaz ka waqt hota, mujhe Rauza-e-Mustafa se azan ki awaz
sunai deti.Mai aage badhkar iqamat kehta aur Namaz padh leta.
References:
(Dalailun Nabuwwa, Ibne Naeem, jild: 2, pg:567)
SARKAR-E-DO AALAM ﷺNE FARMAYA : JIS NE MERI WAFAAT KE BAAD MERI
QABR KI ZIYARAT KI GOYA US NE MERI HAYAAT ME MERI ZIYARAT KI
“Hazart Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ne Meri Wafaat Ke Baad Meri Qabr Ki Ziyarat Ki Goya Us Ne Meri Hayaat Me Meri Ziyarat Ki.”
References:
(Tabarani Al-Muajam-ul-Kabir, Jild-12, Pg-406, Hadith-13496.)
(Daraqutni As-Sunan, Jild-,02Pg-278, Hadith-193.)
(Bayhaqi Shuab-ul-Iman, Jild-03, Pg-489, Hadith-4154.)
(Haythami Majma-uz-Zawa'id, Jild-04, Pg-02.)
2) Imam Ali Qari Mulla Ali Qari Shifa Sharif ki Shara farmate hue likhte hain:
Jab ghar me koi maujud na ho aur andar dakhil ho to is tarah Salam kahe
"Assalamo Alaika Ayyohan Nabiyyo Wa Rehmatullahe Wa Barakaatuhu"
iske Aage likhte hain, Is tarah Salam kehne ki waja ye hai ki Nabi alaihis salam ki rooh har momin ke
ghar me jalwahgar hoti hai.
References:
(Mullah Ali Qari, Sharah ush-Shifah, Volume 002, Page No. 117)
Hai koi Wahabi? To Bataye Imam Ali Qari par shariat me kya hukm lagega?
Aur unhone Shifa Sharif ki tafseer farmayi aur Qazi Ayaaz Maliki se naqal kiya to unpar kya hukm
lagega? Aur Qazi Ayaz Maaliki ne HAZRATIbn Abbas radiallahu anho ke hawale se Salam ka ye
tariqa likha hai batao HAZRATIbn Abbas radiallahu anho par shariat me kya hukm lagainge? Imam
Behki pe konsa fatwa lagega kab laga rhe hai wahabi fatwa?
3) Imam Ibne Hajar Asqalani ke shagird Imam Sakhawi farmate hain
“Hamare liye, yeaqeeda hai ki Ambiya apni Qabro me zindahain, aur unhe ne'matein ata ki jati hain”
References:
(Al-Qàùl-al-Badi, Pg.161)
Imam Sakhawi Rehmatullah alaihfarmate hain ki Abu Zar aur Malik ki Meraj wali Hadees se ye sabit
hota hai ki Nabi alaihis salam ne asmano par Ambiya se mulaqat kiya, Unse baat kiya aur unhone
apse Baat kiya, iski sanad bilkul saheeh hai aur isme kahin bhi koi ikhtilaf nahi hai.
Nabi alaihis salam ne Musa alaihis salam ko qabr ne namaz padhte hue dekha aur fir Baytul Maqdis
me bhi tamam Ambiya ko dekha. Fir Nabi alaihis salam asmano par gaye aur wahan bhi Ambiya se
mulaqat kiya to ye mulaqat bilkul haqiqi hai.
References:
(Imam Sakhawi's 'al-Qawl al-Badi' - (Kalmi Nuskha) Jamiyah al-Riyad)
4) Imam Ibn Hajar al-Haitami Makki Shafai apni Jawhar al- Munazzam me likhte hain:
''Is baat ke beshumar dalail aut aqwal-e- aimma saheeh sanad ke sath maujud hain ki Ambiya apni
Qabro me zinda hain, aur wo Roae rakhte hain, Har saal Hajj bhi karte hain, aur apne jism ko us
Barish se paak bhi karte hain, jo unpe barasti hai.''
11) Hazrat Imam Abul Qasim Qushairi Rehmatullah alaih farmate hain,
Hum Ahlesunnat ke nazdeek Nabi Akram alaihis salaam zinda hain. Apko ha aur Ilm hasil hai.Aap
par ummat ke amaal pesh kiye jate hain.
References:
(Shakliyate Ahlesunnat pg: 27)
17) Hazrat Imam Abu Abdullah Qurtubi Rehmatullah alaih farmate hain,
Maut Adm mehez ka naam nahi hai. Ye to ek haal se dusre haal me jane ka naam hai.
Ambiya Kiram to Shuhada ki nisbat zyada haqdaar hain ki wo zinda hon.
Unki maut sirf ye hai ki wo humse ghaib hain. Hum unka idraak nahi kar sakte.
Halanki wo zinda aur maujud hote hain. Lekin koi insan unko nahi dekhta.
References:
(Al-Tazkirah 169)
25) Hazrat Imam Abu Bakr Bin Arbi Rehmatullah alaihfarmate hain,
Tamam Ambiya-e-Kiram alaihimus salaam apni qabro me zinda hain aur unki arwah ko qabz karne ke
baad unke jisme me lauta diya jata hai.
References:
(Al-Hawi lil Fatawa jild : 2 pg: 363)
28) Hazrat Sheikh Ghause Azam Jilani Rehmatullah alaih farmate hain,
Ambiya-e-Kiram aur Auliya-e-Kiram apni qabro me isi tarah namaz padhte hain jis tarah apne gharo
me padha karte the.
References:
(Sirrul Asraar 104)
29) Hazrat Sheikh Ahmed Mujaddid Alif Saani Rehmatullah alaih farmate hain,
Ambiya Kiram apni qabro me namaz padhte hain ye tumne suna hi hoga.
References:
(Maktoob 16, Daftar 2)
32) Hazrat Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Rehmatullah alaihfarmate hain,
Jaanna chahiye ki Hazraat Ambiya-e-Kiram ki hayat Ulama ke nazdeek muttafiq alaih hai. Aur isme
kisi ka koi ikhtilaf nahi. Aapki hayat Shuhada ki hayat se Kaamil tar aur qawi tar hai.
References:
(Madarijun Nabuwwa jild : 2 pg : 447)
33) Hazrat Badruddin Ayni Rehmatullah alaih farmate hain,
Imam Dawoodi Rehmatullah alaihne farmaya ki Huzur Aqdas alaihis salam ke liye qabr-e-anwar me
dusri maut nahi hai.
References:
(Umdatul Qari Shara E sahi Bukhari, jild: 18 pg :72)
34) Hazrat Imam Muhammad Bin Hasan bin Faurik farmate hain,
Bila shubah Hamare Nabi Akram alaihis salam Apne Qabr-e-Anwar me zindah hain. Wo ALLAH ke
Rasool hain, Abad-al-Abaad tak zinda hain Haqiqi taur par, Na ki Majaazi taur par.
References:
(Al-Tabqaat-e-Shaafiya jild : 3 , pg: 54)
44) Hazrat Imam Abul Faaj Bin Rajab Hanbali Rehmatullah alaihfarmate hain,
Ambiya ki hayat, Shuhada ki hayat se akmal hai. Isliye bila shubah wo zinda jawed hain.
References:
(Ahwalil Qubur pg:135)
49) Hazrat Shah Waliullah Muhaddis Dehelvi Rehmatullah alaih farmate hain,
Ambiya Kiram marte nahi hain balki apni Qabro me zinda hain.Namaz padhte aur Hajj karte hain.
References:
(Fuyuzul Harmain 80)
53) Hazrat Allama Ahmed Dahlaan Makki Rehmatullah alaih farmate hain,
Ahlesunnat ke haan Ambiyae Kiram ki Hayate Qabr bilkul sabit hai. Iske bahot dalail hain.
References:
(Dararus saniya 13)
54) Hazrat Imam Ibn Abedin Shaami Rehmatullah alaihfarmate hain,
Ambiyae Kiram apni qabro me zinda hain.
References:
(Raddul Muhtar jild: 4 pg:151)
Iske alawa aur bhi bahot se Ulamae Islam ne maslae hayatun Nabi ko dalail ke sath sabit karne ke
baad apna aqeeda raqam farmaya hai ki Huzur Aqdas zinda hain Hazaro waqeyat ispar dalalat kar
rahe hain. Ab tamam hujjat ke liye Ghair Muqallido aur Deobandiyo hazraat ke Musallama Akaabir ki
ibarato se sabit kiya jayega jisme Unhone khulkar Nabi alaihis salam ko Zinda tasleem kiya hai.
PART 06 : PROOF FROM THE BOOKS OF WAHABIS
Dekhe pehle Devbandi peshwao ki kitabo se koi wali Nabi k bare me inke akeede saaf hai k wo
mazboor hai apne wisal k baad kahi aa ja nhi sakte. Maazallah. Magar khud ka akabir buzurgo ki shan
o azmat dikhani ho to devbandi hazrat saare shirk biddat band kar ke wakiat baayan karte hai dekhe
saboot
1) Wafat k baad Maulana Kasim Nanatvi sahab apne Jism e Jaahiri k saath Devband k madrase
aaye Qari Tayyab(Mananger of Devband &Grandson of Kasim Nanatvi) bayan karte hai k jis jamane
me Maulvi Rafiuddin Sahaba Darool Uloom Devband the Mohtamim the us jamane me kuch
Mudarris(Teachers) me aapas me kuch maslo ko leke behas chid gayi. Aage chalke Maulana
Mehmood Ul Hasan sahab bhi behas wa hungame me sharik hogaye.
Ab aage ka wakiya khud Qari Tayyab sahab bayan karte hai likhte hai.
“Isi Dauran ek din Alsabah baad namaz e Fazr Maulana Rafiuddin sahab rehmatullah alaih ne
Maulana Mehmoodul hasan sahab ko apne Huzre me bulaya (jo Devband me hai). Maulana sahab
haazir hue aur band huzre ka darwaja khol k andar daakhil hue Mausam Sakht sardi ka tha.
Maulana Rafiuddin sahab farmate hai pehle mera ye Ruee ka lebada dekhlo. Maulana ne Lebada
dekha to tarr(Wet) tha aur khoob bhig raha tha Farmaya k wakya yeh hai ki abhi abhi Mualana Kasim
Nanatvi Zasde Unsuri(Jisme jaahiri) k saath mere pass aaye tashrif laaye the. Jis se mai ek dum
pasina pasina hogaya aur mera lebada tarbatar ho gaya aur yeh farmaya k Mehmood hasan se kehdo k
is jhagde me na pade.
Bas maine ye kehne k liye bulaya hai. Maulana Mehmood Hasan sahab ne arz kiya ki Hazrat mai
aapke haath me tauba karta hoon ab iske baad mai kisi se kuch na bolunga.
References:
(Arwah e Salasa pg : 242, Writer : Zahoor ul Hasan,
aur Maulana Asraf ali Thanvi ne iski takreej ki hai)
“Shahadat k baad ek azeeb wakya hua” Rat k wakt apne ghar misle zinda k tashrif laye aur apne
ghar waalo ko mita laakar di aur farmaya ki agar tum kisi se jaahir na karogi to is tarah se roz aaya
karunga. Lekin unke ghar waalo ko andhesa hua ka jab baccho ko mitha khate dekhgenge to maalom
nahi kya subaah(shak) karnge is liye jaahir kar diya aur aap tashrif nahi laaye yeh wakiya khandan
me mashoor hai.
References:
(Ashrafus sawaneh jild 01, Pg : 12 Published Khankaah Imdadia Thana Bhavan,
Musaanif Khwaja Azeezul Hasan )
Dekhlo devband ki kahani jab baat apne maulvio ki aayi to kisi ne kuch objection nhi kiya k hamare
buzurg ne likha hai k Nabi alaihi salam k bare me Maazallah. Ab dekhe dusra saboot Maulana Ashraf
Ali Thanvi sahab k dada ka wakiat marne k baad bhi Thanvi k dada Mithai leke apne ghar pahuch
gaye Kisi baraat me Thanvi sahab k dada jaa rhe the waha dakuo ne hamla kiya aur thanvi sahab k
dada ka wisaal hua ye pasmanjar hai ab aage ka wakiat khud devbandi hazraat likhte hai.
Ye dekhlo thanvi k dada sahab marne k baad bhi mitahi leke ghar aa sakte hai, nanatvi sahab marne k
baad bhi madrase jaa sakte hai koi shirk biddat nhi hota bas saari tauhid shirk hojati hai jab baat nabi
alaihi salam aur aulia allah k liye hoti hai. Kyu ?
Devbadnio k ek aur buzurg sahab Maulana Jakaria Multani ne ek kitab likhi jis kitab ko har chille me
devbandi leke ghumte hai naam “FAZAIL E AAMAL” me wakya likhte hai chunache likha hai,
Ahmad Raafi Mashoor Buzurg Akaabir Sufiyah Me Se Hain, Inka Kissa Mashoor Hai Ke Jab 555
Hijri Me Wah Ziyarat Ke Liye Haazir Hue Aur Qabar Ke Muqaabil Khade Hue To Yah Do Sher
Padhetrans: Doori Ki Haalat Me Main Apni Rooh Ko Khidmat Akdas Me Bheja Karta Tha, Wah Meri
Nayab Ban Kar Astaanah Mubarak Choomti Thi, Ab Jismon Ki Haaziri Ki Baari Aayi Hai, Apna Dast
Mubarak Ata Kijiye, Taake Mere Honth Isko Choomen Is Par Qabar Shareef Se Dast Mubarak Bahar
Nikala Aur Unhone Isko Chooma"
References:
(Fazail E Aamal - Hajj K Fazail Pg 130,131)"
Yaani Ki Huzur Sayyad Ahmad Kabir Rifayi Rehmatullah Alaih Ne Baargaah E Risalat Me Arz Kiya
K Mai Huzur Salallahu Alaihi Wassalam Se Musafa Karna Chahta Hu Aur Huzur Ne Kabar Se Haath
Bahar Nikal Diya ..Subhanallah. Jab Kabr se haath bahar nikal sakte hai mere aaka to batao kya khud
bahar nahi aasakte ? Ye hai devbandi akeede ka dogla pan. Ab Gair mukkalido aur devbandio k
shaikhul Islam sahab Abdul Halim Ibn Taimya sahab ki kitab se sabot.
HAWALA 1 : “Nabio ki zinda hona Bukhari aur muslim ki kitabo se saabit hota hai jisme Rasool
allah ne farmaya jab logo ko dafan karke ghar ki taraf aate hai to murda pairo ki awaaj ko sunte hai”
References:
(al mazmu’aat al fatawa ibn Taimya jild:24, pg. no. 362)
HAWALA 2 : “ Bahot se logo ne apne salam ka jawab suna hai. Aur Harrah k wakt me Hazrat said
ibn al mussayib ka Nabi ki kabr se aazan ka sun na aur is tarah k aur wakiyat ye sach hai.”
References:
(Ibn Taimya book iqtida Seeratal Mustakeem pg 373)
HAWAL 3 : Wahabio k Imam Ibn-al-Qayyim jo inke Abdul halim ibn taimya k shagird hai likhte
hai, “ye jaan lena zaruri hai ki Ambiya ke jism apni Qabro me isi tarah hain, jaise wo duniya me the,
tabhi to jab Sahaba ne pucha ki 'Aap par Darud kaise pesh kiya jayega, jab apka Jism mitti me hoga?'
to Nabi alaihe salam ne farmaya: Allah ne Ambiya ke jismo par mitti ko haram kar diya hai ki wo
inke jismo ko khaye, aur agar unke Jism salamat na hote, to Nabi alaihe salam ne
aisa jawab na diya hota”
References:
(Al-RûH Page: 58)
1) Tum Sunni kehte ho Nabi alaihi salam apni kabro me zinda hai jabki Quran me ALLAH
ِ ْس َذاِئقَةُ ْال َمو
farmate hai “kullu nafsun ziyaqatul mout” –ت ٍ ۗ ُكلُّ نَ ْف
“ HAR JAAN KO MAUT KA MAZA CHAKNA HAI” (Surah Al Imran ayat 185)
Ans) Ye ek bewakufan a aitraz hai hum ne shuru me hi iska jawab diya hai k hum ispe imaan rakhte
hai aur akeeda bhi ab wahabi ye baar baar aitraaz kare to iska ilaaz nhi hai.Phir bhi sun lo Imam Behki
rehmatullah alaih farmate hai apni kitab Hayatal Anbiya Fi Kuburihim me farmate Imam Abu
Dawood ne apni sunan me hadees likhi hai
“Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺNe
Farmaya : Koi Bhi Shakhs Mujh Par Salam Bhejta Hai To BeShak Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri
Rooh Lauta Dee Huee Hai. (Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki
Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon”
References:
(Abu Dawud As-Sunan, Jild-02, Pg-218, Hadith-2041)
Ab aage farmate hai k har wakt nabi e karim ﷺpe har wakt koi na koi ummati durood bhejta hai
chunacha Quran me hai,
“Beshak Allah aur uske Farishte Darood bhejte hai us Gaib batane waale nabi par, aye Imaan waalo
unpar Durood aur khoob Salam Bhejo”
References:
(Al Quran, Surah Al Ahzaab Aayat :56)
To kya ruuh jism se nikali jaati hai baar baar aur daali jaati hai ? ji nhi iska jawab Mujadid Imam
Jala Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaihfarmate hain: Hadees me ''Radda'' ke lafz maujud hain,
aur ''radda'' ka maayna hai ''àlà-àl-dàwam'' yani permanently. To yahan ye matlab nahi hua ki ALLAH
TA'ALA bar bar apne Mehbub ki Rùh lautata hai, aur fir bar bar wapas leta hai, balki ye matlab hai ki
ALLAH ne apne Mehbub ki Rùh ko lauta diya hai, aur ab wo zinda hain.
2) Ye To Darood padhne ki baat Insaan sota bhi to hai ek na ek wakt aisa aata hai jab koi
Durood nhi bhejta hai us wakt kya ?
Ans) Tum wahabi sach me akal k andhe ho tumhe Kabhi Nabi E Karim ﷺki shaan o azmat hazam
nhi hogi sun lo Hadis koi ek wakt bhi aisa nhi hai jab Nabi pe koi salam nhi padhta jabki Quran me
saaf saaf aayat hai salam k talluk se magar tum maanoge nhi ye lo is Hadees ko bhi padh lo
“Hazrat Nabeeh Bin Wahab radi allahu anho se marvi hai ki Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddika ki khidmat me haazir hue aur unhone Huzur e akram
alaihih salam ka zikr kiya.
Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho ne kaha
“Jab bhi din nikalta hai 70000 hazar farishte utarte hai aur wo Huzur e Akram ki kabr e akdas ko gher
lete hai aur Kabr e Akdas pe apna par maarte hai (yaani paro se jhaado dete hai) aur Huzur ﷺk
roze e akdas me sham hote hee wapas aasmano par chale jaate hai aur itne hi mazid utarte hai wo bhi
wo amal dohrate hai jo pehle k faristo ne kiya hatta k jab qabr e Mubarak shak hogi to Huzur ﷺ
70000 farishto k jhurmut me (maidan e hashr me) tashreef laaynge.
References:
(Imam Darmi ne Sunan Darmi jild 01 , pg : 57 , Hadis : 94)
(Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia jild : 5 , pg : 390)
(Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan jild 03, pg : 1018, Hadis :537)
(Gair mukallido k imam ibn kathir ne Tafseerul Quran al azeem tafseer ibn kathir me Jild 05 pg : 518)
Hazrat Daniyal Alaihi salam aur Huzur alaihi slam k darmiyan wakt kitna lamba tha ?
approximately 850 saal k wakt phr bhi Jism salamat, nafz chal rhi hai alhamdullilah goya k ye jism ka
milna jawab de rha ho k ek kaum aaygi 1400 saal baad jo Nabio ko murda kahegi unke liye ye ibrat
hai dekh le.
Hazrat Umar aur digar sahaba se bhi saabit hua k wo bhi Nabiyo ki hayat k kaayal the. Ab Umar,
Farook e aazam ne unhe dafn bhi karwaya baad me ye jaante hue k wo hayat hai to kya unhone bhi
julm kiya jaisa k tumhare Bilal Philips jaise jaahil ne kaha hai. Ab Kya jawab hoga tumhara Dafan
karna ye ek Islami tarika hai isliye kiya jaata hai.
4) Nabi barzakhi aetebar se zinda hain Dunyawai Aitbaar se Nahi ?
Ans) Barjaki aitbaar se murda kon hota hai ?
Har momin musalmaan Barjaki aitbaar se phir zinda hua kyuki aalam e barjakh me to har momin ki
rooh zinda hai. Phir Shahido ki zindagi aur unke zinda hone pe aayat kyu aayi aur Ambiya alaihi
salam ki zindagi ko saabit karne k liye Muhadisin ne kitabe dalil kyu likhe jama kiye ?
Aur phir ambiya ki hayaat ka tazkira shariat me infiradi tour par kyu hai? Sheikh abdul hak muhaddis
dahelvi alahi rehma ka ye farmana k HAYAT UL AMBIYA Aisa mauzu hai jispe koi ektelaf nhi hai
pata chala k ektelaf than nahi jab nazd se fitne uthe tab ektelaf shuru hua hai.
6) Nabi alaihisalam zinda hai to khana bhi khate honge ? Phir Dunyawi maamlat insaan
jaruriyat bhi hoti hogi jaise istenja, pakahana etc. wo kaha karte hai ?
Ans) Ye bhi inka ek azeeb aitraaz hai aisa konsa usool hai jo ye sab karna hai. Insaan jannat me
jaayga waha bhi haajat hogi to kya ek aam musalman bhi waha najasat karega ? Hargiz nhi waha
insaan ko is trah se banaya rakha jaayga k kuch Hazaat ho bhi tab bhi kuch fark nhi padega wo khud
se nikal jaaye aur pata bhi nhi chalega. Ab ye haal hai Jannat ka aur jo khud Malike Jannat hai unka
aalam kya hoga ? Hamara to akeda hai is baat pe k Huzur E Akram alaihi salam ka rauza to khud
jannat se afzal hai.
7) Nabi kabr me namaz kaise padte hai ? Ruku Sazde itni choti jagah me ?
Ans) Dunya sudhregi tum mardoodo ko akal nhi aaygi sirf dimag issi kaam me kharch karte ho k kis
trah se tauhin e risalat ki jaaye. Jab Nabi Alaihi salam ne farmaya k Moosa alaihi salam apni kabr me
namaz padh rhe the kisi sahaba ne pucha k kaise padh rhe the kaise khade honge ? Imaan to naam hi
hai gaib ki baato ko maan lene ka. Tumhare Kandhe me do Farishte hai “KIRAMIN KATIMEEN” wo
namaz kaha padhte hai ? Kandhe me hi padhte hai na ? Kandhe me kuch weight bhi uthate hoge tab
kya farishte Dab jaate hai ?