The story is about Tara Rani, a princess born to King Sparsh. Due to a curse, she is abandoned as a baby and adopted by a tribal family. She grows up to perform miracles and spread messages of equality and justice. Rukaman, her sister from another life, is reborn as a serpent for breaking religious fasts. After demonstrating compassion, she is freed from the curse. Both sisters work to bring people together and promote harmony between all communities.
Copyright:
Attribution Non-Commercial (BY-NC)
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online from Scribd
The story is about Tara Rani, a princess born to King Sparsh. Due to a curse, she is abandoned as a baby and adopted by a tribal family. She grows up to perform miracles and spread messages of equality and justice. Rukaman, her sister from another life, is reborn as a serpent for breaking religious fasts. After demonstrating compassion, she is freed from the curse. Both sisters work to bring people together and promote harmony between all communities.
The story is about Tara Rani, a princess born to King Sparsh. Due to a curse, she is abandoned as a baby and adopted by a tribal family. She grows up to perform miracles and spread messages of equality and justice. Rukaman, her sister from another life, is reborn as a serpent for breaking religious fasts. After demonstrating compassion, she is freed from the curse. Both sisters work to bring people together and promote harmony between all communities.
Copyright:
Attribution Non-Commercial (BY-NC)
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online from Scribd
The story is about Tara Rani, a princess born to King Sparsh. Due to a curse, she is abandoned as a baby and adopted by a tribal family. She grows up to perform miracles and spread messages of equality and justice. Rukaman, her sister from another life, is reborn as a serpent for breaking religious fasts. After demonstrating compassion, she is freed from the curse. Both sisters work to bring people together and promote harmony between all communities.
Copyright:
Attribution Non-Commercial (BY-NC)
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online from Scribd
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 8
Katha Tara Rani ki
!! Tara Rani Katha !!
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Maa Bhakton Ko Tara Rani Ki, Shubh Katha Sunayein Bhed Bhav Ko 1o Hai Mitaati, Man Ke Beech Bithayein Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Huve Hain Ik Punjab Prant Mein, Raja Vaibhavshali Sparsh Naam Tha Ush Daani Ka, 1holi 1ish Ki Khaali Kyun Mere Santaan Nahin Hai, Dukhi Hi Man Mein Rehta Too Hi Door Karegi Chinta, Maa Se Hi Sab Kehta Navratron Mein 1yot 1agakar, Nishchaye Apna Kar Ke Moorti Maa Ki Dekh Raha Tha, Prem Mein Aansu Bhar Ke Pushpon Ki Mala Se Thode, Phool Tabhi The Gir Gaye Raja Ne Netro Se Lagaaya, 1eevan Ke Din Phir Gaye Ek Varash Ke Baad Mein Aayi, Sharad Ki Pooranmasi Taron Bhari Raat Mein Ghat Gayi, Ghar Ki Sabhi Udaasi Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Ek Kanya Aayi Mahalon Mein, Khush The Raja Rani Brahmano Ne Thaa Naam Rakhaya, Ushka Tara Rani Ek Saal Beeta 1aise Hi, Kanya Aur Ik 1aai Rukaman Naam Rakha Tha Ushka, Raja Paai Badhaai Raja Ne Kundli Banwaai, Brahman Bhi Ghabraaye Ruka Ka Man Sab Dasha Dekh Kar, Raja Soch Doudaye Bhrigu Saghinta Khulwai Tab, Brahman Ne Batlaaya Rakho Na Ghar Mein Ish Kanya Ko, Bura Samaye Hai Aaya Abhi Baha Do 1al Mein Ish Ko, Varna Pachhtaooge Bheelon Ke Ghar Vaasa Ishka, Kaise Phir Vyahooge Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Shrap Milein Hain Do 1anmo Se, Poori Katha Baatyein Baat Hamari Poori Sunkar, Nadiya Beech Bahayein Ek Baar Ye Dono 1anmi, Inder Ke Ghar Aayi Bani Apsara Nache 1hoome, Sab Ke Man Ko Bhai Naach Naach Ke Haari Ik Din, Man Mein Soch Doudai Ghoom Ke Aayein Mritulok Mein, Sudh-Budh Sab Bisraayi Dha-Dha-Tit-Kit-Run-1hun-Run-1hun, Naach Kood Sab Chhoda Oopar Se Neeche Ko Aayi, Swarg Se Nata Toda Ek Doosre Se Ye Boli, Din Hai Mangalkari Ekadashi Ka Vrat Dharte Hain, 1ag Mein Sab Nar Naari Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Hum Dono To Subah Se Bhooki, Sachcha Vrat Kar Dala Ho Gayi Hai Dopahar Bahan, Ab Mite Bhook Ki 1waala 1aao Kahin Se Phal Le Aao, Katha Sunege Mil Ke Phalahaar Mil Ke Kar Lenge, Tab Tak Bin 1al 1al Ke Rukaman Phal Lene Ko Nikli, Bhatke 1ungle 1ungle Pata Nahin Neecho Ke Ghar Mein, Likha Hua Tha Ann 1al Ek Ped Ke Neeche, Aadiwasi Harijan Dekhe Mangu Inshe Kucch Khane Ko, Baar Baar Wo Soche Paas Mein Baithi Ek Harijan, Ki Maa Bhoodi Boli Patte Par Ishe Maas Thama Do, Bhooki Hai Ye Bholi Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Bhook To Ushko Sata Rahi Thi, Rukaman Ne Maas Khaya Kya Kar Baithi Hoon Galti Main, Dhyaan Ushe Ne Aaya Tod Ped Se Kele Laayi, Tara Ke Paas Rukaman Der Ho Gayi Kyun Rukaman Ko, Shanka Mein Dhooba Man Boli Rukaman Vrat Ko Todo, Ekadashi Manaao Aaye Hain 1ab Mritulok Mein, Poora Niyam Nibhao Bhook Ke Dar Se Maas Kha Liya, 1aldi Hi Vrat Toda Boli Tara Bhag Yahan Se, Kar Le Abhi Vichhoda Shrap Diya Tara Ne Ushko, Bano Chhipkali 1aa Kar Keede Aur Makode Khaao, Rahogi 1eevit Vish Par Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Bichhud Gayi Wo Swarg Log Ki, Aakar Yun Dharti Par Aage Ki Kuch Katha Sunayein, Sunlo Man Pakka Kar Bani Chhipkali Rukaman Dekho, Rahti Khaprailon Par Mila Thikana Ush Daasi Ko, Gorakh Ke Teelon Par Gorakh Nath Guru Ka Ashram, 1ahan Tantarik Rehtein Pooja Aur Pujapa Khaate, Kisi Se Kuchh Na Kehtein Keertiman Naam Ka Sadhu, Nayi Siddhiyaan Bharta Krodhi Tha Wo Aisa Kapti, Har Koi Thaa Darta 1al Ka Ek Kamandal Bhar Ke, Baitha Tha Masti Se Apni Siddhi Paaoon Akela, Door Rahe Basti Se Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Pyaasi Aa Gayi Ek Gaaye Wahan, Dekh Ushe Ne Paaya 1al Ka Bhara Kamadal Ludka, Ushne Dhyaan Hataya Lekar Chimta Bhaga Peechhe, Gaaye Ko 1ake Peeta Ghayal Ho Kar Tadap Gayi Wo, Pada Khoon Ka Chhinta Gorakh Nath Guru Ne Dantta, Gaaye Ko Kyun Hai Mara Hindu Hokar Dhyaan Nahin Hai, Kya Hai Dharam Hamara Bhag Nikal Ashram Se Paapi, Phir Mookh Na Dikhlaana Gaaye Hamari Dharam Ki Mata, Bhed Ne Toone 1aana Vair Bhavnaa Man Mein Rakh Ke, Chala Gaya Ashram Se Rehne Laga Akela Aakar, Krodh Na Nikla Man Se Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Laga Wo Karne Ulti Siddhi, Guru Se Badla Paaoon Bade Yagye Mein Vighnn Main Daalu, Sab Ko Khoob Rulaoon Udhar Guru Gorakh Man Hi Man, Dekh Gaaye Pachhtaate Karunga Mein Samman Ishi Ka, Kuchh Upaye Puchhvaate Santo Ne Nirnaye Le Dala, Aaye Pooranmasi Karo Hawan Bhandare Ke Sang, Bulwaao Har Waasi Sab Ne Mil Bhojan Khana Hai, Sab Ko Diya Nimantran Chhote Bade Sabhi Hi Aaye, Bhara Guru Ka Angaan Namaskar Kar Gou Mata Ko, Baithe Saare Aakar Vedi Par Poojan Ki Padhaare, Gorakh Nath Guruwar Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Baat Kaan Mein Keertiman Ke, Saathi Ik Pahunchai Badla Loonga Aaj Sabhi Se, Kapati Soch Doudaai Roop Badal Ke Garud Pakshi Ka, Moo Mein Sarp Dabaaya 1ungle 1ungle Udtaa Phirta, Paas Yagye Ke Aaya Sabhi Magan The Bhajan Bhaav Mein, Kisi Ne Kuchh Na Dekha Manav Ka Hatyaara Pahuncha, Laangh Dharam Ki Rekha Chhipkali Dekh Rahi Thi Chhip Ke, 1aishe Sanmukh Aaya Kheer Ka Dhakkan Paapi Phekan, Mookh Se Sarp Giraya 1o Khaayega Mar 1aayega, Paap Vo Kar Ke Bhaga Kisi Ko Marne Na Mein Doongi, Chhipkali Mein Dukh 1aaga Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Ushne Phir Chhalaang Lagaai, Ghoomi Bartan Oopar Bartan Ki Tali Tak Thaa Pahuncha, Mara Hua Wo Wishdhar Garam Garam Ush Kheer Mein Girkar, Ushne Praan Gawaanye Dekho Chhoti 1eev Aatma, Apna Karm Nibhaaye Ishwar Ki Ichha Ke Aage, Kucch Na 1ag Mein Hoye 1ako Rakhe Sayin 1ag Mein, Maar Na Sakiayaa Koye Poornahuti Huyi Havan Ki, Guruwar Bole 1aao Mere Shishyo Bhandare Ki, Kheer Ka Bhog Lagao Kadchhi Leke 1aise Pahunche, Kheer Dekh Ghabraaye Giri Chhipkali Giri Chhipkali, Sadhu Shor Machaaye Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Gorakhnathji Sun Ke Doude, Kiya Krodh Wahan Bhaari Ari Dushtini Kahan Se Aayi, Ban Ke Too Mahamari Neech Karm Kyon Kiya Hai Toone, Neeche Kul 1aayegi Aisa Shraap Diya Hai Tumko, Ab Na Bach Paayegi Gadde Mein Sab Kheer Phenk Do, Koi Ihse Na Khaaye Daalo Mitti Ish Ke Oopar, Vish Sara Dab 1aye Utha Ke Bartan Bhari Kheer Ka, 1aise Hi Ludkaaya Mara Hua Ik Sarp Bhayaanak, 1hak Se Gir Ke Aaya Dekh Guruwar Ab Ghabraaye, Man Ki Soch Doudaai Dhyaan Mein Unke Saari Ghatna, Sapna Ban Ke Aayi Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Dhanya Chhipkali 1isne Sab Ko, Marne Se Hai Bachaaya Dharm Ki Raksha Ko Karne Mein, Apna Roop 1alaaya 1eevan Sudhre Agle 1anam Ka, Naari Ban 1aaogi 1aise Tumne Bhala Kiya Hai, Achcha Phal Paaogi Katha 1anam Ki Phichhle Sun Ke, Raja Dukh Mein Roya Itni Pyaari Beti Pakar, Maine Sab Kucch Khoya Bole Brahman Karo Vidaai, Gorakh Shraap Diya Thaa Pehli Baar Mein Punya Lut Gaya, 1o Ke 1aap Kiya Thaa Ushi Shraap Ke Karan Kanya, Neeche Kul 1aayegi Nadiya Mein Ab Ihse Baha Do, Yahan Ne Reh Paayegi Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Chhod Ke Apni Beti Ka Moh, Paani Beech Baha Do Karmo Ka Likha Hona Hai, Man Ki Soch Hata Do Raja Ne Sandook Manga Ke, Dukh Se Beech Litaya Heere Moti Chaandi Sona, Charano Mein Rakhwaaya Kaha Laadli Kshama To Kar Do, Toota Prem Ka Dhaga Kanyadaan Kara Bachpan Mein, Mujhsa Koun Abhaaga Raksha Lehron Se Ki Maa Ne, Tha Sandook Wo 1al Mein Subah Huyi Ek Pandit Dekha, Lalach Aaya Man Mein Bula Harijan Ko Pandit Ne, Kaha Bhanwar Mein 1aao Pehla Hissa Dena Mujhko, Doosre Ko Tum Paao Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Dono Ne Hisson Ko Banta, Leela Prabhu Dikhai Heere Moti Brahman Leene, Bheel Ne Kanya Paai Bade Chaav Se God Mein Bhar Kar, Sounpa Gharwaali Ko Doodh Pilaya Mata Bankar, Dukh Karmo Waali Ko Maat Pita Ke Pyaar Ko Pakar, Tarun Awastha Aayi Harijano Ne Ek Yuvak Se, Kar Di Prem Sagaai Udhar Sparsh Raja Ne Tara, Ka Bhi Vyaah Rachaaya Raja Harichand Maa Ka Sewak, Shubh Sambandh Karayaa Kalwa Namak Bada Harijan, 1ish Se Rukaman Vyaahi Dhoom Dhaam Se Kali Maa Ki, Rukaman 1yot 1agai Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Maa Bhakton Ko Tara Rani Ki, Shubh Katha Sunayein Bhed Bhav Ko 1o Hai Mitaati, Man Ke Beech Bithayein Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Paas Paas Main Do Behne Hain, Harichandra Ka Raj 1ahan Phire Bhaag Dono Ke Aeyse, Ik Rani Ik Bheel Yahan Pooranmaasi, Ekadashi Yahan Pe Shubh Navraate Tara Ke Yahan Utsaav Manta, Karte Sab 1agraate Magan Ho Gayi Dekh Ke Rukaman, Bhaav Ye Man Mein Aaya 1agaran Mein Bhi Karvaaungi, Karo Daya Mahaamaaya Haath Mein 1haadu Leker Rukaman, Mahal Ke Bahar Aayi Dwaarpaal Ko Dekh Ke Ushne, Dhool Hi Dhool Udaai Aakhen Masle Dwaarpaal, 1ab Rukaman Mahal Mein Aayi Dhoka Dekar Boli Maa Se, Karo Daya Maahaamai Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Prem Bhaav Se Baithi Rukaman, Mahal Ke 1a Dwaare Par Mata Ke Mandir Ko Dekha, Prem Mein Akhiyan Bhar Kar Boli Maa Se Rahoon Abhaagan, 1aga Na Sun Paaoon Tera Dwara Chhod Ke 1anani, Kiske Dwaare 1aaoon Peechhe 1ab Parchhai Dekhi, Tara Aakar Boli Koun Ho Tum Ae Sawanli Naari, Kiski Tu Humjoli Rukaman Boli Bhagya Heen Hoon, Dukhi Hai Mera 1eewan Bheelon Ke Ghar Gayi Vyaahi, Naam Hai Mera Rukaman Ek Hai Ichha Mere Ghar Mein, 1agarata Karwaa De Binti Karti Hoon Main Tum Se, Saare Niyam Bata De Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Maine Maa Se Putra Hai Manga, Ho 1ab Poori Vaani 1agarata Ghar Karwaoongi, Bulwaaoon Har Praani Phool Batashon Se Bharti Hoon, Behan Mein Teri 1holi Hoga 1ab 1agarata Aaoon, Tara Rani Boli Namaskaar Kar Maha 1yoti Ko, Rukaman Paai Vidaai Harijano Ne Khushi Manaai, Rukaman Leeni Vadhaai Ek Saal Mein Beta Pakar, 1anam Diwas Manaaya Mundan Keena Anand Maana, Dhyaan Ne Maa Ka Aaya Vachan Bhulaaya 1ab Rukaman Ne, Socha Chamunda Ne Bete Ke Mukh Daane Nikale, Lagi Tabhi Ghabraane Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Haath 1od Kar Sitala Maa Ko, Chawal Mutthi Laayi Kesar Se Rang Kar Chawal Ko, Koudi Paanch Rakhaai Laal Vastra Mein Baandh Ke Del Ko, Beta Godi Leena Shradha Rakh Ke Ghar Se Nikli, Man Mein Sukh Kuchh Deena Tara Ne Rukaman Ko Dekha, Mahal Se Neeche Aayi Boli 1agaran Ke Del Le Lo, Shradha Se Main Laayi Tara Ne Del Rukaman Se Le, Bade Pyaar Se Choome Aaoongi Main Vachan De Rahi, Daasi Ambe Ki Main Naai Sunaina Ne Chupke Se, Raja Ko Batlaaya Rani Tara Ne Del Lekar, Saara Dharam Dubaya Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Chahate Ho Yadi Dharam Bachana, Ushko Naa 1aane Do Oonch Neech Ke Bhed Ko Samjho, Maryada Rehne Do Itni Sunkar Baat Harichand, Tabhi Mahal Mein Aaya Ungli Kaati Le Kataar Se, Teekha Namak Lagayaa Bola Rani Haath Darad Hai, Neend Nahin Aayegi Tere Ghutno Par Sar Rakkhoon, Chinta Hat 1aayegi Tara Rani Khoyi Huyi Thi, 1aage Ki Masti Mein Sabhi Raaste Band Pade The, Andhakaar Basti Mein Bijli Kadke Raat Andheri, Rim 1him Barse Paani Mata Ne Kyun Lee Hai Pareeksha, Soche Tara Rani Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Udhar Khadi Rukaman Dware Pe, Rasta Dekh Rahi Hai Kya Aayegi Wachan Nibhaane, Man Mein Soch Rahi Hai Nidra Roopi Mata Aao, Tara Ne Ye Tera Neend Aa Gayi Patidev Ko, Allash Mein Moo Phera Bhakti Mein Shakti Hoti Hai, Bhaav Ye Man Mein Aaya Saari Vipadaa Taali Maat Ne, Rasta Ushe Dikhaya Sawaa Laakh Ka Zevar 1ag-Mag, Vastra Heere 1ade The Paajeb Sone Ki Damke, Aage Chor Khade The Ratan 1adit Khadaoon Ruk Gayi, Dekh Chor Ne Roka Lootenge Hum Tum Ko Naari, Krodh Mein Aake Toka Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Dekh Ke Apne Ko Sankat Mein, Tara Maa Ko Tera Phat Gaya Pallu Chhooti Khadau, Toot Gaya Sab Ghera Tara Ka Samaan Gira 1o, Chor Uthane Aaye Hila Saanp Bichchu Wo Bankar, Dekh Sabhi Ghabraaye Tara Bhaiy Se Bhaag Rahi, Rukaman Bhahar Khadi Hai Baithoon Pooja Mein Sang, Ushke Lekar Wachan Adi Hai Udhar Harichand Raja 1aaga, Rani Ko Ne Paaya Utha Khadag Haatho Mein Apne, Mahal Se Bahar Aaya Thodi Der Pehle Ki Saari, Chor Ne Baat Bataai Udhar Gayi Ik Sundar Naari, Aur Khadaoon Dikhai Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Shanka Kar Ke Raja Pahuncha, Bheelon Ki Nagari Mein Pairon Ke Chinh Dekhe Ushne, Rani Ke Raste Mein Dono Behne Gale Mil Rahi, Maa Ki Leela Nyaari Rukaman Boli Swaagat Rani, Huye Magan Nar-Naari Aaj Amawas Ki Andhiyaari, Kali Maa Ko Bhave Ala Bala Sab Door Hai Hoti, Har Koi Naache Gaave Tara Boli Pitra Manao, Chawal Se Kalash Bhar Do Brahman Ko Ye Daan Hai Milta, Taka Swaran Ka Dhar Do Maathe Pe Sindoor Laga Ke, Baqraa Ek Mangaya Paanch Tarah Se Ushko Kaata, Oopar Waraq Lagaaya Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Tote Tote Ushke Kar Ke, Kali Bhog Lagaaya Sabse Pehle Dewarani Ko, Kadwaa Wachan Sunaya Raja Bahar Dekh Raha Tha, Ghatna Ye Chupke Se Badlaa Loonga Mein Rani Se, Loute 1ab Andar Se 1holi Bharke Tara Rani, 1aise Bahar Aayi Le Talwaar Harichand Ghoore, Rani Ab Ghabraai Rani Toone Chhote Ghar Mein, Aake Shaan Girayi 1holi Khol Dikha De Kya Hai, Laaj Ne Tujhko Aayi Dhyaan Lagake Maiya Ka, Tara Ne Maangi Duhaai Kali Maa Ne Bhog Le Liya, Vaishno Chhavi Dikhai Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Lahu Ban Gaya Kesar Dekho, Hadiyaan Bani Makhaane Giri Chhuhare Bhole Chamke, Sab Kuch Badlaa Maa Ne Kaali Madira Doodh Ho Gayi, Chambe Haar Ke Chawal Meetha Pun Ho Gaya Sabhi Mein, Bhar Gaya Sukh Se Anchal Raja Chakit Hua 1ab Dekha, Par Vishwaas Ne Aaya Maa Ki Shakti Dekhoon Main Bhi, Raja 1agan Rachaaya Rani Pe Talwaar Uthakar, Bola Tujhko Maaru Bahut Samaye Se Bhatak Rahi Ho, Ek Waar Mein Taaru Rani Haath Pakad Kar Boli, Shanka Abhi Mitaaoon Mata Ka Darbar Hai Saacha, Man Ki Mail Hataaoon Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Tara Boli Mujhko To, Wishwaas Hai Maa Ka Bhaari Kaato Bete Ko Ghode Sang, Le Ke Haath Kataari Kabhi Bhi Maa Na Putra Maarti, Maa Ka Amar Hai Nata Dekh Le Maa Ka Chamatkaar, Ab Kyun Man Mein Pachhtaata Raja Ne Talwaar Utha Kar, Krodh Mein Tabhi Nihaara Ghode Aur Bete Ko 1aa Ke, Ek War Mein Maara Dheeraj Rakh Ke Tara Ne, Taambe Ke Kalash Mangaaye Maas Daal Kar Un Dono Ka, Dhakkan Bade Rakhaaye Raja Ne Geeli Lakdi Ko, Chun Ke Wahan Giraaya Mantra Bol Kar Tara Ne, Phir Agni Ko Pragtaaya Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Rani Ne Ik Lakdi Lekar, Maas Mein Tabhi Ghumaai Phansi Huyi Ungli Mein Angoothi, Bete Ki Dikhlaai Soche Raja 1ish Bete Ka, Maine 1anam Manaya In Paapi Haathon Ne Mujhse, Kyaa Anyaaye Karaaya Kate Huye Ghode Ko Dekhein, Baar Baar Pachhtaaye 1iski Khoob Sawari Karta, Wo Bhi Diyaa Mitaaye Bilakh Bilakh Ke Raja Roya, Mahal Udaasi Chhai Sharnaagat Di Nath Mantra Ki, Ushne Alakh 1agaai 1yoti Ki Lapton Mein Goonji, Waani Ek Niraali Kshama Kiya Tumko Rajan Maa, Sab Ki Hai Rakhwaali Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Raja Bola Kahan Hai Beta, Bhar Do 1holi Khaali Tere Pujaari Ke Haathon Se, Bikhri Pooja Thaali Baar Baar 1ab Khoob Pukara, Beta Sanmukh Aaya Neela Ghoda Ghudsaal Mein, Daana Chugtaa Paaya Bete Ko 1aa Gale Lagaaya, Dee Ghode Ko Thapki Dekh Rahi Sab Leela Tara, Boli Maa Hai Sabki 1yoti Mein Aa Ke Ambe Ne, Saari Baat Bataai Tara Rukaman Dono Behne, Ek Maat Ki 1aai Chhote Bade Ka Bhed Mitakar, Kiya Mera 1agraata Aaj Se Ye Andar Ka Marag, Beech Sabhi Ke Aata Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki
Ishi Beech Raja Ne Dekha, Garma-Garam Kadhaya Maas Bana Bete Ka Halwaa, Aeysi Badli Kaaya Ghode Maas Ke Chane Ban Gaye, Raja Shish 1hukaya Tara Rukaman Ne Bhi Dekhi, Maa Ki Adbhut Maaya Bhog Lagaakar Mahajyot Ka, Keenha Kanya Poojan Ek Launkadaa Veer 1imaya, Kar Langar Ke Darshan Raja Ko Vairaag Ho Gaya, Saadhu Kapde Pehne Maat Naam Ki Mala Daali, Tyaag Diye Sab Gehne Do Behno Ki Amar Kahani, Raja Ke Man Bhaaye Oonch Neech Ka Bhed Mitaao, Maa Ka Panth Bataaye Dhyaanu Ne Ye Katha Samaj Kar, Chhando Mein Likh Daali Santo Aur Mahanto Ne Gaa, Maa Ki Kirpa Paali Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki