Shaam Ki Aurton Eik Waada Karo
Shaam Ki Aurton Eik Waada Karo
Shaam Ki Aurton Eik Waada Karo
Na Aaun) x2 Aake Shamma Jalaaogi Tum (Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2 Surate Shahe Dee(n) Bekafan Bhi, Mere Jaisi Aseer-e-Mehen Bhi Khaali Kurte Mai Madhfun-e-Ghurbat, Misl-e-Asghar Rahi Bekafan Bhi Kya Kafan Ki Tarah Roz Chadar, Iss Lahad Par Chadhaaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo Eik Yasrab Ki Thi Shaahzaadi, Uska Saqqa Tha Abbas Ghaazi Mashq Laikar Gaya Sue Dariyaa, Aur Qabze Mai Karli Taraayi Loriyon Mai Yeh Sachi Kahaani, Roz Isko Sunaaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo Hamne Zindaa Se Paayi Rihaai, Ab Behen Paas Hogi Na Bhai Baat Itni Si Bas Yaad Rakhna, Meri Bacchi Hai Gham Ki Sataayi Tumne Bazaar Main bhi Sataaya, Ab Na Isko Sataaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo Jab Kabhi Qaid Khane Main Aana, Beridaa Bibiyon Ko Na Laana Tumko Asghar Bhi Dega Duaaen, Iski Tanhaiyaan Yun Mitaana Chhote Chhote Se Baccho Ko Laakar, Paas Iske Sulaaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo Qabre Bekas Pe Aansun Bahaane, Haal Qaide Sitam Ka Sunaane Qaafla Karbala Ko Chalaa Hai, Iske Baba Ka Chehlum Manaane Itna Kehdo Hamaari Taraf Se, Iska Chehlum Manaaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo Shaamiyon Ki Bahu Betiyon Se, Keh Rahi Thi Woh "Akber" Yeh Roke Yeh Amaanat hai Pardesiyon Ki, Kar Rahi Hun Tumhaare Hawaale Mujhse Ik Baar Bas Itna Kehdo, Apna Waada Nibhaaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo