Location via proxy:   [ UP ]  
[Report a bug]   [Manage cookies]                

Heer Ranjha

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Scene 1

Bhabhi- O mustanda..aake kabar lenge tere bhai..kuye par kyon gya tha
Ranjha- kuye par pyaase jate hain
Bhabhi- kuwaari ladkiyon ko chedte hain.. gudgudate hain?
Ranjha- to kya budiyon ko chedu
Bhabhi – puchna ye apne bhai se..nikhattu tujhko kya mil jayega iss jag hasayi se
Bhai1- putar jawaani ek din hum par bhi aayi thi..kissi se puch le uss waqt bhi mehnat ki
khayi thi
Bhai2- hum hal uthate hain ..tu bansi uthata hai..hum khet me jate hain..tu mele me jata
h
Ranjha- mujhe bhi bolne doge
Bhai1- tu kya bolega deewane..hamare ghar me paida ho gya tu kaise…kya jaane
Bhai2- ab kahan jata h tu
Bhai1-baith ghar me
Bhabhi- Hum se gabrata h tu?
Ranjha- Tumse gabra kar kahan jaunga ..aisi bhabhi fir kahan paunga main…
Bhabhi- chl muye
Ranjha- tuslipur.. ek mera dost rhta h wahan..ja rhi hain jhang aaj uski baraat mujko
janaa hi hoga uske sath
Bhai2- jhang.. pagal jhang kyon tu jayega..yaad rkh zinda laut ke na aayega
Bhai1- jhang se apna purana bair h..baaz aaja tu isi me khair h
Ranjha- mere sab dushman yhin bair yhi..baaki sb apne hain main jau kahin
Bhabhi- tum na roko..ye agr jata h.. jaye..kaun jane heer ko ye byah laye
Scene 2

Heer- kaun h
Ranjha- Ranjha mera naam h
Heer to sheli- sun liya..puch le kya kaam h
Saheli- kaam kya h,,tumpe qurbaan h..baatein karne ka armaan h
Heer- Usko kahna kya h ye pucha aa
Saheli- tujko kya kehna h
Ranjha- laayega meri dil ki tadap koi kahan se
Sunna h mera haal..suno meri juban se
Baraat me halki si jhalak apni dikha ke
Chhoda mujhe iss husan ne deewana bnake
Doori na hui dil ko kisi trh gawaara
Chhod aya hmesha ke liye takht hazaara
Heer- tum.. takht h hazaare se..
Ranjha- suna h ye fasaana, jhang aur hazaare me h ek bair purana
Heer- (bhagte hue) khtra h yahan jaan ka
Ranjha- khelunga main jaan se
Heer- ya allah chle jao yahan se
Ranjha- kahan jau yahan se..main rah tumhari yhi dekhunga
Heer-Kahan tak?
Ranjha-jab tak h Chenab..usme ravaani h jahan tak
Scene 3

Qazi: sharm zevar tera.. haya gehna.. husn hai ladkiyo ka chup rahna. Bahut tair li.. ab
kinare pe aa
Heer: mahobbat ka koi kinara nahi
Qazi: tu kya bak rhi hai.. khuda se toh darr.
Heer: khuda kuch akele tumhara nahi.
Qazi: zuban band kar neech.
Heer: chillao mat.
Qazi: saza dunga main iski.
Heer: bhadkao mat.
Qazi: zamane ki nafrat..
Heer: tumhare liye
Qazi: zahan bhar ki laanat..
Heer: tumhare liye..
Qazi: gunahgar..
Heer: berraham
Qazi: besharram
Scene 4

Raja- kaunsi gutthi h wo jo humne suljahi nhi..aisi fariyaad aaj tak hmare darbar me aayi
nhi..heer aur ranjha..tumhara jurm agar saabit hua..ghar se chup kar bhaag aane ki sazza
denge tumhe..jiss trh dhota h dhabba apne daman se koi hum yuhi dharti ke seene se
mita denge tumhe..aur..agr qazi aur saida me h kuch saaz baaz..yani ye shaadi hakikat
me koi shaadi nhi..to sazza aisi milegi inko iss darbar se..surk ho jayegi inke khoon se
zameen
Darbari- qazi jab tum muh khologe..mujhe asha h sach hi bologe
Qazi- sach hi bolunga
Darbari- manta hun main..tumko thoda sa jaaanta hun main..kaise samjhunga ki khote
ho..bas khuda se zaara sa chote ho..mujko umeed h sach hi bologe..varna hargiz muh nhi
khologe
Qazi-jaan se bhi azzez h mujhe imaan..mmujhe jhoota samjhte ho deewan
Darbari- heer ne tumse haan kahi thi?
Qazi- jarur
Darbari- kya ye sach kah rhe ho tum?
Qazi- jee han
Darbari- jhoot pe jhoot bak rhe ho
Qazi- jee han..jee nhi..jhoote par khuda ki maar h..heer ne han kahi thi do do baaar
Darbari- usne chupke se kuch kha hoga..tumne kuch aur sunliya hoga
Qazi- heer ki awaaz sare ghr ne suni..wo deewano ki trh cheekhti thi
Darbari- hehehehehhe..suniye maharaj…heer cheekti thi…cheekti kyon agr wo razi thi
Raja- koi dil ki mrad jo paaye..fir kyon deewano ki trh chillaye
Qazi- baat itni si h sarkar..usne suru me kiya tha kuch inkaar..iski maa zaher khane ko
uhti..maa ki khatir pighal gayi beti..isne garden jhuka ke han kahdi
Raja- maa ne uspe dabav dala tha
Qazi- ghar jo barbad hone wala tha..
Raja- koi ladki agr dabav me aake hui ho nikaah ke liye raazi..wo shaadi jayaaz nhi h
qazi..heer inkar karti rhi thi agr ..to ye shaadi shaadi nhi
Raja- isne shohar kabhi tumko mana
Darbari- bta do ab bhi tum kya asliyat h
Qazi- heer raazi thi
Raja- Darbari..
Darbari quran utha ke qazi ke pass leke jata h
Raja- jaante ho ye kya h
Qazi- jaanta hun
Raja- ye quran h…jo iske saamne bhi juth bolega wo shaitaan h
Qazi- main sach kahta hun
Raja- phle sar par rakho isse phir bolo..
Qazi---lamba pausa…heer ne razi nhi thi huzur….usne inkar kiya..usne inkaar kiya tha

You might also like