Ahmed Faraz
Ahmed Faraz
Ahmed Faraz
Ahmad Faraz
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain Suna hai raat use chand takta rehta hai Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain Suna hai din ko usay titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain Suna hai us ke labon se gulab jalate hain So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain
Chain o Sakoon
September 27th, 2011
Dil se Utar Ja
September 27th, 2011
Ankh se door na ho dil se utar jaye ga waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga dobtay dobtay kashti ko uchaala day don mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga!!!
Uski Aankhain
September 27th, 2011
Naam e Wafa
September 22nd, 2011
Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa faraz Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna.
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
September 15th, 2011
Pathar na aye ga
September 15th, 2011
Shayari
August 22nd, 2011
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho Ae jaan-e-Faraz itni bhi taufeeq kise thi Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho
Tamaam umar
July 29th, 2011
Ae khuda
May 19th, 2011