Allama Iqbal Poems
Allama Iqbal Poems
Allama Iqbal Poems
Razi Ho, Ghazali Ho Kuch Hath Nahin Ata Be Aah-e-Sahargahi Naumeed Na Ho In Se Ae Rahbar-e-Farzana Kamkosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi Ae Tair-e-Lahooti! Uss Rizq Se Mout Achi Jis Rizq Se Ati Ho Parwaz Mein Kotahi Dara-o-Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aula Ho Jis Ki Faqeeri Mein Boo-e-Asadullahi Aaeen-e-Jawanmardan, Haq Goyi-o-Bebaki Allah Ke Sheron Ko Ati Nahin Roobahi
Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga, Yehi Hai Ek Harf-e-Mehrmana Qareeb Tar Hai Namood Jis Ki Ussi Ka Mushtaq Hai Zamana
Meri Soorahi Se Qatra Qatra Naye Hawadis Tapak Rahe Hain Main Apni Tasbeeh-e-Roz-o-Shab Ka Shumar Karta Hon Dana Dana
Har Aik Se Ashna Hun, Lekin Juda Juda Rasme-o-Rah Meri Kisi Ka Raakab, Kisi Ka Markab, Kisi Ko Ibrat Ka Taziyana
Na Tha Agar Tu Shareek-e-Mehfil, Qasoor Mera Hai Ya Ke Tera Mera Tareeka Nahin Ke Rakh Loon Kisi Ki Khatar Maiay Shabana
Mere Kham-o-Paich Ko Najoomi Ki Ankh Pehchanti Nahin Hai Hadaf Se Baigana Teer Uss Ka, Nazar Nahin Jis Ki Arfana
Shafaq Nahin Maghrabi Ufaq Par, Ye Jooye Khoon Hai, Ye Jooye Khoon Hai! Tulu-e-Farda Ka Muntazir Reh Ke Dosh-o-Amroz Hai Fasana
Woh Fikar-e-Ghustakh Ji Ne Uryaan Kiya Hai Fitrat Ki Taqaton Ko Ussi Ki Betab Bijliyon Se Khatr Mein Hai Uss Ka Ashiyana
Hawaen Un Ki, Fazaen Un Ki, Sumundar Un Ke, Jahaz Un Ke Girah Bhanwar Ki Khule To Kyunkar, Bhanwar Hai Taqeer Ka Bahana
Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer Mar Raha Hai Jise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar Khana
Hawa Hai Go Tund-o-Taiz Lekin Charagh Apna Jala Raha Hai Woh Mard-e-Darvesh Jis Ko Haq Ne Diye Hain Andaz-e-Khusarwana
Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha Illallah Khudi Hai Taeg, Fasan La Ilaha Illallah
Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein Hai Sanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah
Khird Huwi Hai Zaman-o-Makan Ki Zunnari Na Hai Zaman Na Makan, La Ilaha Illallah
Agarche But Hain Jamat Ki Astinon Mein Mujhe Hai Hukm-e-Azan, La Ilaha Illallah