Location via proxy:   [ UP ]  
[Report a bug]   [Manage cookies]                
Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 5

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo


Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo.

IQBAL teri qoum ka IQBAL kho gaya.


Mazi to sunehra hai magar Haal kho gaya.
Wo Roub-o-Dabdaba wo jalal kho gaya.
Wo Husn Be-Misal wo jamal kho gaya.
Dobe hain jawabon men pr sawal kho gaya.
IQBAL teri Qoum ka IQBAL kho gaya.
Urte jo fizaon men the Shaheen na rahe.
Ba-zouq na rhe
Zaheen na rahe.
Pakiza gar na rahe Ba-Deen na rahe.
Wo Lala-o-Gulzar, Meh jabeen na rahe.
Momin ka W0 Andaz-e-Bakamal kho gaya.
IQBAL teri QUOM ka IQBAL kho gaya..!

Iqbal Tere Des ka Kya Haal Sunaon,


BeBaaki-o-HaqGoyi se Ghabraata hai Momin,
Makkari-o-Farebi pe Itraata hai Momin,
Jiss Rizq se Parwaaz mein Kotaahi ka Darr ho,
Woh Rizq Ab Barray Shauq se Khaata hai Momin,
Kirdaar ka, Guftaar ka, Aaamal ka Momin,
Qaail Nahin Ese Kisi Janjaal ka Momin,
Sarhad ka Momin hai to Koi Punjab ka Momin,
Dhoonde se bhi Millta Nahin, Quraan ka Momin,
Iqbal Tere Des ka Kya Haal Sunaon!!

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai


Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay
Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay
Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay
Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay
Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay
Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya
Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya
Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya
Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara
Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara
Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara
Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya


Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya
Burr`haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya
Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala
Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala
Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi
Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi
Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi
Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Burr`hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi
Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi
Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi
****** Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi
Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar
Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar
Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar
Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai


Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo


Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo
Tum Ne B Suni Ho Gi Bari Aam Kahawat Hy
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo
Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye
Sur Hi Na Mile Jis Mai Wo Saaz Badal Dalo
Dushman K Iradon Ko Hy Zahir Agar Karna
Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo
Ay Dost Karo Himat Kuch Door Sawera Hy
Agar Chahte Ho Manzil Tu Parwaaz Badal Dalo

Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Ge


Khwaab Ho Jao Ge, Afsano Mein Dhal Jao Ge
Ab To Chehron Ke Khad-O-Khal Bhi Pehle Se Nahin
Kis Ko Maloom Tha Tum Itne Badal Jao Ge
Apne Parcham Ka Kahin Rang Bhula Mat Dena
Surkh Sholon Se Jo Khelo Ge To Jal Jao Ge
De Rahe Hain Tumhain To Log Rafaqat Ka Fareb
In Ki Tareekh Parho Ge To Dehal Jao Ge
Apni Mitti Pe Hi Chalny Ka Saleeqa Seekho
Sang-E-Mar.Mar Pe Chalo Ge Tou Phisal Jao Ge
Khwabgahon Se Nikalte Hue Dartay Kyon Ho
Dhoop Itni To Nahin Hai Ke Pighal Jao Ge
Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Ge
Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho
Thokarain Khao Ge To Khud Hi Sambhal Jao Ge

Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat Ke Chiraagh


Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho Ke Dhal Jao Ge
Subh Sadik Mujhe Matloob Hai Kis Se Mangon
Tum To Bholay Ho, Chraghon Se Behal Jao Ge

Nazar Main Zulmat, Badan Main Thandak, Jamaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Main Us Ki Chahat Main Ghar Say Nikla, Tu Haal Kitna Ajeeb Sa Tha
Na Main Nay Us Ko Khatoot Likhay, Na Us Nay Meri Panah Chahi
Dono Ko Apni Be Khudi Pay, Malaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Wo Meri Raaton Main Chand Dekhay, Main Apni Raaton Main Us Ko Socho
Badaltay Lamhon Main Soch Ka Ye Wisaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Ye Zeest Tanha Hi Kaat Lo Gay, Jo Main Nay Pucha To Ro Dia Wo
Jawab Kitna Ajeeb Sa Tha, Sawal Kitna Ajeeb Sa Tha

Mukar Gaya Hai Wo Chahton Sy..


Meri AdaTon Ko Kharab Kar Ky..

You might also like