Hadith Reference
Hadith Reference
Hadith Reference
1,54,2529,3898,5070,66
Amaal ka daromadar Niyat par hai 89,6953
Islam, Qayamat ki nishaniyan 50, 4777
Allah ke 99 naam hai/ Allah ke 99 naam yaad karne waale ko jannat 2736, 6410, 7392
Surah Fateha Quran ki sab se azeem surat hai 5006, 4474, 4703
4008, 5008, 5009,
Surah Baqra ki aakhri 2 aayat ki fazilat 5040, 5051
Yunus AS ki dua
Teen Qul ke surah Raat mein sone se pehle padhna 5017, 5748, 6319
Qul Huwallahu ahad 1/3 quran ke barabar
Dua ke 3 anjaam
Dua ka protocol
Surah fateha Aisi Surah jo na Taurat mein na injeel mein na zabur mein
and na quran mein iski misl hai
Surah fateha ke saath koi aur Surah Padhne ka jawaaz/ Aakhri 2 rakaat
mein bhi Surah fateha ke saath koi aur Surah Padhsakte/ Pehli rakaat
ko dusri rakaat se lamba rakhna afzal hai 776
Wo namaaz nai hot jisme Surah fateha na padha jaye
Us shaqs ki namaaz nai jo Surah fateha ke saath koi aur Surah na padhe
AAP SAW namaaz mein sana ke alawa yeh dua padhte/ Namaaz
Shuru karne se pehle shayetan ke shar se panha talab karna
Baitulqala Jinaon aur shayetanaon ke hazir hone ki jaga hai/ Baitul qala
jaate waqt ki ek aur dua
Kin Cheezaon se Namaaz Totjat hai aur Kala Kutta Shayetan hai?
Agar Shuru mein Khate waqt Bismillah Bhool jaye to kya kare?
Sawari mein baithte waqt Bismillah padhna aur Sawari ki dua bhi
Jism pe kahi dard huwe waqt yeh dua padhe aur yeh bhi
Bismillah se shuru hot hai
Bimaar ki shifayabi ke liye dua bhi Bismillah se shuru hot hai 5746
Kalima go Muslamaan ke khilaaf Qitaal aur Jihad karne ka jawaz/ 1399, 1400, 1457,
Imaan wa kufr mein kya farq hai 6924, 7284, 7285
AAP SAW aur tamam ambiya ki sab se afzal baat kya hai?
Rahemat ke 100 Hisse aur uska ek hisse ka zikr/ Allah ki rahemat
dekh kar kaafir Jannat se kabhi mayus na hoga/ Momin ko Allah ke
azab ka pata chaljaye to wo dozaq se kabhi beqauf nai hoga 6469, 6000
Allah ke nazdeek sab se zyada Zaleel aur Bura Naam kya hai? 6205
AAP SAW ke ameen ki awaaz pehle saff walaon tak aat thi
Quran ke padhne aur na padhne waale mein farq kya hai? 5020, 5059
Kisi Momin par saqt dur karne ka ajr/ Kisi muflis ko mohallat dene ka
ajr/ Kisi Momin ka ayeb dhankne ka ajr/ Kisi Momin ki madad karne ka
ajr/ Ilm-E-Deen hasil karne ke liye rah chalne ka ajr/ Quran ek jaga
jama hokar seekhne aur sikhane ki fazilat
Naqli baal (Wig) Lagane waali aurtaon par Lanaat 4887, 5940, 5947
Surma Bharne aur Bharwane waali aurtaon par Lanaat 5937, 5942
Sahaba Ikram Deen haseel karne ke kitna bhi taweel safar ho taye
karne tayyar rahete the 5002
Ibne Abbas RA ke liye AAP SAW ki dua 75, 143, 3756, 7270
Aakhri zamane mein jhoote aur kazab loog jo daeef hadith bayan
karenge
AAP SAW ki taraf jaan bujh kar jhoot bolne ka anjam/ AAP SAW ko
khwab mein dekhne ka bayan/ AAP SAW ke naam pe naam rakhne ka
bayan 110
EK aayat tak bhi logaon tak pahunchao/ AAP SAW ki taraf jhoot
mansoob karne waale ka anjam 3461
Ilm Uthalene ka bayan/ Jahel loog fatwa denge aur dusraon ko gumrah
karenge 7307
Aadmi ke jhota hone ke liye yahi kaafi hai ke jo kuch sune usee bayan
karde
Fitne ke daur mein besanad baatein aur Ahle bidat se hadith na lena ka
bayan
Is ummat ka pichle logaon ke tareqaon par balish bar balish pairwi
karne ka bayan 3456, 7320
Masjid mein Daaqil hote waqt Allah ki panha mein aana/ Masjid mein
daqeel hote waqt ki dua
Masjid mein daaqil hote waqt aur baher nikalte waqt ki dua/ Masjid se
baher nikalte waqt Allah ki panha mein aana
Allah ko apni tareef bahut pasand hai isliye Allah apni tareef karta hai 4634, 4637
Taharat Aadha Imaan hai ; Alhamdulillah tarazu ko bahrdeta hai
Jab Banda Allah SWT ki taraf chal kar aata hai to wo daud kar aata hai 7405
AAP SAW qayamat ke din apni bet tak ko madad nai karsakte 7441
6205
Ibadat sirf Allah ka haq hai 2856
Allah na sirf ki gayi dua sunta hai aur is par aata farmata hai balke
insaani hajaat puri karne ke liye khud sada lagata hai 6321
Muslim Tirmizi Abe Dawood Ibne Majah Sunan NisaiMusnad Ahmed
Sunan Darqatuni
2005
2006
2950
385
6225, 6226, 6227 and 6228
1897
97
3507 3861
1885
3388 5088
3505
3475 1493
1496 3855
3575 5082
1886
3792
908
3372
11150
3382
593
1892
2346
3124 1457
2875 915
1877 913
1473
885
874
1013
839
850
905, 906
604 846 923
764 807
808
831
6 296
5509
788
2928 4001 1140
894
906
245
1773
244 909
606 297
5269
3767
5267
5087
6892
3446 2602
5262, 5263
5700
5737
5719
3373 3827
4629
3383 3800
3805
3801
3585
6979 3542
1173
7050 192
2459 4260
792 910
2906
2859
2954
6775
248 932
934 853
937
913, 914
856
857
6853, 6854
1897
4604
2663 4605
4435, 4436
6333
16
7, 8
27
6781, 6782, 6783
466
773
5533
1357
1358
3416
6887
6895
3850
3851
6969
6805
6978
2135
1924
504
2516
904
Mautta Imam Malik
Mustarad Hakeem Mishkat Ibne Khuzaima
Sunan Ibne Hibban
Mas'alah
1
321 1
1
1
1
1
1
1
399 1
1
3
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
82
778
490 1789
443, 444
5692
2385, 2391
493
499 1797
443
846
1585
1586
Details
Har Baat se bahetar Allah ki Kitaab aur Har chaal se bahetar AAP SAW ki chaal hai
AAP SAW khutbe ka aagaz in alfaaz se kiya " Innal Hamda lillahi Namhaduhu"
(Har Qisam ki tareef Allah ke liye hai aur hum iski hamd bayan karte hai)
Quran ko Mazboot se pakadne ka zikr aur Quran par chalne par kabhi gumrah nai hoge
Amaal ka daromadar niyyat par rahega aur usku us mutabiq milega. Agar Hijrat Allah aur
uske rasool ke liye ki to uska sawab aur kisi aur cheez ke liye ki to uske mutabiq sawab
Islam ke 5 arkaan hai, Qayamat ki Nishaniyan
Allah ke 99 naam hai aur jo shaqas bhi ise yaad karega jannat mein jayega.
Allah Taaq hai aur Taaq ko pasand karta hai
99 Names hai yeh hadith mein (Yeh tamam mohdateen ke nazdeek da’eef hai.
Isme waleed bin Muslim Mudallis hai aur Ann se riwayat kar rahe hai) Yehi naam
loog quran ke shuru mein chapwate hai
Ibrahim AS ko jab aag mein daala to yeh dua padhi aur iska zikr Surah Ale Imran 173
mein hai "Hasbunallah wa Nayemal wakeel" aur AAP SAW ne yeh bhi yeh dua padi
jab munafeeqeb ne afwa pahelayi ke Dushmaan bahut bade lashkar tayyar kar rakha hai;
lehaza inse daro.
Shayetan ne Abu Huraira RA ku yeh wazifa diya aur kaha ke raat mein sone se pehle padhkar
sone se Allah ki taraf se ek farishta hifazat ke liye aajata hai aur subah tak Shayetan qareeb
nai aasakta
AAP SAW ne farmaya sab se azeem aayat Aaytal kursi hai
Abu Saeed bin Muala RA jab namaaz mein mashgul the aur AAP SAW ne inhe bulaya to inho
ne jawab nai diya. Jab Farigh hokar AAP SAW ki qidmat mein hazir huwe to AAP SAW Ne
kaha ke kya tumhe Allah ne hukum nahi diya ke " Jab tumhe Allah aur uska rasool bulaye to
fauran Hazir hojao?" (Surah Anfal 24) . Tab phir AAP SAW ne unhe bataya ke Surah fateha
Quran ki sab se azeems surat hai
Surah Baqra ki aakhri 2 aayat jo raat mein padhega uske liye kaafi hai har cheez se
Saheh Buqari 5051 mein yeh baat hai ke namaaz mein kam se kam 3 aayat padhlena
munasib hai
Yeh Dua subah aur shaam padhne se koi bhi Musibat nai aat
Yunus As jab machli ke pet mein the yeh dua mangi: "La Ilaha Illa Anta Subhanaka
Inne kuntu Minazzalemeen"
Koi bhi Dua mangne se pehle Allah ke Asma-E-Azam ke zariye Allah ku pukrane par
Dua ki quboliyat hot hai
Allah ke Azeem naam 2 aayat mein hai: Surah Baqra 163 and Surah Ale Imran startng
Teen Qul ke surah Subah wa shaam padhne ka zikr aur har cheez se kifayat karegi
AAP SAW raat mein sone se pehle 3 qul ke surah padhkar haath mein phuk mar kar
apne upar dum karliya karte the
AAP SAW ne farmaya Qul huwallahu Ahad 1/3 quran ke barabaar hai
AAP SAW ne farmaya Allah bande ke saath hota hai jab who uska zikr karta hai aur bande ke
honth allah ke zikr ke saath harkat karte hai. Is se maloom huwa ke allah ka zikr honth
hilakar karna hai nake dil mein
AAP SAW sahab ku Durood e ibrahimi padhne ki taleem dete the jab sahaba puchte
ke aap par durud kis tarha bheje
AAP SAW ne farmaya Dua hi ibadat hai
AAP SAW ne farmaya jab musalmaan dua karta hai to Allah inme se 3 cheez ata karta hai:
Fauran Dua qubool karli jaat hai ya phir aakhirat ke liye zaqira banjat hai ya phir is se is jaisi
koi takleef dur kardi jaat hai
AAP SAW ne farmaya jise chahiye ke dukh ke mauqa pe uski dua qubool ho use chahiye ke
khushi ke mauqa pe bahut dua kare
Dua se pehle Allah ki hamd bayan karna aur AAP SAW par durud bhejna chahiye
AAP SAW rukne yamani aur Hajre aswad ke darmiyan guzarte waqt "Rabbaba Atayena
fidduniya Hasanataon wa fil akhirat hasanataon wa qinna azaban nar" padhte
AAP SAW ka irshad Haram khaane waale ki dua qubool nai hot
AAP SAW ne farmaya Surah fateha Ummul Quran, Ummul Kitaab aur Saba-E-Masani hai. Yeh
Hadith Hasan hai saheh hai
AAP SAW ne farmaya jo shakqs surah fateha namaaz mein nai padta uski namaaz naqis hai
aur imam ke peeche bhi Surah fateha ahesta awaaz mein padhna chahiye
Surah Fateha Shifa bhi hai, Ruqayya bhi aur is se sabit hota hai ke ruqayya ke liye ujrat
lijasakt hai
AAP SAW ne farmaya Bismillah padho kyunke yeh Surah Fateha ki ek aayat hai
Surah Fateha ka ek aur naam ummul quran bhi hai. Sunan nisai mein yeh alfaaz hai ke Allah
Nne farmaya yeh mere aur mere bande ke darmiyan taqseem hai aur mere bande ke liye
who cheez hai jo usne mangi
AAP SAW ke saath jab Jibrael AS baithe huwe to ek zor ki awaaz aayi darwaza kholne ki aur is
par jibraeel AS ne kaha ke yeh ek darwaza hai asmaan ka jo aaj se pehle kabhi nahi khula aur
is se ek farishta zameen par utra jo kabhi aaj tak nai utra aur isne salam kiya aur khush
khabri di 2 noor AAP SAW ko inayat huwi aur nabiyon mein se kisi nabi ko aaj tak nai mili. Ek
Surah fateha aur dusri Surah baqra ki aakhri 2 aayatein
AAP SAW ne farmaya namaaz bajamat tanha shaks ki namaaz se sawaab mein 25 darje
zyada hai aur din raat ke farishtey Namaze fajr mein jama hote hai.
AAP SAW ne ek aadmi ko teezi namaaz padhte dekha aur jab wo namaaz padhke aakar AAP
SAW ko salaam kiya to AAP SAW ne jawab mein "WALAIKA ASSALAM" jawab diya aur kaha
ke jao phir namaaz padho. Jab wo namaaz padhkar waapis aaya to phir kaha ke jao namaaz
padho aur aise hi teen dafa huwa. Phir jab usne AAP SAW se namaaz sikhane ki darqast ki to
AAP SAW ne kaha Namaaz ke liye khade ho to Allahu Akbar kaho, Quran mein se jo yaad
aata hai padhlo, Ruku karo, Sar uthao aur seedha khade hojao; phir sajda karo aur sajde
mein itmenaan se raho. Phir sar uthakar itmenaan se baith jao aur Isi tarha poori namaaz
mukammal karo. Is hadith ko saboot lekar kai ulema bolte hai ke kyunke yaha sirf quran
mein se kuch padhne ka zikr huwa to is wajah se Surah Fateha padhna zaroori nai hai
AAP SAW ne farmaya jis shakqs ne surah Fateha nai padhi uski namaaz nahi
AAP SAW Zohar ki pehli 2 rakataon mein Surah fateha padhta aur uske saath koi aur
surah bhi milalete the aur aakhri 2 rakataon mein sirf Surah fateha padhte the aur kabhi
kabhi koi aayat humein suna bhi dete the aur AAP SAW pehli rakaat ko dusri rakaat se lamba
karte the; isi Tarha asar aur Fajr ki namaaz mein bhi yahi mamool tha
AAP SAW ne farmaya jisne namaaz mein Surah fateha nai padhi uski namaaz nai hot
AAP SAW ne farmaya har farz aur nafeel namaaz ki har rakaat mein Surah Fateha ke saath
koi aur surah mila lena chahiye warna aise shaks ki namaaz nai hot. Yeh Hadith ki sanad
mein Abu Sifyan as sadi hai jiske da'eef par tamam mohaddaseen ka Ittefaq hai aur is wajah
se yeh hadith daeef hai
AAP SAW ne farmaya Jiska koi imaam ho to Imaam ki qiraat hi muqtadi ki qiraat hai.
Yeh hadith Da'eef hai aur yeh riqaayat abu al zubair ki tadlees aur jaber Jafayi ke majroh
hone ki wajah se daeef haiu
Imaam jab Qiraat kare to muqtadi khamosh rahe. Isi hadith ko daleel lekar kai ulema
ne yeh kaha ke Imaam jab Qiraat kare to Khamosh suno chahe wo Surah fateha ki qiraat ho
ya koi aur quran ka hissa. Lkein jab imaam khamoshi se namaaz padha raha hai to Surah
fateha tab padhna wajib hai
AAP SAW ne farmaya Imaam isliye banaya jaata hai ke uski pairwi karo aur jab wo
Qiraat kare to Khamoshi se suno. Imaam Qirat karne par khamoshi se sunne ka hukum Surah
fateha ke alawa dusri surtaon par hai kyunke Saheh hadith se yeh pehle hi sabit hochuka hai
ke Imaam ke peeche Muqtade ko bhi ahista awaaz mein Surah fateha padhni chahiye
Kuch Sahabi Fajr ki namaaz mein AAP SAW ke peeche Qiraat kar rahe the. Namaaz se
farigh hokar AAP SAW ne pucha ke kya tum mere peeche Qiraat kar rahe the. Sahabi ne
kaha haan; to is par AAP SAW me kaha ke Siwaye Surah fateha Qiraat mat karo imaam ke
peeche
AAP SAW jab raat ki namaaz padhte to Sana ke baad 3 baar La ilaha Illalha padhte phir
Allahu Akbar Kabeeran padhte phir Auzubillahi samiul aleem Minashaitain Nirrajeem Min
hamizihi wa nafqihi wa nafsihi padhte
AAP SAW sana ke baad 3 baar Allahu akbar Kabeera Allahu Akbar Kabeera, 3 baar
Alhamdulillahi Kaseera Alhamdulillah Kaseera aur 3 baar Wa subhanallahi Bukrataon wa
asila padhte. Phir uske baad Auzubillahi Minashaitain Min hamizihi wa nafqihi wa nafsihi
padhte
AAP SAW ne farmaya " Allahumma Inne Auzubika Minashaitain Nirrajeem Min hamizihi wa
nafqihi wa nafsihi". Iski Sanad Daeef hai
AAP SAW ke saamne do aadmi ladh rahe to aur usme se ek shaks bahut zyada gusse
mein tha. Is par AAP SAW ne farmaya "Allahumma Inni Auzubika Minashaitain Nirrajeem"/
"Auzubillahi Minashaitain Nirrajeem" padhne se Gussa jata rahega
AAP SAW baitulqala jaate to yeh dua padhte " Allahumma Inni Auzubika minal Khubsi wal
khabais" (Aye Allah! Main napak Jinaon aur jinneneaon se teri panha mein aata ho)
AAP SAW ne farmaya Baitulqala jinaon aur shayetanaon ke aane jaane ki jagahe hai; lehaza
tum mein jab koi baitulqala jaaye to yeh kalimat kaheliya kare " Auzubillahi minal Khubsi wal
khabais" ( Main napak Jinaon aur jinneneaon ke shar se Allah ki panha mein aata ho)
AAP SAW ne Abu Zar RA se farmaya ke Shyetan Jinaon aur Insanaon se Allah ki panah talab
kar. Us par jab Abu ZAR RA ne puca ke aye Allah ke Rasool SAW Insanaon mein bhi shayetan
hote hai. AAP SAW ne jawab diya Haan. Yeh hadith Sanad ke aetebar se Daeef hai
AAP SAW ne farmaya ke jab koi namaaz padhne ke liye khada ho to saamne palan ki pichli
lakdi ke barabar sutra rakhle jo kaafi hoga; Aurat, gadha aur kala kutta saamne jaane se
Namaaz tut jaat hai. Jaba Sahaba ne kale kutte ke baare mein pucha to AAP SAW ne jawab
diya kala kutta shayetaan hai. Sunan Abe dawood 719 mein hai ke koi bhi cheez aage se
guzarne se namaaz nai tut t lekin yeh hadith daeef hai? Ahle Ilm ki isme ikthelafe raye hai.
Saheh Ibne Khuzaimah 831 and Saheh Ibne Hibban 2391 mein hai ke Gadhe, aurat aur kale
kutte ki guzarjane ki wajah se namaaz tut jaat hai aur namaaz dohrani chahiye aur aurat ka
zikr bhi isliye aaya hai ke wo haiza ya napak aurat ho
AAP SAW surtaon ki faraq nai pehchante hatta ke Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Naazil ki na jaat
AAP SAW ne namaaz mein jab Bismillah Hir Rahman Nir Raheem padhi to ise ek aayat
shumar kiya aur Alhamdulillah Rabbil Alameen ko dusri aur Iyyaka nastaeen ki tlawat karne
ke baad apni panchvi ungli ko jama karlete. Umro bin Haroon kai mohdateen ke nazdeek
daeef hai isliye yeh saqt daeef riwayat hai (Bismillah ki tafseer mein Ibne Kaseer Page 41 -
Zubair ALi Zai ki taqreej)Abu Dawood 4001 mein lagbhag same alfaaz hai lekin wo sanad ke
aetbaar se daeef hai
Sunan Darqatuni mein hadith 1400 ke baad taweel bahes hai is baare mein
Shaik Albani ne ise sahi kaha lekin yeh hadith daeef hai. Ibne Jareej Mudallis hai aur Ibne Abi
Malika ne Umme Salama RA se kuch nai suna
Abu Huraira Namaaz mein Surah Fateha se pehle Bismillah padhe aur Surah Fateha
ke baad Unchi awaaz mein ameen kaha. Inke peeche Muqtadiyon ne bhi ameen kaha
Is riwayat se maloom huwa ke jahri namaaz mein Bismillah buland awaaz se padhi jayegi
magar zaroori nai kyunke Ahista awaaz mein padhne ki riwayatan bahut hai. Kabhi kabhi
Bismillah Buland awaaz mein padha jasakta hai lekin aksar mamool Ahista Awaaz se padhne
ka hona chahiye
Mazeed maloom huwa ke jahri namaaaz mein Imaam aur Muqtadiyon ko buland awaaz
mein ameen kahena chahiye aur yeh sunnat hai
Nabi SAW namaaz mein Qiraat se pehle Bismillah Padhte the. Is hadith ki sanad ko
Imam Tirmidhi ne daeef kaha. Ise Abu Khaled Rawi Majhool hai
AAP SAW kheench kar padhte the. Bismillah ko Kheench kar padhte the, Ar rahman ko
Madd ke saath padhte aur Ar Rahmeem ko kheench kar padhte the
AAP SAW ne har badhshah ke naam ek khat likha aur khat ke aagahz mein Bismillah Hir
Rahman Nir Raheem likha
AAP SAW namaaz Allahu akbar kahekar shuru karte aur Qirat Alhamdulillahi Rabbul
Alameen se. Ruku mein peet seedhi rakhte, Attahiyat mein Left pair bichakar us par baithte
aur right pair ko khada karte. AAP SAW shayetan ki baithak se mana karte the yana Apne
Sireen (Buttocks) ko zameen par rakhde aur Dono Pindliyaon khada karke baithjaye aur
hathaon ko zameen par rakhe. Darenda ki tarha haath bichakar baithne se bhi mana karte
yani jaisa kutta baith ta hai apne dono haath zameen par rakh kar
Imam Abu Haneefa, Malik aur aksar ulema ke nazdeek Dono Tashshahud sunnat hai, Imam
Shafai ke nazdeek pehla sunnat aur dusra wajib hai.
Imam Abu Haneefa ke nazdeek dono qayedaon mein aise baithna hai, Imam Malik ke
nazdeek dono qayedaon mein tawarruk karna hai aur Imam Shafai ke nazdeek jis
jalse/qayeda ke baad salam hota hai usme tawarruk sunnat hai. Imam Shafai ka qaul saheh
hadith ke hisaab se fit hota hai
Anas Bin Malik RA ne Rasool Allah SAW, Abu Bakar Siddiq RA, Umare Farooq RA aur
hazrat Usmane Ghani RA ke saath namaaz padhi aur kisi ne bhi Bismillah Buland awaaz se
nai padhi
Is hadith se yeh sabit hota hai ke Bismillah ko ahista awaaz mein padhna chahiye aur zayed
hadith isi baat ki taraf ishara kart hai. Rahi baat un hadith ki jin mein Bismillah Buland awaaz
se padhna chahiye wo bhi sahi hai aur kabhi kabhi Buland awaaz mein padhsakte hai
Imam Shafai ka mauquf tha ke Bismillah SUrah Fateha ki aayat hai isliye ise bhi hamesha
Buland awaaz mein padhna chahiye
Abdullah bin Maghfal RA kisi ko bhi unchi awaaz mein Bismillah padhte sunte to kehte
maine Rasool Allah SAW, Abu Bakar Siddiq RA, Umare Farooq RA aur
hazrat Usmane Ghani RA ke saath namaaz padhi aur kisi ne bhi Bismillah Buland awaaz se
nai padhi. Yeh hadith kuch loog ne hasan kahi
AAP SAW ne farmaya Parda Ankhaon par jinaon ke Bane adam ki sharamgahon se
yeh hai ke baitulqala jaane se pehle Bismillah padhe
Yeh Hadith ku Shaik Albani ne saheh kaha lekin yeh hadith daeef hai. Abu Ishaq Mudallis ke
sama ki sarahat nahi hai. Yeh riwayat apne tamam shuwahed ke saath daeef hai
AAP SAW ne farmaya Jiska wazu nai uski namaaz nai aur Jo shaks wazu ke shuru mein
Allah ka Naam Bismillah na le uska Wazu nai
AAP SAW ne farmaya Allah ke naam ke saath wadhu suhuru karo
AAP SAW ne farmaya Khate Waqt Bismillah Padho, Daye Haath se khao aur apne aage se
nosh farmao
AAP SAW ne farmaya Khate Waqt Bismillah Padho aur agar shuruwat mein Bismillah
padhna bhool gaye to "Bismillahi Awwalahu wa aqirahu" padhlo
AAP SAW ne ek shaks se farmaya ke seedhe haath se kha. Usne kaha main seedhe
haath se nai khasakta halanke wo khasakta tha. Is par AAP SAW ne kaha khuda kare tujh se
na hosake aur iske baad iska seedha haath mafluj hogaya. Allah ne use jhoot bolne aur
gharoor karne par saza di
AAP SAW Jawar Zubah karne se pahele "Bismillah Allahu Akbar" padhte the
AAP SAW ne farmaya jab tum shikaar ke liye apna kutta chodo to Bismillah kaho aur Apna
teer phenko to Bismillah kaho
Ayesha RA AAP SAW se pucha Aye Allah ke Rasool SAW Kai loog humare paas gosht laate hai
lekin humein yeh maloom nai ke inho ne zubah karte waqt Allah ka naam liya ya nai. AAP
SAW ne farmaya Tum khud is par bismillah padhlo aur khaalo. Ayesha RA ne farmaya yeh
loog abhi Islam mein naye daqeel huwe the
AAP SAW ne farmaya Jab shaam hojaye to apne bachchaon ko roklo kyunke is waqt shayetan
muntashir hote hai, Phir raat ka kuch hissa guzar jaaye to Bachchaon ko chodo. Bismillah
bolkar darwaza band karlo kyunke shayetan band darwze ko nai kholsakta; Allah ka naam
leke bartan ko dhanp do khwa wo ek ladki lekar hi kyun na ho aur apne chirag Allah ka naam
lekar bujhado
AAP SAW ne farmaya sone se pehle koi kapde se Bismillah kahekar bistar ko 3 baar saaf karlo
aur phir yeh dua padhe "Subhanaka ALlahumma Rabbi bika Wada`tu janbi, wa bika arfa'hu.
In amsakta nafsi faghfir laha, wa in arsaltaha fahfazha bima tahfaz bihi 'ibadaka-s-salihin."
(Paak hai tu aye mera parwardigaar tera naam lekar main karwat zameen par rakhta ho aur
tere naam se uthaunga meri jaan rokle yun to isko baqash de aur jo chod de to iski hifazat
kar jaisi tu hifazat karta hai apne neek bandaon ki)
AAP SAW ne farmaya Sawari pe baithte waqt Bismillah padho aur uske baad yeh dua padho
" Subhanallazi Saqqarlana Haza wama kunna Lahu Muqreenen. Wainna Ila Rabbena
lamunqaleboon" (Allah tamam Buraiyon se paak hai Jisne humein yeh sawari se muyassir
kiya halanke hum isku qaabo mein na lasakte the aur beshak hum apne rab ki taraf laut kar
jaane waale hai); phir 3 baar Alhamdulillah aur Allahu Akbar 3 baar phir yeh dua padho
"Subhanaka Inni Qad zalamtu nafsi faghfirli fainnahu layugriuz zunuba Illa Anta" (Paak tu Aye
Allah beshak maine zulm kiya apni jaan par so baksh de mujhko ke nai hai gunhaon ku
bakashne waale siwaye tere)
AAP SAW Ne farmaya beshak tera rab pasand karta hai apne bande se jab wo kaheta hai aye
rab mere bakash de mere gunah beshak koi nai bakashta gunah siwaye tere
AAP SAW ne farmaya jab aadmi ghar mein jaata hai phir ghar mein ghuste waqt aur khaana
khaate waqt Bismillah padhle to Shayetan (Apne Rafeqaon aur dusre tabedaraon se) kaheta
hai na tumhare rahene ka thikana hai aur na hi khaana and jab ghar mein ghuste waqt
bismillah bhool jata hai to Shayetan kaheta hai tumhare rahena ka to thikana milgaya hai aur
jab khaate waqt bhi Bismillah bhool haye to Shayetan kaheta hai tumhare rahene ka bhi
thikana huwa aur khaane ka bhi
AAP SAW ne farmaya jab tum me se koi apni biwi ke paas aaye aur Bismillah padhkar yeh
dua kare " Allahumma Jannabnash shaitan wa jannibnish Shaitan ma razaqtana" ; phir agar
inhe bachcha diya gaya to shayetan ise koi noqsan nahi pahuncha sakega
Jibraeel AS AAP SAW ke paas aaye aur pucha Aye Muhammed SAW kya aap beemar ho? AAP
SAW ne farmaya haa. Phir Jibraeel AS ne yeh Dua padhi " Bismillahi Arqeeka Minn Kulli
Shayeunzeeka Minn Sharri Kulli Nafseen Au Ayeneen Hasedellahu Yashfeeka Bismillahi
Arqeek" ( Allah ke Naam ke saath, Main tumhare liye har us cheez se jo tumhein takleef
pahunchat hai aur har nafs ki burayi se ya Hasid ke nazr-e-badd ki durai se shifa talab karta
ho . Allah Tumhein Shifa Ata farmaye Main ALlah ke naam ke saath tumhare liye shifa talab
karta ho)
Uthman b. Abu al-'As Al-Thaqafi ne jab AAP SAW se apne badan pe dard ka shikwa kiya to
AAP SAW ne farmaya Apna Haath dard ki jaga par rakho aur 3 baar Bismillah padho aur 7
baar yeh dua padho " A'udhu billahi wa qudrathi min sharri ma ajidu wa uhadhiru" (Main
Allah ki aur uske qudrat ki panha talab karta ho is beemari ki burayi se jo is waqt mujhe
laheq hai aur is se bhi jis ke ayenda hone ka andesha hai)
Jab koi bimaar hojate aur koi zaqi hojate to AAP SAW shahdat ki ungli zameen par rakh ke
yeh dua padhte the " Bismillah Turbatu Arzine wa reeqatu ba'zina Ushfaa Saqeemuna Bi'izni
Rabbina" (Allah ke naam ke saath humare zmaeen ki mitti aur hum se baaz ke luabe dahen
se humare rab ke hukum se humara mareez shifayab hojaye)
AAP SAW farmaya ke Allah ne farmaya Main Raheman ho aur yeh Qurabat Dariayn jise ke
rahem kahete hai, iska lafz maine apne naam se nikala; to jo apne azeez qurabat daraon se
sila rahemi karta hai aur mael jol rakhta hai main is se judta ho aur Jo isko kaat ta hai aur
todta hai main is se katt jata ho
AAP SAW ne farmaya Allah narmi aur Khush kalqi ko pasand karta hai aur Khud bhi narm hai
aur deta hai jo narmi par jo nahi deta saqt par aur na kisi cheez par
AAP SAW ne farmaya Jis ne Allah se sawaal nahi kiya Allah us par gussa hoga. Yeh
riwayat Daeef hai kyunke ek rawi Abu Saleh Al Khuzi Layen al hadith hau
AAP SAW jab Sulah Hudaibia ke zamane mein tashreef lejarahe the ke raaste mein AAP SAW
maujuzana taur par farmaya " Khaled bin Waleed Muqame Ghamim mein quraish ke
sawaraon ke hamra maujood hai aur yeh quraish ka har awaal dasta hai (front of the army);
lehaza tum seedhe haath ki janib chalo
AAP SAW ne farmaya Afzal zikr La ilaha Illalha hai aur sab duaon mein afzal hai
Alhamdulillah (Surah Fateha)
AAP SAW ne farmaya jab Allah bande ko koi nayemat deta hai aur banda us par
Alhamdulillah kaheta hai to bande ne jo shukar ada kiya, wo milne waali nayemat se afzal
hai
Nayemat Hasil karte hi Allah ka shukar ada karna zaroori hai aur bande ke liye fayedemand
bhi
AAP SAW ne farmaya Allah ke ek bande ne kaha "Ya Rabbi! Lakal hamdu Kama
Yanbagyi lijalali wajhika wa liazimi Sultanika" (Aye Mere Rab main teri tareef karta ho jaisa
teri zaat ki jalalate shaan aur teri azeem sultanant ke layeq hai). Yeh kalam kis tarha likhe is
par wo pareshan hogaye aur jab unho ne ALlah se is baare mein pucha to Allah ne kaha jab
wo banda mujhe milega to main khud use is ka sawaab donga.
Yeh hadith daeef hai kyunke sadqa bin basheer majhool alhaal rawi hai
AAP SAW ke inteqal ke baad jab Abu Bakar Siddiq RA khalifa banaye gaye tab unke
daur mein arab ke baaz loog murtad hogaye. Jab hazrat Abu Bakar Siddiq RA ne inke khilaaf
qatal ka irada kiya to Umar RA ne arz kiya aap inke khilaaf qatal kyun karte ho kyunke maine
AAP SAW se suna ke " Mujhe logaon se qatal ka hukum us waqt tak hai jab tak wo La Ilaha
Illalha na padhe, Jab inho ne kalima tawheed padhliya to inho ne apne jaan wa mall ko mujh
se mahfooz karliya magar Islam ka haq ada karna hoga aur inka hisaab Allah ke supurd hai"
Hazrat Abu bakar Siddiq RA ne farmaya " Allah ki Qasam! Main har us shaqs se jang karunga
jo Zakaat aur namaaz mein farq karega kyunke zakaat dena maal ka haq hai. Allah ki Qasam!
Agar inho ne ek bakri ka bachcha bhi rok liya jo wo Rasool Allah SAW ko diya karte the to
iske rokne par bhi main zaroor inse jang karunga / Mujhse ek rassi roki jo wo rasool Allah
SAW ko diya karte the to main inse iske inkar par jang karunga." Hazrat Umar RA ne farmaya
Jab maine gaur kiya baat sirf yeh thi ke Allah ne inse jang ke liye Abu bakar Siddiq RA ka
seena khol diya tha. Maine pehchan liya ke haq yehi hai
AAP SAW ne farmaya jo kuch maine aur tamam ambiya ne kaha un sab se afzal La Ilaha
Illalahu wahdahu lasharika lahu" hai
Is ek hisse ke bayes maqlooq ek dusre par rahem kart hai; yaha tak ke ghodi bhi apne
bachche ko paon nahi lagne det balke wo apne paon upar uthalet hai ke kahi is se iske
bachche ko takleef na pahunche (6000)
AAP SAW ne baarish ke liye dua ki aur tab Surah fateha padhi aur Surah fateha mein Maliki
yaumiddin padha
AAP SAW ne farmaya sab se zyada zaleel aur Bura naam Allah SWT ke nazdeek is shaqs ka
hai Malik al mulk/ Malik alamlak bulaye.
Ibne Abi Shaiba ki riwayat mein itna zyada hai ke koi malik nai siwa Allah SWT ke. Sufiyan ne
kaha Malik al Mulk ke mayene hai Shahenshah
AAP SAW ne farmaya Allah SWT ko sab se zyada Ghussa qayamt ke din ya sab se zyada
napaak ALLAH SWT ke nazdeek wo shaqs hoga Jisko Badshaon ka Badshah kaha jaye. Koi
Malik nai siwaye ALlah SWT ke
AAP SAW ne farmaya Allah SWT Zameen ko apni mutti mein le lega aur asmanaon ko apne
dayein haath mein lapeet lega, phir farmayega Main hi badhshah ho. Duniya ke Badhshah
aaj kaha hai?
Is hadith se Allah SWT ke haath ka saboot milta hai; lehaza Allah ki in sifaat ke baare mein
apne zahen se koi tasawwur banalena durust nai, jitni baat batayi gayi hai is par imaan
lana aur Allah ki sifaat ko Maqhlooq se Tashbiya na dena zaroori hai
AAP SAW ne farmaya Aqalmand wo hai ke ibadat mein lagaye apne nafs ko aur amal kare
maut ke waaste aur bewaqoof wahi hai ke peecha padha rahe khawishe nafs ke aur gharoor
kare Allah ki rahemat par/ Allah se jhut Ummedien wabista kare (Yeh kahekar mutmaeen
hojaye ke Allah bahut baqashne waala hai lekin amal aise kare jis se iski rahemat ke bajaye
iske ghazab ka husool ho)
Is ki sanad mein Abu bakar bin abi maryam daeef rawi hai. Lehaza yeh hadith daeef hai
AAP SAW ne ek shaks se pucha ke tum namaaz mein kya mangte ho? Isne kaha main
Tashahhud padhta ho phir yun kaheta ho Aye Allah! Main Tujh se Jannat ka Sawaal karta ho
aur Jahannum se panha mangta ho. Is Par AAP SAW ne kaha hum bhi Allah se Jannat ka
Sawaal aur Jahannum se panha Mangte hai.
Albani ne is hadith ko saheh kaha lekin yeh riwayat Ayemash ki tadlees ki wajah se daeef hai
AAP SAW ne farmaya Quran Allah ki mazboot rassi hai
Yeh Hadith daeef hai kyunke iski sanad mein Al-Harith Al-A'war Saqt daeef rawi hai
AAP SAW ne farmaya Sirate Mustaqeem ek aisi rah hai ke iske dono ke janeeb do
dewareein hai aur in dewaraaon mein jabaja darwaze khule huwe hai aur darwazaon par
parde pade huwe hai aur ek bulane waala bularaha hai is rah ke sare par aur ek bularaha
hai iske upar Phir AAP SAW ne farmaya " Allah SWT bulata hai jannat ki taraf aur wo rah
batata hai jisko chahta hai seedha rah" . Wo darwaze Allah ki hudood hai
AAP SAW ne farmaya ghairil Magzubi Alaihim se murad Yahud hai aur walazaleen
se murad Nasara
AAP SAW ne Surah Ale Imran ki aayat 7 Tilawat ki." Wahi to hai jisne tum par yeh kitaab
naazil ki, jis mein kuch aayat mohkam hai wahi kitaab ki asal buniyad hai aur kuch dusri
mutashabihat hai milt jult. Phir jin logaon ke dilaon mein tedh hai wo fitna ki talash mein
hamesha mutashabihat hi ke peeche padhe rahete hai aur inhe mayene pahenane ki koshish
karte rahete halanke inke haqeeqi mayene Allah ke siwa aur aur koi nai jaanta; haan jo loog
ilm mein puqtakar hai wo kahete hai Humara in par imaan hai. Yeh sab humare rab ki taraf
se hai aur haqeeqat yahi hai kisi cheez se sabaq danishmand hi hasil karsakte hai.
Phir AAP SAW ne farmaya" Jab tum aise logaon ko dekho jo quran-e-kareem ki mutashabiha
aayat ka khoj lagane ki koshish karte hai to samajh lo ke yehi wo loog hai jin ka naam Allah
SWt ne Ashabe deegh rakha hai, aise logaon se ijtenab rakho.
Zaid bin umro bin nafeel shaam ki taraf gaye aur wo deen-e-haq ki talash mein the.
Wo yahudi alim se bhi mile aur nasrani aalim se bhi lekin unka deen unhe samajh nai aaya
kyunke unke deen mein daqeel hone se pahele Allah ka Ghazab bardasht karna hota hai aur
isi se bachne ke liye zaid bin umro nikle. Lekin un alimaon se unhe Deen-E-Haneef ke baare
me maloom padha jo ke Deen-E-Ibrahim hai aur Ibrahim AS na to yahudi the aur na Nasrani.
Iske baad wo kisi jungle mein gaye aur apne dono haath uthakar kaha Aye ALlah! main tujhe
gawah banata ho ke main Deen-E-Ibrahim par ho
AAP SAW Surah Fateha ke baad Ameen Buland Awaaz mein padhte the
AAP SAW jab Surah Fateha khatam karte to Ameen kahete hatta ke Saff awaal ke
loog jo aap se qareeb hote aap ki awaaz sunlete
Yeh Hadith daeef hai kyunke iski sanad mein Bashar bin rafaye daeef hai aur Ibne Am Abi
Huraira Majhool hai
Bilal RA AAP SAW ko kehte the ke Aye Allah ke rasool SAW Ameen kahene mein
mujhse jaldi na farmaiyye
AAP SAW ne farmaya Jab Imaam Ameen kahe to tum bhi Ameen kaho kyunke jiski Ameen
Fareshtaon ke Ameen ke Mawaqif hogayi, Iske guzishta Gunah Maaf kardiye jayenge.
Ibne Shahab ka kahena hai ke AAP SAW khud bhi Ameen kaha karte the
AAP SAW ne farmaya jab Imaam Sami Allahu Liman Hameda kahe to tum Allahumma
Rabbana walakal hamd kaho kyunke jiska yeh kahena farishtaon ke kahene se muwaqif
hojaye to iske guzishta gunah maaf kardiye jayenge
AAP SAW ne farmaya Yahudi tum se kisi cheez par itna hasad nai karta jitna salaam
aur Ameen par tum se hasad karte hai
AAP SAW ne farmaya Yahudi tum se kisi baat par itna hasad nai karte jitna tum se Ameen
par hasad karte hai ; Isliye Ameen kasrat se kaha karo
Yeh Hadith daeef hai kyunke iski sanad mein Talha bin Umro daeef rawi hai aur jiske daeef
par mohaddateen ka ittefaq hai
AAP SAW ne farmaya beshak Allah SWT ne mujhe 3 khususi cheezein ata farmayi hai
1.Safe banakar namaaz ada karna
2. Salaam se nawaaz aur bilashuba wo Ahle jannat ka tohfa aur salaam hoga
3. Mujhe Ameen ata kiya. Mujhse pehle kisi nabi ko yeh ata nai kiya siwaye Haroon AS ke.
Musa AS dua karte the aur Haroon AS amee kahete the
Zarbi Bin ABdullah ki wajah se yeh hadith daeef hai Aur yeh sahebe Munakiz hai
AAP SAW ne farmaya " Tum mein bahetreen shaks wo hai jo Quran Padhe aur padhaye"
AAP SAW ne farmaya " Wo Momin jo Quran Padhta aur iske mutabiq amal karta hai iski
misaal Narangi (Sangtre) ki tarha hai iska zaiqa bhi lazeez aur Khushbu bhi umda hai aur wo
momin jo quran to nai padta lekin us par amal karta hai iski misal khajoor ki tarha hai jiska
zaiqa to achcha hai magar isme khushbu nai hai; aur is munafiq ki misaal jo quran padhta hai
iski misaal rehan (Nazbo) ki tarha hai iski khushbu umda to hai lekin zaiqa kadwa hai aur is
munafiq ki misaal jo quran nai padta iski misaal Andrain (Yumme) ki tarha hai iska zaiqa
kadwa aur khabees hai aur iski bo Napasandida hai
AAP SAW ne farmaya " Jo Shaks kisi momin par se koi saqt dur kare to Allah SWT is par
aakhirat ki saqteeon mein se ek saqt dur karega; Jo Shaks kisi muflis ko mohallat dewe Allah
SWT is par aasani karega Duniya aur Aakhirat mein aur jo shaks kisi musalmaan ka ayeb
dhankega to Allah SWT iska ayeb dhankega duniya aur aakhirat mein aur Allah SWT bande ki
madad mein rahega jab tak banda apne bhai ki madad mein rahega ar jo shaks rah chale ilm
haseel karne ke liye (Yaani Ilm-e-deen khalis Allah SWT ke liye) Allah SWT iske liye jannat ka
raasta Aasan (Sahel) kadega aur Jo Loog Allah SWT ke gharaon mein kisi ghar mein jama
hokar Kitab ullah ki tlawat kare aur apas mein ise sikhe aur sikhaye to in par sakeenat nazil
hot hai; inhe rahemat dhaanp let hai , farishtey gher lete hai aur inka zikr Allah SWT in
farishtaon mein karta hai jo usku paas hai
AAP SAW ne farmaya " Yaqeenan Allah SWT is quran (par amal karne) ki wajah se kuch
qaumaon ko Bulandi ata karta hai aur is (se ayeraz karne) ki wajah se kuch qaumaon ko
zaleel wa ruswa karta hai
AAP SAW ne farmaya qabardar! Mujhe Quran ke saath is jaisi ek aur cheez bhi di gayi hai.
Ankhareeb aisa hoga ke ek pett bhara (Asuda haal) aadmi apne taqt ya dewaan par baitha
kahega ke isi Quran ko iqteyar karlo, Jo isme halal hai halal jaano aur jo isme haraam hai use
haraam jano. Khabardar! tumhare liye paltu ghade, Darinde aur kisi kafir ka gira pada maal
uthalena halal nai hai, Illa yeh ke iska malik is se beparwha ho. Aur jo koi kisi qaum ke paas
jaaye to in par wajib hai ki iski mahemani kare, agar wo iski mahemani na kare to ise haq
hasil hai ke apni mahemani ke misl inse bazariya taqat hasil karle
AAP SAW ne farmaya Hargiz aisa na hoke main tum mein se kisi ko pao ke wo apne taqat ya
dewaan par baitha ho aur iske paas mere ahkam mein se koi hukum pahunche jiska maine
hukum diya ho ya is se mana kiya ho to wo kahene lagega hum nahi jaante, hum to
kitabullah mein jo payenge isi par amal karenge
Ek Shaks AAP SAW ke paas aaya aur kahene laga Ya Rasool Allah! Main AAP SAW ko Allah ki
qasam deta ho, AAP Humara ffaisla Allah ki kitaab ke mutabiq kariye. Ek naukar ne iski biwi
ke saath zina kiya aur naukar ke baap ne iske fidiye mein 100 bakriyan aur ek gulam diya. Jab
naukar ke baap ne ahle ilm se pucha to kaha ke mere bete 100 kode padenge aur 1 saal ke
liye jila watan hoga aur iski biwi sangsar hogi. AAP SAW ne kaha is zaat ki qasam jis ke qabze
mein meri jaan hai main tumhara faisla Allah ki kitaab ke mutabiq karunga aur jo wo aadmi
ne ahle ilm se dariyaft kiya tha wahi AAP SAW ne farmaya
Is waqiya mein jo faisla AAP SAW ne farmaya wo Quran Majeed mein nai hai, lekin AAP SAW
ne faisla ko Allah ki kitaab ke mutabiq kaha, jis se maloom huwa Allah ki kitaab se murad
Hadith bhi hai
Quran mein sirf kode maarna ka hukum hai lekin jila watani ka nai hai aur yeh hadith se
maloom huwi
AAP SAW ne Ghair shaadi shuda aadmi ko Zina ki saza mein 100 kode aur ek saal tak jila
watan ki saza dijayegi
Abdullah Ibne Masood RA ne farmaya Allah SWT ne gudne waali, gudwane waali, Eyebrow
ke baal ukhadne waali, khoobsurt ke liye chahere ke baal nikalwane waali aur dantaon mein
kushadgi karne waali aurtaon par lanat ki hai jo Allah ki Khalqat ko badalt hai
Yeh baat sunkar Banu Saad ki ek aurat aakar Abdullah Ibne Masood RA se daryaft kiya ke
AAP ne aisi aisi aurtaon par lanaat ki hai; Abdullah Ibne Masood RA ne kaha Main aisi
aurtaon par lanaat kyun na karo Jin par AAP SAW ne lanaat ki hai aur Kitab Allah mein bhi is
se mana kiya gaya hai
Us aurat ne kaha maine sara Quran padha lekin mujhe to lanaat waali baat nai mili. Abdullah
Ibne Masood RA ne kaha agar tum ne quran samajh kar padha hota to tumhe yeh masla
miljata. Kya tum ne yeh aayat nai padhi " Rasool tumhe jo kuch de use lelo aur jis se mana
kare us se ruk jao" (Surah Hashr - 7)
Is Aurat ne kaha maine yeh aayat padhi; Aap RA ne kaha AAP SAW ne in tamam bataon se
mana kiya hai
Is Aurat ne kaha mere qayal ke mutabiq aap ki biwi bhi yeh kaam kart hai. Inho ne farmaya "
Jao Mere ghar jaakar dekhlo" Chunancha wo aurat ghar gai aur ghar mein dekha is tarah ki
koi mayoob cheez na milsaki. Abdullah Bin Masood RA ne farmaya " Agar meri biwi aise
kaam kart to bhala mere saath kaise rahesakt thi"
Abdullah Ibne Masood RA ne farmaya AAP SAW ne sar ke qudrat balaon ke saath Masnoyi
baal lagane waali aurat par laanat ki hai
AAP SAW ne farmaya Allah SWT ne Masnoyi baal jodne aur judnae waali, Nez Surma Bharne
waali aur bharwane waali aurtaon par lanaat ki hai
Hazrat Nafaye ne kaha kabhi surma Masoodaon mein bhi bhara jaata hai
Mughira bin Shoba RA ko nasraniyom me pucha ke tum Surah Maryam (Aayat 28) mein
hazrat maryam ko Haroon ki bahen kaha halanke Haroon AS to Musa AS ke bhai the aur
unke zamane ke the
Yeh baat maloom karne ke liye Mughira bin Shoba RA Madina aaye aur AAP SAW se dariyaft
kiya; AAP SAW ne kaha yeh woh haroon nai hai jo Musa AS ke bhai hai balke bane israel ki
aadat thi ke wo payegambaraon aur neek logaon ke naam par apna naam rakha karte the
Hazrat Abdullah Ibne Masood RA ko Quran ki har har aayat kaha utri aur wo kis se mutalliq
thi aur wo kahete the ke agar unhe qabar hojaye ke koi shaks ko unse zyada Allah ki kitaab
ke baare mein maloom hai to wo uski qidmat mein hazir hone ke liye zaroor safar karte khwa
wo kitna hi taweel safar ho
AAP SAW ne farmaya Quran 4 hazrat se hasil karo: Abdullah Ibne Masood RA, Salem
(Sayedna Khuzaifa RA ke azaad karda gulaam), Ma'az bin jabal RA and Abi Bin Kaab RA
AAP SAW ne Ibne Abbas RA ko apne seene se lagate huwe dua di ke " Aye Allah! Ise apni
kitaab ka ilm ata farma, Aye Allah! Ise hikmat Sikhade/ Phir ek baar jab Ibne Abbas RA ne
AAP SAW ke liye wazu ka paani rakha to AAP SAW ne dua di Aye Allah! Ise deen ki samajh
ata farma
AAP SAW ne farmaya Aakhir zamane mein Dajjal (Jhoot ko sach banane waale) aur kazab
(Jhoot bolne waale) paida honge. Wo aisi hadithen tum ko sunayenge jo na tumhare baap
dada ne suni hogi; aise loog se bach ke rahena. Aisa na ho ke wo tum ko gumrah karte aur
aafat mein na daal de
AAP SAW ne farmaya " Jo shaks meri taraf wo baat mansub karenga jo maine nahi kahi; wo
apna thikana jhannum meun dekehga"
AAP SAW ne farmaya mere naam (Muhammed aur Ahmed) par naam rakho magar meri
kuniyat (Abul Qasim) par kuniyat na rakho. Aur yaqeen karo jisne mujhe khwab mein dekha
isne yaqeenan mujhe hi khwab mein dekha kyunke shayetan meri surat mein nai aasakta.
Aur jo dansta mujh par jhoot bandhe wo apna thikana jahnnum mein banale"
AAP SAW ne farmaya Mera paigam logaon tak pahunchao agarcha wo ek aayat par
musthamel ho aur Bane Israel so jo waqeyat suno ine bhi bayan karo, isme koi harj nai. Jo
Shaks mujh par jaan bojh kar jhoot bandhe to wo apna thikana jahnnum mein banale
AAP SAW ne farmaya " Allah SWT tumhein ilm dekar phir yun hi nahi cheen lega balke ilm is
tarha uthayega ke ulema hazrat faut hojayenge. Inke saath hi ilm uthjayega, phir jahel loog
rahe jayenge. In se fatwa liya jayega aur wo mahez apni raye se fatwa dekar dusraon ko bhi
gumrah karenge khud bhi gumrah honge
AAP SAW ne farmaya "Aadmi ke jhota hone ke liye yahi kaafi hai ke jo kuch sune usee bayan
karde"
Ibne Sireen RhA bayan karte hai pehle zamane jab koi hadith bayan karta to us se sanad nai
puchi jaat thi lekin jab fitna phaila to logaon ne kaha apni apni sanad bayan karo phir dekha
jayega ke riwayat karne wale Ahle Sunnat hai to inki riwayat qubool ki jayegi aur jo bidat hai
inki riwayat qubool nai ki jayegi
AAP SAW ne farmaya " Tum pehle logaon ke tareqaon ki pairwi aise karoge jaisae balisht
balisht ke barabar hai aur haath haath ke barabar hai yaha tak ke agar wo sande ke bil mein
daaqil huwe honge to tum isme bhi inki itteba karoge. Sahaba ne pucha " Allah ke Rasool
SAW! Pichle logan se Yahudi aur nasara murad hai" AAP SAW ne farmaya " Aur kaun murad
hosakte hai"
AAP SAW masjid mein daqeel hote waqt yeh dua padhte "Auzubillahilazeem wabi
wajhihilkareem wa sultanihilqadeem minash shayetan nir rajeem" (Main Azmat waale Allah
aur iske kareem chahere ki aur iski qadeem saltanant ki panha chahta hoon mardood
shayetan se". AAP SAW ne farmaya jo aisa kahe to shayetan kahete hai ke tu mujhe se aaj
pura din mahefooz rahega
AAP SAW ne farmaya " Tum mein se koi shaks jab masjid mein daqil ho to AAP SAW par
durood bheje aur phir yeh dua padhe " Allahuma aftah li abwaba rahmatk" (Aye Allah mere
liye apni rahemat ke darwaze khol de" aur jab baher nikle to AAP SAW par durood bheje aur
kahe " Allahuma A'asimini minash shayetan nir rajeem" (Aye ALlah mujhe mardood shayetan
se mahfooz rakh)
AAP SAW ne farmaya " Jo namaaz mein waswase daalte hai wo shayetan hai jise Khinzab
kaha jaata hai. Jab tum ise hayel hone ko mahsoos karo to yeh dua padho " Auzubillahi
minash shayetan nir rajeem" aur 3 baar apni bayein janeb thuko.
Usman bin abul as kahete hai jab maine aisa kiya to Allah ne is shayetan ko mujhe se dur
kardiya
NABI SAW in kalimat ke zariye Hazrat Hasan aur Hussain RA ko dum karte aur farmate
tumhare dada Ibrahim AS bhi inhi kalimat se hazarat Ismail AS aur Hazrat ishaq AS ko dum
karte the " Auzubi kalimatllahi tammat, Min Kulla Shayetaneu wa hamma, wa min kulla
Ayenel lamma" ( Main Allah ke tamam kalimat ke saath har shayetan se aur is maqloq se jo
badi ka irada kare aur har nazar lagane waali aankh se panha maangta ho)
AAP SAW ne farmaya " Achcha Khwab Allah SWT ki taraf se hota hai aur Bura Khwab
shayetan ki taraf se; Agar tum mein se koi shaks bura khwab dekh kar us se darjaye to wo
apni bayein jaaned thuke aur Allah SWT se iske shar se panha maange to wo us se nuqsan
nai pahunchayega"
AAP SAW ne farmaya Jab tum mein se koi aisa khwab dekhe jise wo pasand karta ho to wo
Allah ki taraf se hota hai lehaza wo is waqt Allah ki hamd wa sana kare aur ise kisi se bayan
kare. Aur iske baraks koi aisa khwab dekhe jise wo napasandida karta ho to yeh shayetan ki
taraf se hota hai lehaza wo iske shar se Allah se panha maange aur kisi se is khwab ka zikr na
kare; isi tarha yeh khwab ise koi nuqsan nai pahunchayega
AAP SAW ne farmaya " Tum mein kisi ek ke paas shayetan aata hai ke falan aur falan ko kisne
padia kiya hai? Falan cheez kisne paida ki hai? Hatta ke yeh kaheta hai ke tere rab ko kis ne
paida kiya?Lehaza jab aisi sonch aaye to banha Allah ki panha talab kare (Auzbillahi Minash
shayetan Nir Rajeem Padhkar) aur ayenda aisi sonch se baaz rahe
AAP SAW yeh dua padhte the "Allahumma inni a'udhu bika minat-taraddi, wal-hadmi, wal-
gharaqi, wal-hariqi, wa a'udhu bika, an yatakhabbatanish-shaitanu 'indal-mawt, wa a'udhu
bika an amuta fi sabilika mudbiran, wa a'udhu bika an amuta ladigha"
AAP SAW ne farmaya " Koi Shaks bhi Allah SWT se zyada ghairatmand nai hai; isi liye isne
khuli aur poshida behayaiaon ko haram qara diya hai. Aur Allah SWT ko apni tareef se zyada
koi aur cheez pasand nai yehi wajah hai keAllah ne apni tareef khud ki hai"
AAP SAW ne farmaya Paaki aadha imaan hai; Alhamdulillah bhardeta hai mezaan ko ;
Subhanallah aur alhamdulillah dono bahr dete hai zameen aur asmaan ke darmiyan jo bhi
hai; Namaaz Noor hai; sadqa daleel hai; sabr roshni hai; Quran daleel hai dusraon par ya
dusre ki daleel hai tujh par. Har aadmi subah uthta hai ya phir apne aap ko aazad karta hai
neek kaam karke khuda ke azaab se bachta hai ya phir bure kaam karke apne aap par zulm
karta hai
Ek shaks aaya aur namaaz ki saff mein milgaya aur uski saans phool rahi thi to isne kaha "
Alhamdulillah hamdan kaseeran tayyaban mubarakn fehi" (Sab Tareefein Allah ke liye hi hai
bahut tareef paak aur barkat waali). Jab AAP SAW namaz padh chuke to pucha ke yeh
kalimat kisne padhe? Us shaks ne kaha Allah ke Rasool SAW maine jab meri sanns chad rahi
to yeh kalimat padhe. AAP SAW ne farmaya maine 12 farishtaon ko dekha ke wo jaldi kar
rahe the ke kaun in kalimaat ko upar lekar jaaye
AAP SAW ke peeche ek shaks ne namaaz yeh kalimaat padhe" AllahuAkbar Kabeeran
walhamdulillah kaseeran wasubhanallahi bukrataon wa asila" (Allah sab se bada hai bahut
bada, saare tareef Allah ke liye hai, Bahut zyadaa aur subah wa shaam Allah ke liye tasbeeh
hai) AAP SAW ne farmaya yeh kalimaat kahene waala kaun hai? Logaon mein se ek shaks ne
kaha Aye Allah ke Rasool SAW yeh kalimaat kahene waala main ho. AAP SAW ne farmaya "
Mujhe bada tajub huwa ke in kalimaat ke liye asmaan ke darwaze khol diye gaye"
Rabiya bin kaab RA bayan karte hai main AAP SAW ke darwaze ke qareeb soya karta tha
kyunke main aap ke wazu ke liye paani mohya kiya karta tha; Main sunta tha ke raat ko
bahut der tak AAP SAW " Samiallahu liman hameeda" aur "Alhamdulillah Rabbil Alameen"
padhte rahete the
AAP SAW ek dafa suraj grahan ki namaaz padha rahe the aur namaz padhane ke AAP SAW
ne khutba diya aur uski shuruwat Alhamdulillah ke baad Amma Ba'ad kahekar ki. AAP SAW
ne bataya ke AAP SAW ko aaj wo har wo cheez dikhadigi gayi jo is se pehle nai dikhayi gayi
thi. AAP SAW ko jannat aur dozaq dono dikhayi gayi aur meri taraf yeh wahi ki gayi ke
tumhara maseeh dajjal ke fitne ki tarha ya iske qareeb qareeb qabar mein imtehaan liya
jayega; chunancha tum mein se har ek ke paas farishta aayega aur puchega is shaksiyat ke
mutalliq tum kya jaante ho? Jo Shaks Imaan waala aur yaqeen rahega wo kahega yeh ALlah
ke Rasool SAW hai jo humare paas hidayat ki baatein aur khuli daleel lekar aaye the. Hume
ne inki dawaat ko qubool kiya aur inki pairwi aur tasdeeq ki. {hir is shaks se kaha jayega tu
itmenaan se soja hum bas itna maloom karna chahre the ke tu imaan waala hai ya nai. aur
jo shaks Munafiq ya shak mein rahene waala hoga is se kaha jayega ke tu is shaks ke mutalliq
kya jaanta hai? To wo kahega ke main kuch nai jaanta Logaon se ek baat sunta tha to main
bhi waise hi kahedeta tha
AAP SAW jab bistar par sone jaate to yeh dua padhte "Allahumma Bi Ismika Amautu Wa
ahiya" (Teri hi naam ke saath main sota aur jaagta ho) aur jab neend se bidaar hote to yeh
dua padhte " Alhamdullahil lazi ahiyana ba'da ma amatana wa ilaihinn nushur" (Sab Tareef
Allah ke liye hai Jisne humein marne ke baad zinda kiya aur isi ki taraf baroze qayamat uthkar
jaana hai)
AAP SAW jab bistar par aate to yeh dua padhte "Al-Hamdulillâhilladhi at'amnâ wa
saqânâ wa kafânâ wa âwânâ, fakam mimman lâ kâfiya lahu wa lâmu'wiya" (Sab Tareefein
Allah ke liye hai jisne humein Khilaya, Pilaya, humare liye kaafi huwa aur humein thikana
diya , kitne aadmi aise hia jinki na koi kifayat karne waala hai aur na inka koi thikana dene
waala hai)
AAP SAW ke saamne jab dastarqaan uthaya jaata to AAP SAW yeh dua padhte "A1-hamdu
lillahi kathiran taiyiban mubarakan fihi, gaira maky wa Ia muwada' wa Ia mustagjna 'anhu
Rabbana" (Sab tareefein Allah ke liye hai aisi tareefein jo kasrat se ho, paak ho, Babarkat ho,
na kafi samjhi gayi, na chodi gayi aur aye humare rab koi bhi is se beparwah nai hai)
AAP SAW jab farregh hote ya apna datarkhan uthate to yeh dua padhte " Alhamdulillahil lazi
Kafana wa arwana ghaira makafii wala makfur" (Tamam Tareefein Allah ke liye hai jisne
humein kaafi khilaya aur sairaab kiya. Na ye khaana kifayat kiya gaya ke mazeed ki zaroorat
na rahe aur na hum is nayemat ke munkar hai). Yeh bhi dua padhte " Lakal hamdu Rabbana
haira makafii wala muwaddain wala mustaghna rabbana" (Aye humare rab tere liye hi
tamam tareefein hai. Na ye khaana kifayat kiya gaya ke mazeed ki zaroorat na rahe aur na ise
wida kiya gaya hai. aur aye humare rab na humein is se beniyazi ho)
AAP SAW khaane ke baad yeh dua padhte the " Alhamdulillahil lazi at'amana wasaqana
waja'lna muslimeen" (Sab Tareefein Allah ke liye hai jisne humein khilaya pilaya aur
Musalmaan banaya)
Yeh hadith daeef hai kyunke isme isme rawi ismail bin riyah majhool hai
AAP SAW jab kuch khaate ya peete to yeh dua karte " Alhamdulillahil lazi At'ama wa saqa wa
sawwagahuu wa ja'ala lahuu mukhraja" (Hamd Allah ki jisne khilaya, pilaya, ise khush gawar
banaya aur iske baher niklane ka nizaam bhi banadiya"
AAP SAW ne kaha jab tum mein se koi cheenke to wo Alhamdulillah kahe. Uska bhai
ya saathi Yar-hamuka-l-lah. Jab iska saathi Yar-hamuka-l-lah kahe to cheenkne waala jawaab
mein " Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum"
AAP SAW ne farmaya Allah SWT farmaat hai jo shaks bhalai paye ise Allah ki hamd
bayan karni chahiye aur jo uske alawa koi aur cheez paaye wo apne nafs ke alawa kisi ko
malamat na kare.
Allah SWT farmatae hai aye mere banadaon! Maine zulm ko apne upar haram kiya aur tum
par bhi haram kiya hai to tum mat zulm karo apas mein ek dusre ke saath
Aye mere bandaon! Tum sab gumrah ho magar jisko main rah batlaon to tum mujh se rah
mangoo main tum ko rah batlaonga
Aye mere bandaon! Tum sab bhuke ho magar jisko main khilaon to tum mujh se khana
mangoo main tum ko khilaonga
Aye mere bandaon! Tum sab nange ho magar jisko main pahenaon to tum mujh se kapda
mangoo main tum ko pahenaonga
Aye mere bandaon! tum din raat gunah karte ho aur main tumhare gunah bakashta ho to
bakshish chaho mujhe main bakshonga
Aye mere banadaon tum na mere nuqsaan karsakte ho aur na hi mujhe fayeda pahoncha
sakte ho aur tumhare agle aur pichle aur aadmi aur jinnat sab aise hojaye ke duniya jaise ke
tum mein se sab se parhezgar shaks to meri salatanat mein kuch afzaish na hogi aur
tumhare agle aur pichle aur aadmi aur jinnat sab aise hojaye ke duniya jaise ke tum mein se
sab se badkaar shaks to meri salatanat mein kuch kami na hogi
Aye mere banadaon tumhare agle aur pichle aur aadmi aur jinnat sab ek maidan mein
khaade hokar mujh se mangna shuru kare aur main sab ko wo jo mange dedo tab bhi mere
paas jo kuch hai wo kamm na hoga magar itna jaise koi dariya mein suniy dubokar nikal lo to
dariya ka jitna paani kamm hota hai itna bhi mere khazana kamm nai hoga
NABI SAW jab kisi afaq se badal aata dekhte to jis kaam mein bhi mashgul hote khaw
naamaz hi mein kyun na hote ise chod kar badal ki taraf mutawajje hote aur farmate "
Allahumma Inna Nauzubika Minn Sharri ma Ursila Bihii"( Ya Allah hum is cheez ke shar se
teri panha mein aate hai jo kuch dekar yeh badal bheja gaya hai). Agar Baarish shuru hojat
to 2 ya 3 teen baar yeh dua padhte " Allahumma Sayyaban Nafiya" (Ya Allah is baarish ko
fayedemand bana). Agar baarish na hot aur Allah SWT badal ko hatadete to aap ALLAH SWT
ka shukr ada karte
AAP SAW ne farmaya Jab Allah SWT ne maqhlooqat ko paida kiya to tab ek kitaab mein, jo
apne arsh par hai, yeh likh diya beshak meri rahemat mere gazab par ghalib rahegi
AAP SAW ne farmaya Allah SWT farmata hai ke main apne bande ke gumaan ke saath ho aur
jab wo mujhe apne dil mein yaad karta hai to main bhi use apne dil mein yaad karta hoon
aur jab wo mujhe majlis mein yaad karta hai to use is se bahetar fareshtaon ki majlis mein
yaad karta hoon aur agar wo mujhse ek baalish qareeb aata hai to main us se ek haath
qareeb aata hoon aur agar wo mujhse ek haath qareeb aata hai to main us se do haath
qareeb aata hoon aur agar wo meri taraf chal kar aata hai to main uski taraf daud kar aata
hoon
AAP SAW ke paas kuch qayedi laaye gaye in qayediaon mein se ek aurat kisi ko talaash kar
rahi thi, jab isne in qayediyon mein ek bachche ko paaya to use uthaliya; chaat se lagaya aur
doodh pilana shuru kardiya; to AAP SAW ne sahaba farmaya "kya tum samajhte ho ke ye
aurat apne bachche ko aag mein daal degi? hum ne kaha nai! Allah ki qasam wo aag mein
nai daal sakt, to AAP SAW ne farmaya " Jitni maherban yeh aurat apne bachche par hai is se
zyada maherbaan Allah apne bande par hai"
AAP SAW ne farmaya Aye Muhammed SAW ki bet Fatma RA Mere maal mein se tu
jo chahe mujh se maang le , magar main roze qayamat ALLAH SWT ke huzur tujhe koi fayeda
nai pahunchasakta
Rawi Chapter
Jaber bin Abdullah RA Kitabul Juma
Ibne Umar RA
Umar RA
Abu Huraiara RA
Kitabul Sharoot
Kitabul Da'wat
Kitabul Tawheed
Abu Huraiara RA Abwabul Da'wat (Tirmazi)
Abu Huraiara RA
Kitabul Wakala
59. Kitabul Khalq
Abu Huraiara RA 66. Kitabul Fazaile Quran
Abi Ibne Kaab RA Fazaile Quran
Abu Saeed RA
Abu Huraiara RA
Abu Qatada RA
Abu Huraira RA
Abu Zar RA
Abu Zar RA
Nayeem Mujmar
Ibne Abbas RA
Hazrat Ayesha RA
Hazrat Anas RA
Ali RA
Abu Huraira RA
Saeed bin Zaid RA (398)
Anas Bin Malik RA
Hazrat Ayesha RA
Salma RA
Ayesha RA
Jabar RA
Abu Huraira RA
Ali RA
Jaber RA
Ibne Abbas RA
Ayesha RA
Abu Huraira RA
Al-Miswar bin
Makhrama RA and Marwan
Abu Huraira RA
Abu Huraira RA
Ayesha RA
Abu Huraira RA
Abu Huraira RA
Abu Huraira RA
Hazrat Ali RA
Nawas bin Saman RA
Ayesha RA
Abu Huraira RA
Bilal RA
Abu Huraira RA
Abu Huraira RA
Ayesha RA
Abdullah bin Abbas RA
Abu Huraira RA
Masrooq
Masrooq
Ibne Abbas RA
Abu Huraira RA
Abu Huraira RA
Ibne Abbas RA
Abu Qatada RA
Abu Huraira RA
Huzaifa RA
Abu Amama RA
Abu Huraira RA
Abu Zarr RA
Ayesha RA
Abu Huraira RA
Abu Huraira RA
Umar RA
Abu Huraira RA
Chapter in Urdu Baab
Juma ke Masail Namaaz aur Qutba Muqtasir dene ka bayan
Sharait se Mutalliq Ahkam wa masail 18. Iqrar mein kisi Qism ki shart aur Istesna Durust hai?
Dua ke ahkam wa masail 68. Allah ke ek kam eksao naam hai
Tawheed se Mutalliq Ahkaam wa masail 12. Allah ke ek kam eksao naam hai
Dua ke Ahkam 82. Bilashuba Allah ke 99 Names hai (Tirmazi)
10 - Irshad e bari taala " Allah aur uske farishte Nabi SAW par
65. Tafseer ka bayan - Surah Ahzab ki tafseer durood bhejte hai"
Namaaz ke masail Tashahhud ke baad AAP SAW par durood bhejne ke ahkaam
Duaon ke bayan 2 - Dua Ibadat ka magz hai
11. Amaal e haj aur uske ahkma wa masail 51- Asna-e-tawaf mein dua ka bayan
Zakat ke masail Paak kamai se Sadqa ka qubool hona aur Iska Parwarish pana
3 - Irshad Allah ke " Hum ne aap ko saath baar baar padhi jaane
65. Tafseer ka bayan - Surah Hijr ki tafseer waali aayat de hai aur Quran bhi diya hai" ki tafseer
44. Quran ki tafseer ke bayan mein 10 - Tafseer Surah hijr
8. Witr ke ahkam wa masail 15 - Surah fateha ki fazilat
1 - Surah Fateha ki fazilat
42. Fazaile Quran ke bayan mein 26 - Irshad Allah ke " Hum ne aap ko saath baar baar padhi jaane
11. Namaaz ke ibtedayi ahkam wa masail waali aayat de hai aur Quran bhi diya hai" ki tafseer
Fazaile Quran ka bayan Surah Fateha aur Surah baqra ki aakhri 2 aayataon ki fazilat
Namaaz ke ahkam wa masail Har Rakaat mein surah fateha padhna wajib hai
Namaaz ke ahkam wa masail Har Rakaat mein surah fateha padhna wajib hai
5. Namaaz mein Qiraat se mutalliq Ahkaam wa11 - Imaam ke peeche Surah Fateha padhna
5. Namaaz mein Qiraat se mutalliq Ahkaam wa13- jab Imaam Qiraat kare to Khamosh raho
5. Namaaz mein Qiraat se mutalliq Ahkaam 13 - Jab Imaam Qirat kare to khamosh raho
wa masail
30 - Allah ka farmaan ke jab quran padha jaye to ise ghaur se suno
11. Namaaz ke ibtedayi ahkam wa masail aur khamosh raho taake rahme kya haye" ki tafseer
Namaaz Shuru karne ke ahkam wa masail 122 - Bismillah Jaheri Padhne walaon ke dalail
3. Witr ke bayan mein 67 - Buland Awaaz se padhne ke bayan mein
66. Fazaile Quran ka Bayan 29 - Quran Majeed ko kheench Kheench kar padhna
21- Tum mein bahetreen wo hai jo Quran Seekhe aur Dusraon
66. Fazailr Quran ka Bayan ko iski taleem de
Quran ki Fazilat Quran par amal karne waale aur isku sikhane waale ki fazilat
2215928075
2215929637
646932279 2215929638
2215930696
2215928028
2215928029
2215929636
2215929592
2215929593
2215929639
2215928069
2215928072
2215929952
2215930207
2215927508
AR10 303 A A
AR10 382