Location via proxy:   [ UP ]  
[Report a bug]   [Manage cookies]                

Letters

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 8

Nimra,

Agar university ke pehle din mujhe koi batata ke hum agle 4 saal sath guzarne wale hain
tou mujhe kabhi yaqeen na ata especially tera pehle din wala attitude dekh ke khair
mujhe yaad hai humari pehli deep conversation qayamat aur pardey ke bare mei hui thi
library mei aur hum dono aik dosre ki har baat pe “haan haan ap bilkul theek keh rahi
hain” bol ke agree kerte the mujhe uss din thori tasalee hui thi ke humari soch kitni milti
hai. Uss se pehle mujhe hamesha tere pe shaq raha tha jabse tune mujhe bataya tha
tujhe Kim Woo-Bin pasand hai kyunke tujhe villans ache lagte hain, mujhe tab yehi laga
tha ye larki bilkul theek nahi hai. Lekin Allah ne bhi kuch soch ke hi hum sab ko apas mei
milaya hai, tu na hoti humare sath hum kya kerte pura din, din ka adha shugal lagta hi
tere kartooton se hai. Na hi teri jaga koi aur le sakta hai, tu aik hum sab pe bhari hai, tere
dimagh ka hum chaaron mil ke bhi koi muqabla nahi ker sakte Mash’Allah humara
special child. Lekin mazak ke ilawa in chaar saloon mei tune mujhe bohot kuch sikhaya
hai, jese ke….thora sochne de ruk…haan ye ke mushkil waqt mei chill kese rehna hai,
lekin ab agar yaad karoon tou tune sabse pehle rona shuru kiya tha jab hum Afghanistan
jaa rahe the tou cancel hai tu tune kuch nahi sikhaya mujhe. Mazak ker rahi hoon yar tu
na hoti tou ajj mujhe na babr sher ka pata hota na phernayl ka aur na hi ye ke siraiki mei
mard ko jhariyan kehte hain.

Humne har trah ke din sath dekhe hain bure bhi, bohot bure bhi aur beech mei kuch
ache bhi lekin bas wo din dekhne ki hasrat reh gyi hai ke tujhe apne bachpan ka khuwab
poora kerte dekhain coco ke sath lekin tune apni khushi bhabhi ke liye qurban ki hai tou
tujhe uss coco kutte se behtar hi milega In Shaa Allah. All things aside I hope you get to
meet someone who lives up to your expectations, jo tere sare shadi wale khuwab pure
kare tujhe toilet paper ki kami na hone de aur tujhe khush rakhe because you deserve it
and more. Lekin filhal asmaan se neeche utar aa aur Masters ke liye apply kerke kuch
ban takay apne pairon pe khari hoke independent woman ho jabtak teri shadi ki umar
aa jaye.
Ab mei predict kerna chahti hoon ke mujhe kya lagta hai tu graduation ke baad kya
karegi. Mujhe yaqeen hai tune yahin kahin admission le lena hai kisi university mei
admissions khulte hi aur tu MS kare gi ya Nutrition mei ya Biochemistry mei. Wahan tujhe
aunties milain gi jinke sath tujhe guzara kerna parega kyunke tujhe humare jese ache
dost nahi mil sakain ge jinke sath tu roz roz ppt kha sake aur night stays ker sake. Lekin
aik silver lining ye hogi ke wahan tujhe koi bohot acha bohot pyara Pathan Gulab Khan
pasand kerke bol dega ke wo tujh se shadi kerna chahta hai aur tu maan jayegi. Phir
hogi teri graduation, tujhe ussi university mei professor ki job bhi mil jayegi aur phir hogi
teri shadi 2025 mei aur teri bhi teri trah ki 2 betiyan hongi Gul Bano aur jinko tu torture
ker sake gi. Phir tu burhi hoke mar jayegi aur phir hum Jannat mei milain ge jahan hum
neighbours honge aur bas aik dusre ke ghar pare rahain ge. Jese hum hain hum wahan
bhi people watching kerne beth jaya karain ge logon ko stalk karain ge kiska kya bana
phir.

Bas akhiri tere liye yehi kahoon gi ke jesi ho wesi raho kabhi zindagi mei mushkil waqt
aya bhi tou hum tumhare sath hain panoti pro max tune kabhi akele nahi feel kerna. Hum
sab ki kismatain uss waqt se hi jurh chuki hain jab humne pehle din university mei sath
qadam rakhe the ab there’s no going back. Abhi bhi aur agay bhi hamesha aese hi khush
rehna.

P.S., One of the things I’ll miss most after graduating is tere ghar ki sobat café mei beth
ke khana aur lab mei ultay phultay lait ke batain kerna when we should have been
working.
Shermeen,

I don’t even know where to start, teri pehli memory hi mere pass uss din ki ati hai jis din
tu mere agay bethi thi aur peeche mur ke tune mere se pucha tha “Apka naam kya hai?”
aur uske baad we bonded over the fact ke humare namon ke matlab bohot cringey hain.
Mujhe ye bhi nahi yaad aa raha when we got close lekin aik din wo yaad ata hai jab
humara pehla group ban raha tha lab ke liye and you picked the members and the rest
is history, ab yaad kerke it feels like an eternity ago.

Tu humare sath humari ammi na hoti tou humara kya hota honestly. I can’t imagine a
world jahan tu aik achi decision leke Biosciences na kerti aur hum na milte, mei aur
Wajiha tou chalo kuch na kuch ker lete lekin Nimra Sammar ka nouwan pakka tha maan
lo. Humare hybrid ke quizzes, corona mei tere business aur management ke lessons,
Bioinformatics ke final ke liye teams ki calls, mene sirf wohi parha tha jo tune parhaya
tha ussi teams ki recording ne mujhe pass kerwaya hai aur phir ati hai epidemiology, sirf
tujhe sir ki samajh ati thi mazak ke ilawa tu na hoti mei sir ka paper attempt bhi na ker
sakti tou mei apni degree tujhe dedicate kerna chahti hoon tu na hoti tou mere ander
bilkul koi determination na hoti parhne ki tujhe aur Wajiha ko dekh ke hi mujhe tension
hoti thi parhai ki warna mei bethi rehti. All things aside you’re like the comfort person of
the group. Tu nahi hoti tou hum dumbasses bethe rehte hain. Mujhe wo din yaad ata
hai jab hum Insiya Warda logon ke sath Centauraus gaye the aur hume tere begair in
drive karani parh gyi thi. Rola parh gya tha hum gum hote the phir hume ehsaas ho raha
tha ke tu hoti hai tou hume pata bhi nahi chalta in sab cheezon ka.

Tune jitna hum sab ke liye kiya hai utna kisi ne nahi kiya issi liye jab kabhi tu gussa kerke
ziada daant bhi de tou hum dil pe nahi lete, hume pata hai teri umar ayi hui hai tou tu
feel na kiya ker, mei bhi peeche peeche hoon tere.

Tere future predictions itne okhe hain sochna kyunke even though you’re capable of
doing whatever you put your mind to tu utni hi indecisive hai. Lekin khair I think tera gap
year bohot acha guzre ga, you’ll have saved up at least half of what your goal is aur
tujhay scholarship offer ho jayegi from one of your top three choices lekin tu end pe
decide kare gi ke tujhe nahi jana kyunke tune gap year mei koi business shuru ker liya
hoga jisko tu continue kerna chahti hogi. Mujhe lagta hai tujhe koi kisi random shadi pe
pasand ker le ga jidhar tu apni purple saari mei heroine Banke gyi hogi. He’ll ask you
out aur tum log milne ke 2 saal baad shadi karo ge. You’ll run a joint business together
aur tere 5 bache honge jinke samne tu apne shohar ke sath chipka kare gi aur wo ewww
kiya karain ge.

Jokes aside I hope and believe you’ll get to build the empire you dream of. Mujhe
yaqeen hai if anyone can do it it’s undoubtedly you. Apne apko kabhi doubt na kerna
you’ll make it In Shaa Allah.

P.S., One of the things I’ll miss most will be tere sath milke inko wo sab batain explain
kerna jo inhe shaid 6-7 saal pehle pata chal jani chahiye thi.
Sammar,

Nalaik ab ye na sochi teri tareefain karoon gi mei. Baki sab mei kuch na kuch tou tha
tareef ke kabil tune kiya kya hai chaar saal hain? Rone ke ilawa of course. Khair kya yaad
rakhe gi ab.

Koi soch sakta tha ke hum sath hon ge, kahan thi tu mianwali aur kahan the hum pindi
islamabad, lekin kali kismat ne tujhe yahan pohanchana hi tha aur tu bhi class ke har
group se hoke akhir kaar humare pass ayi jiske baad aik aik kerke humari kismat ke
darwazay band hona shuru hue, logon ne humse baat kerna chor di, humari pictures
achi ana band ho gyi, chalte phirte log hume daantne lag gaye, humare paison mei
barkat khatam ho gyi, shaid issi waja se humare ilawa tujhe kisi ne own nahi kiya.

Lekin mazak ke ilawa tu na hoti tou humara kya banta wese. Asal tea tou tu hume laa ke
deti thi apne hostel ke connections se. Bakri se le ker Mano tak ki tune sari history nikalwa
li bari teez nikli hai tu wese makaar aurat. Aik tu hi hai jis se mujhe koi umeed hai ke hum
chaar na bhi hote tou phir bhi achi university life guzaar leti. Meri universe tum logon se
shuru hoti hai aur tum logon pe khatam. Aur ab university ke sath sath ye universe bhi
khatam ho rahi hai. Khair rone dhone wali batain ki mene kutt dena hai tujhe ajj ke din
mei rou ke apna makeup nahi kharab kerna chahti zaleel.

Mujhe sab night stays mei se sabse yaadgar tere hostel ka pehla stay rahega, wo Punjab
tak taxi ka safar, wo Hostel city tak ki walk aur tere hath ki wo chaye jo tere se dobara
kabhi nahi bani nalaik aur uss dentist larki ke sath adhi raat ki gapain- kya baat thi uss
time ki bhi wese. Lekin hostel ka akhiri stay bhi mujhe bohot yadgaar rahega. Literally
ghar wali feeling ayi thi mujhe, tere se hostel hostel itna sunte hain ab mujhe feel hi nahi
hota mei kisi se pehli baar mil rahi hoti hoon. Kitni jaldi guzar gya wo time bhi.

Khair tera future mei bohot clear imagine ker sakti hoon chutiyon ke baad tune
majbooran abba ke kehne pe MS genetics mei admission lena hai, rou dhou ke degree
khatam kerni hai aur phir ghar beth jana hai. Tab tak mujhe lagta hai tere ghar wale bhi
tere se tang aa ke teri shadi ke bare mei kuch na kuch tou soch hi lein ge. Mei tujhe
imagine bhi nahi ker sakti sharmati hui Dulhan bt ke sath stage pe bethi hui kill me. Khair
mei tere liye bohot dua karoon gi bt ko aqal aa jaye tune bhi bohot wazeefay parhne
hain Mehboob apke qadmon mei hoga In Shaa Allah phir hum tere se taramari milne
aya karain ge mamu Agent ke sath.

Baki sab side pe tune wapis jaa ke ghaib nahi ho jana mujhe tera bohot dar hai. Aesa
kiya tou mene tujhe pehle block ker dena hai kya pata meri kismat hi khul jaye iss
bahane. Hamesha khush rehna aur ati jati rehna phupho ke bahane se hi sahi 4 saal tou
kabhi mun nahi lagaya ab hi shuru ker de at least begairat takay wapis ane ke kabil tou
ho at least.

P.S., I will miss uni ana aur subha subha ate hi café mei chaye ke sath tere hostel ke
dramay sunna aur tere ghar se ane ke baad khandaan aur hareem ki stories sunna.
Wajiha,

Sabse unexpectedly tu ayi hai meri zindagi mei. Tujhe pehli baar dekh ke mujhe thori si
bhi feeling nahi ayi thi ke hum dost ban sakain ge, ache dost tou bohot door ki baat hai.
Mujhe lagta tha tu bari teez taraz makkar aurat nikle gi jinse sab kehte hain bach ke rehna
snek type lekin jis din mene tere mun se pehli thandi chuss suni thi uss din mujhe finally
samajh aa gyi thi hum dost kyun hain aur tere se ziada masoom hum sab mei se koi nahi
hai. Mujhe teri sabsi pehli memory wo wali yaad ati hai jab hum poori class milke truth
and dare khel rahe the aur tune Zulfie ko confess kerek uske bachpan ke sare armaan
poore ker diye the. Issi liye wo ajj tak salam bhi sirf tujhe hi kerta hai.

Asal drama tou tu hai group ka pata nahi hum tujhe bardasht kese kerte the shuru mei
theeti ultra pro max, kon ullu ka patha pehle semester mei 4ka le sakta hai except Wajiha
the Great. Corona mei bhi teachers ko aur kisi na naam aye na aye Wojia Khalil ka zaroor
pata hota tha humari. My favourite memory is jab library mei bethe Nimra aur meri Ethics
ki assignment poori ho nahi rahi thi aur Wajiha madam apne sath sath humare points
bhi add kerke bethi thi class mei sir ko fer fer batati thi humare liye kuch nahi chora Allah
puche.

4 saal tere sath classes mei beth beth ke mene bohot kuch seekha hai mainly bardasht
aur sabr. Lekin Alhamdullilah ab tu wesi torture aurat nahi hai jesi pehle hoti thi mujhe
jab programming ki lab yaad ati hai tu jitna stress leke mujhe bhi anxiety deti thi ab utni
hi chill hoti hai, progress.

Mujhe tere se bohot umeedain hain agay ke liye tu mujhe Italy se videocalls kerti na mili
tou mun na dikhayin apna. Tere future mei mujhe door door tak shadi nahi nazar aa rahi
tou behtar yehi hai tu apne uper focus ker aur independent woman ban mujhe poora
yaqeen hai ke tu ker bhi sakti hai. End mei shadi tou Abaid se hi honi hai apki sath at
least 3-4 bache tou mei expect kerti hoon. Lekin mujhe lagta hai tera shohar tujhe kahe
ga ghar betho mei kafi hoon kamane ke liye, tune ayashi kerni hai bas.

Mazak apni jaga tu humari doosri ammi hai, jitna khiyal tune humara rakha tha apne ghar
utna maa hi rakhti hai apne bachon ka. Ye saal shuru hi tere ghar se hua hai aur uss new
year wale night stay pe humne jitni dil ki batain ki thi mera dil kerta hai mei uss time mei
kisi trah wapis chali jaon. Subha ki wo chaye wo naan kabhi nahi bhool sakti mei. Tere
sath abhi discovery pe bethne ka khuwab bhi mene poora kerna hai bas mere uper ulti
na kerna thanks.

P.S., I will miss your Punjabi gaaney aur tera raat ko group mei hyped up text “GUYS KAL
AIK BAAT BATAON GI” jiske baad tu hume sadiyon purani news deti thi jo hume
bachpan se pata hoti lekin sach kahoon tou mei uss se ziada apko sabke sath milke
pajamay pehnana miss karoon gi.

You might also like