Location via proxy:   [ UP ]  
[Report a bug]   [Manage cookies]                
SlideShare a Scribd company logo
[at the entry]
main soch raha hoon khwaab tumhare
                   roz na aate to kya hota.

[when showing rain]
tere pyaar ki baarish mein
                      hum nahin nahate to kya hota

[when showing gramophone]
saaz yeh kewal geet tumhare
                    nahin sunaate to kya hota

                         sochta hun aksar main aisa,
                         par yeh mumkin kaise hota.

[when images are shown of Riya]
tum afsaana ya khwaab nahin
                   tum sach thi, zinda thi, meri thi,

[when rain is shown again]
tum hawa thi, mausam thi, baarish thi,
                   aur barsi thi bharpoor
                   mere tann pe, mann pe.
                   tum sandal ki khushboo thi,
                   roshan maah-taab thi,

                         main yaad tumhari kho deta
                         par yeh mumkin kaise hota

[when heʼs looking for glasses n making drinks]
phir mauka hai, phir mausam hai,
                     aur yaad tumhari qaayam hai,
                     baarish bhi maddham-maddham hai
                     hum hain, mai hai, tera gham hai

[when heʼs shown with her on bike]
woh din beete, barson beete,
                    aiy kaash kabhi to main tumse

[when heʼs shown in stars]
yun taaron mein hi mil pata,
                    par yeh mumkin kaise hota

[when heʼs shown in restaurant]
hai yaad tumhein wo raat
                    kahi jab tumne dil ki baat,
                    kya kahun jal uthe the jaane
                    kitne chirag tab ek saath
                    tum sharm se ghulti jati thi,
                    main madhoshi mein behka tha,

                         shayad main sambhal gaya hota
                         par yeh mumkin kaise hota.
[at this point, the glass breaks…]
                          Is waqt kaun ghar aaya hai?
                          Tanha ko kisne yaad kiya?


                          yeh tum ho,...haan tum hi to ho...
                          yeh khwaab hai ya taabeer koi


na khwaab hai, na taabeer hai yeh
yeh ek haqeeqat hai shayad,
aur tum ismein kitni khush ho,
ek noor sa rukh pe chhaya hai.
yeh dekh ke meri rooh ko bhi,
kitna sukoon ab aaya hai.
Bass ek tumhari aamad se,
Sab kuchh mumkin ho paya hai.

More Related Content

Movie voice over

  • 1. [at the entry] main soch raha hoon khwaab tumhare roz na aate to kya hota. [when showing rain] tere pyaar ki baarish mein hum nahin nahate to kya hota [when showing gramophone] saaz yeh kewal geet tumhare nahin sunaate to kya hota sochta hun aksar main aisa, par yeh mumkin kaise hota. [when images are shown of Riya] tum afsaana ya khwaab nahin tum sach thi, zinda thi, meri thi, [when rain is shown again] tum hawa thi, mausam thi, baarish thi, aur barsi thi bharpoor mere tann pe, mann pe. tum sandal ki khushboo thi, roshan maah-taab thi, main yaad tumhari kho deta par yeh mumkin kaise hota [when heʼs looking for glasses n making drinks] phir mauka hai, phir mausam hai, aur yaad tumhari qaayam hai, baarish bhi maddham-maddham hai hum hain, mai hai, tera gham hai [when heʼs shown with her on bike] woh din beete, barson beete, aiy kaash kabhi to main tumse [when heʼs shown in stars] yun taaron mein hi mil pata, par yeh mumkin kaise hota [when heʼs shown in restaurant] hai yaad tumhein wo raat kahi jab tumne dil ki baat, kya kahun jal uthe the jaane kitne chirag tab ek saath tum sharm se ghulti jati thi, main madhoshi mein behka tha, shayad main sambhal gaya hota par yeh mumkin kaise hota.
  • 2. [at this point, the glass breaks…] Is waqt kaun ghar aaya hai? Tanha ko kisne yaad kiya? yeh tum ho,...haan tum hi to ho... yeh khwaab hai ya taabeer koi na khwaab hai, na taabeer hai yeh yeh ek haqeeqat hai shayad, aur tum ismein kitni khush ho, ek noor sa rukh pe chhaya hai. yeh dekh ke meri rooh ko bhi, kitna sukoon ab aaya hai. Bass ek tumhari aamad se, Sab kuchh mumkin ho paya hai.