Kya Hum Azad Hain??
Kya Hum Azad Hain??
Kya Hum Azad Hain??
Pakistan mera payar watan, mera sab kuch, aik aisa des jou mujay apni jaan sey bhi zayada aziz
ha, jahan ki matti main mujay apni asliyat dikhai daiti ha, jahan ka pani meray liye kisi aab-ehayat sey kam nahi, jis ki mehak dar hawa muj ko har pal pardes main beykarar rakhti ha. Jahan
kay loag pur joash aur ba-himat hain, jahan per fiza kalma tiyaba aur azan ki awazoan sey gunjti
rehti ha, jahan per muj ko apnay iis zameen per honay ka ehsaas hota ha.
Aakhir sochnay ki baat ha kay duniya main koi aur bhi aisa des ha jis kay baray main aisa kuch
likha ja sakay. Jis ki bunyaad ko shamil-e-behas kiya ja sakay, jis kay loagon ka tazkara kartay
huay aap ko ajeeb khushi ka ehsaas ho, Jis ki dharti maahn ki goad ki tarah mukdas aur batahfuz ho. Agar iin sab bataon ka jawab main apnay dil per haath rakh kar doon tou yakeenan
yahi kahoon ga kay nahin iis duniya main meray watan jaisi sar-zameen kahin per bhi nahi.
Hum wakai main khush kismet hain kay khuda nay hum ko azad fizaon main paida kiya, humain
yeh haq diya kay hum apni aik alag peachaan rakhain, humain duniya aik bawakar kaum kay taur
per deakhay. Magar ab sawal yeh paida hota ha kay kudrat tou hum per bohat mehrban rahi,
hum ko duniya ka behtreen mulkh aata kiya, magar kiya hum sab apni zimaydaari ko ada kar
rahay
hain?
Aap soch rahay hoan gay kay woh zimaydari aakhir ha kya, aap sab tou Pakistan sey mohabat
kartay hain, Pakistan zindabad kay naray lagatay phirtay hain, tou aakhir koan si aisi zimaydari
ha jou main aur aap ada nahi kar rahay? Aap bhi meri tarah kisi gheri soch main chalay gaye
hoan gay aur aap ko mujay dono ko yeh samaj nahi ah raha ho ga kay aakhir kiya cheese ha jou
hum sab ghalat kar rahay hain? Aakhir kiya ha aisa jis ki waja sey aaj hum ba-ehsiyat-e- kaum
mushkil
tareen
halaat
sey
guzar
rahay
hain.
App aur main shahid iis baat ko kabi bhi samaj na payain ya shahid hum iis ko samajna hi nahi
chahtay kay hum nay aik Pakistani kay taur per kabi bhi apni zimaydaari ko ada nahi kiya. Hum
nay kabi bhi yeh nahi chaha kay Pakistan main hum sab mil jul kar kam az kam koi aik kaam hi
dhang ka kar lain. Aap aur main sab zimaydaar hain Pakistan kay iin halaat kay, hum sab ko dard
tou bohat hota ha Pakistan kay halaat deakh kar, magar hum doosray hi lamhay woh sara dard
bhula kar uun tamaam processes main shamil ho jatay hain jou kay iis saray dard ki buniyaad ha.
Meri tamheed kuch lambi ho gayi ha, mera ishara uus siyasi nizaam ki taraf ha jis ko hum khud
apnatay hain, uun bad tareen hokumraanoan ki taraf ha jin ko hum sab khud vote daitay hain,
uun vaderoan ki taraf ha jin ko hum apni zindagi ka maalik khud banatay hain? Unn choroan ki
taraf ha jin ko hum jailoan sey nikaal kar iktadaar kay iwanoan main bitha daitay hain.
Aur bil-akhir jou nateeja nikalta ha woh kabi world bank kay agay kaum bachna ha, kabi mulkhi
ghairat aur waqar ka soda karna ha aur kabi kaum kay bachay bachay ko girwi rakh kar apni
zaati
hasiyat
banana
ha.
Iis tamam process main aakhir koan suffer karta ha? Koan ha jou har pal jeeta aur marta ha,
koan ha jis kay bachay hamesha tarastay hain, kabi parhayi ko, kabi dawayi ko aur kabi roshnayi
ko, kabi dawa ka intazaar kartay hain, kabi roati aur tan dhanpnay kay liye kapray ka aur kabi
apni
sansoan
kay
khattam
honay
ka.
Kiya yahi nishaniyaan hain aik azaad kaum ki? Kiya yehi saluuk kiya jaata ha duniya kay kisi
azaad mulkh main uus kay awam kay saath? Kiya itna hi jeenay ka haq diya jaata ha duniya ki
mohazb mashroan main? Kiya yahi tareeka apnaya jaata ha kay apnay loagon ko baich diya
jaye?
Kiya
iis
sab
ko
azadi
kaha
jaata
ha?
Meray saath saath aap bhi soch rahay hoan gay kay yeh aakhir kaisi azadi ha? Yeh tou kisi
ghulami sey bhi bad-tar ha. Ghulam ko bhi aik aad baar baicha jaata ha magar hamaray mulkh
main tou har bachay ko na janay kitni baar girwi rakh kar na janay kahan kahan sey karz liya
jaata ha, woh karz jis kay boaj sey meray aur aap kay bachay bhi na bach sakain gay.
1600 loag 16 karor awam per bhari kiyoon hain? Kya yeh hamari zimaydari nahi kay hum uun ko
vote na dain, kiyoon hum yeh nahi samajtay kay kisi mazdoor aur ghareeb ko koi jageerdaar kabi
bhi represent nahi kar sakta. Kiyoon hum apni hi safoan main majood achay loagon ko agay
lanay
sey
katratay
hain.
Khuda ra, hoash kay nakhun lee jiye aur maujay aur aap sab ko apni iis zimaydaari ka ehsaas
agar aaj nahi hoga tou shahid hamari aanay waali saath naslain bhi kisi Kerry lugar bill kay
zariye baich diya jaye ga. Ho sakta ha kay anay walay wakat main yeh na-like hukumraan jou kay
maghrabi takatoan kay ghulaam hain, hamari zameen kay inch inch ka dubar soda kar dain. Meri
aur aap ki yeh zimadaari ha kay hum mill kar aisay hukmranoan ko nikaal bahir karain, hum agar
vote dain tou kiyoon na kisi apnay jaisay ko dain jou kay kam az kam hum ghareeboan ka ehsaas
karain.
Hum ko Pakistan ko hakeeki manoan main azad karwana ha iis jageerdaari nizaam sey, warna
hamari har sans azadi kay naam per taranay bajatay huay hi guzar jaye gi aur hum sab aisay hi
ghulam aur makruuz rahain gay.
92 121
Watan-E-Aziz Pakistan Ke Nojawan Hi Watan Ka Sub Se Bara Sarmya Aur Taqat Hain
Nojawan Tabqay Ko Chaia Ke Wo Kise Bi Shobaye Field Se Belong Ho Use Mulki Halat
Masahil Politice Main Akar Mulk Ko Masahil Se Nikalne Main Apna Kirdar Ada Karna
Chaia Aur Mulk Main Mojood Corruption Se Nijat Delane Main Media Ke Sath Mil Kar
Aham Kirdar Ada Kare Waise Media Mulki Halat Waqiyat Main Apne Programs Ke
Zariya Bhot Evernes Farham Kar Rha Hain Nation Aur Genration Main Bi Nojawano Ko
Chaia Ke Wo Students Fields Se Wabasta Hain Wo Media Ke Sath Apne Mulk Pakistan
Ko Masahil Se Nikalne Ke Sath Mulk Ko Kush Hali Ki Raha Phar Gamzan Karne Main
Apna Sahi Moqoof Asool Pash Karen Aur Mulk Ki Taqdir Badalne Ki Efford Karne Main
Din Raat Kosha Ho Jae Waise Aur Main Ya Bi Janta Hu Watan-E-Aziz Main Bhot Se
Mere Nojawano Ka Feauture Tariq Ha Wasahil Na Hone Ki Bina Phr Aur Ab Bhot Se
N.G.O Media Ke Logon Education Ke Marakaz Qaim Kar Rha Ha Aur Education Ko
Aam Karne Main Din Raat Magan Hain Aur Para Likha Aaj Ka Nojawan Hamare Kuch
Be Raha Ravi Ka Shikar Bi Hain Aur Dil Bardasta Bi To Halat Aur Wakat Chaia Kaisa Bi
Aan Paray Mayousi Guna Hain Aaj Ka Nojawan Khuda Ra Apne Asal Kirdar Ko
Pechanay Aur Mulki Halat Waqiyat Ko Dekhay Aur Consider Karen Aur Mulki Halat
Qismat Badalne Main Kosha Hojae Aur Medan Main Aye Quaid-E-Azam Mohammad Ali
Jinah Ne Nojawano Ko Hi Mulk Ka Memar Kha Karte Thay Dr Allam Iqbal Ka Ashar K
Muje Fakar Hain In Jawano Phar Jo Sitaroo Phar Kamand Daltay Hain Yaad Raha Mulk
Ki Taqdir Aur Qismat K Faisla Nation Ke Hath Main Hota Hain
Iqbal ny apni beshtar nazme apni qom k nojawano k liye likhin. wo aj ki nojawan nasal mai
haqiqi shaheen ki si uran bharny waly momin ki jhalak dekhnaa chahty thy, magar hyf sad hyf! k ajki
hamari nasal jis taraf raghib hai wo uran tou bharny ki khwahan hai lekin shaheen k jesi nahi bl k ek us
ghubary jesi jis mai jaldi jaldi bht sari hawa bhar di jae or asman mai chor dia diya jae aesi uran bht
jald usko zameen ki taraf he ly aegi or ikhtitam shikast par hogi. kiun k aj ki nojawan nasal jis chamak
ki taraf dor rahi hai wo usy darhaqeeqat tareekion mai dhakyl rahi hai, mai hargiz apny ap ko un
tareeki mai doobny walon se alehda nahin samajhti. Iqbal chahty thy k qom k nojowan agay barhy
isliye k unhi sy qom ki taraqqi wabasta hai lekin aj agar koi agay barhny ki lagan rakhta hai tou wo
isliye nahi k us mai qom ka mafad hai bl k islye k shayad wo apny samny hareef ko barhty nahi dykh
sakta or usy neecha dikhany k liye wo har mumkin koshis karna chahta hai.
Is behes mai agar para jae k aj ki nojawan nasal kin gumarhion ka shikar ho tou beshak alfaz or wqt
kam par jaega, is behes se kahin behtar hai k khud ankhyn khol k ird gird k mukhtalif pehloon pr nazar
dali jae or Iqba k mard e momin or shaheen ki khwahish pr pora utarni ki koshish ki jae.
Mujhy umeed hai k mery is mazmoon se koi na koi kuch na kch zaror seekhyga or agar ek insan ny
bhi kch seekh lia tou bht hai kiun k ek diye se he kae diye roshan kiye ja sakty hain.
Iqbal ny kae nazmen apny mulk k nojawano k liye likhin tou mai bhi aj Iqbal k iqbal mai kch alfaz qalam
band kar bethi
aleemfalki@yahoo.com
"
"
%85
%50
%15 %85
"
"
"
" "
"
) (
) (
!
)
....(
)
.......!
:
:
:
""Next generation goes to the ballot box.
:
18 29 5000
) (
) (
5000
:
!
66
)
(
) (
5000
)
(
30 40
40
60 40 100
30 37
) (
30 37
63 70
)(Grassroot Level
) (
)(Specialist
80
80
90 ) (Heart Trouble 50
30