Location via proxy:   [ UP ]  
[Report a bug]   [Manage cookies]                

Dawat e Ismay Husna

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 8

DAWAT E ISMAY HUSNA

Aj ap par woh raz zahir karny ja rahy hoon jisko ulma


ne hamesha akhfa me rakha, dunia ki kisi kitab me
apko ye tafsil nahin milay gi, behtar he ke is post ko
apni hard drive me save kar lain.Dawat e Ismay Husna
ke bahot se tariqay amliat ki books me darj milty hain,
sabhi darust hain, magar ek talib e ilm ko ye ilm nahi
hota ke usay kis tariqay pe amal karna chahiy, qk  
zakwat ke kai tariqay raij hain jo shakhs jis tariqay pe
amal karay ga usi ke mutabiq hi usay taseer o fawaid
hasil hon ge, Aksar log zakwat ada karty hain phir bhi
shikwa karty hain ke taseer zahir nahi hoti, woh log ye
kehny me apni jagah haq bajanib hoty hain magar ye
bat poori trah se darust nahi, dar haqiqat ulma ne
haroof or isma ki qawwi taseer se kam leny ke tariqon
ko hamesha raz hi rakha, kisi ne poocha to bata diya
ke 40 din me sawa lakh parh lo zakwat ada ho jay gi,
or naqaal amilin ne is triqay ko harf e akhir samjh ke
be dharak har kitab me chaap dala bina jany ke is
tariqa e zakwat ki efficacy kia he? Talib ilmon ko yahi
bataya ke isi ko zakawt e akbar kaha jata he, kuch
ulma ne kaha ke kisi ism me jitny haroof hon utni
hazar bar 40 yom tak parha jay, kisi ne kaha ism ke
adad nikal ke haroof se zarab day ke jo tadaad ay woh
40 yom tak wird ki jay, magar is zaman me kisi ne lab
kushai na ki ke kis tariqay se kis darja taseer zahoor
ho gi ya aya is qism ki zakwat ki tajdid ki zaroorat to
nahi? Isi tarah kuch kutab e jafr me bhi ek 7 yom ka
tareeqa e zakwat darj hota he magar bukhl ki waja se
is ko bhi mukamal ayan na kia gya, yad rakhiy makhfi
aloom itna kitabon me nahin hoty jitna ke seenon me
pay jaty hain, Ap tamam Muslims bhayion se
darkhwast he ke jo bhi is post se faida uthay mery haq
me zaroor dua e khair karay. Ab asal mozoo ki taraf
atay hain,

1: 40 din me parh ke sawa lakh poora karny se zakat e


saghir ada hoti he, ye amal zindgi me sirf ek bar kam
deta he, kutab me likha he ke ye zakawt e akbar he
magar ye darust nahin, jin sahiban ne is tariq e kar se
zakat ada ki ho gi woh khood tajrba kar ke dekh sakty
hain, isliy esay tamam amliyat jin me 40 din me sawa
lakh poora kar ke hamzad ki hazri ka amal kia jata he
amal ke poora hony pe ek bar hamzad zaroor samny
ata he, agar amal poora ho or muaida qarar pay to thik
warna usay azadi mil jati he or esay amliat jin me
tadad bahot kam hoti he ya kam dino ke hoty hain un
me aksar mudat poori hony pe hamzad hazir nahi
hota., kisi bhi amal e taskhir keliy ye tadad kafi samjhi
jati he. ye zakat kisi or ko mutaqil nahi ki ja sakti.

2: Aksar kutab e jafr or amliat me zakwat ki 7 din me


adaigi ka tariqa e kar darj he, jo ke hasb e zail he: kisi
bhi ism me jis qadar haroof hon unko hazar bar
shumar kia jay e.g; Lateef me 4 haroof hain to 4000
bar hua isko 4 se zarb di to 16000 hua ye nisab kehlata
he, pehly din ba niyat e nisab 16000 bar parha jay ga,
iska nisaf 8000 zakwat kehlata he, ye tadad dusray din
wird ki jay gi, phir zakwat ka nisf 4000 hua ye ashar
kehlata he teesray din ashar ki niyat se 4000 bar wird
ho ga. phir iska bhi nisf kia 2000 hua ye chothay yom
ka wird hua isay qafl kehty hain, phir 5th yom ko dor e
mudawar ki tadad wird ki jaygi jo ke nisab ke barabar
ho gi. 6th yom bazil 7000 parha jay ga or 7th yom
khatm ki niyat se 1200 bar ism ka wird ho ga, bazil or
khtm ki tadad yahi muqarar he, yeni jis ism ki bhi
zakwat ada ki jay 6th or 7th yom yahi tadad ho gi.
tafsil is naqha me dekhain,

Lekin ye zakawt kahan kam day gi kitna kam day gi is


baray me khamoshi, or is ke agay ka kia procees he is
pe bhi khamoshi he. Ye zakwat e saghir he, zindi me
sirf ek bar kaam day gi, iskay bad waseet, asghar,
akbar, kabeer, kabair or akbar e kabair ka tariq kia he
is pe aj roshni dali jay gi.

1: ZAKWAT E SAGHIR:

kisi bhi ism me jis qadar haroof hon unko hazar bar
shumar kia jay e.g; Lateef me 4 haroof hain to 4000
bar hua isko 4 se zarb di to 16000 hua ye nisab kehlata
he, pehly din ba niyat e nisab 16000 bar parha jay ga,
iska nisaf 8000 zakwat kehlata he, ye tadad dusray din
wird ki jay gi, phir zakwat ka nisf 4000 hua ye ashar
kehlata he teesray din ashar ki niyat se 4000 bar wird
ho ga. phir iska bhi nisf kia 2000 hua ye chothay yom
ka wird hua isay qafl kehty hain, phir 5th yom ko dor e
mudawar ki tadad wird ki jaygi jo ke nisab ke barabar
ho gi. 6th yom bazil 7000 parha jay ga or 7th yom
khatm ki niyat se 1200 bar ism ka wird ho ga, bazil or
khtm ki tadad yahi muqarar he, yeni jis ism ki bhi
zakwat ada ki jay 6th or 7th yom yahi tadad ho gi. Ye
zakwat zindigi me sirf ek bar kam day gi, yeni agar ksi
ne is tariq e kar se ism e Allah, Lateef ki zkwat ada ki
ho to woh is ism se sirf ek bar kam le sakta he, yeni
agar woh is ism ka koi naqsh waza kary ga or usky
nichy azimat ba muakil likh ke muakil ism ko hukm
day ga to ek or sirf ek bar muakil us jaiz sharai kam ko
karny ka paband hoga bashrt ye ke naqsh asool o
zawabit se likha gya ho. Doosri bar taseer zahir nahi
ho gi.
 

 
2: ZAKWAT E WASEET:

Zakwat e waseet hamesha Zakwat e sagheer ke bad


ada ki jati he, saghir ki tarah waseet bhi 7 yom me
mukamal ho sakti he farq sir tadad ka hoga, yeni woh
tadad jo ham ne zakwat e saghir keliy nikali thi usay
ek bar phir haroof se zarb di jay gi, misal keliy ism
Lateef ka chart diya gya he jis din ki tadad ziyada ho
usay 7 ya 14 yom me taqseem kia ja sakta he.. Zakwat
e waseet ke bad madavmat or tajdid dono zaroori
hain, jis qamri mah me zakwat ada ki gai thi ainda sal
usi qmri mah me doobara ada karna ho gi agar ada na
ki gai to is nay saal me ism se kam nahi lia ja saky ga.
ksi or ko ijazat nahi di ja sakti. lekin agar koi isky bad
ki zakwat e Asghar ada kar day to phir usay tajdid e
zakwat ki zaroorat ainda sal nahi ho gi. yeni ek sal tak
ism se kam lia ja sakta he, tajdid kar di to asar baqi
rahy ga tajdid na ki to sal bad amal kam nahi day ga.

3: ZAKWAT E ASGHAR:

Zakwat e Waseet ke ada karny ke bad ek sal ke andar


andar zakwat e asghar ada ki ja sakti he, ya agar koi
sal ke akhir me zakwat e waseet ki tajdid karta he to
woh bhi zakwat e asghar ada kar sakta he, jo shakhs
tjdid e zakwat na kary or sal guzar jay usay phir
zakwat e saghir se shuroo karna hoga, zakwat e
asghar bhi 7 yom me ada ho sakti he, zakawt e asghar
ka hamil dusray ko ijazat day sakta he magar phir
zakwat dusray ko muntaqil ho jay gi khood saheb e
taseer nahi rahy ga. iski tajdid 2sal ke andar andar ki
ja skti he magar madawmat zaroori he. triqa e kar wahi
rahy ga ke zakwat e waseet ki tadad ko ek bar phir
haroof se zarb di jay gi.jisn din ki tadad ziada ho usay
7,14 ya 21 dino pe taqseem kia ja sakta he.

4: ZAKWAT E KABEER:

Zakwat e Asgar ada karny ke do sal ke andar andar


zakwat e kabeer ada kar sakty hain, jo koi zakwat e
kabeer ada kary ga usay phir tajdid ki zaroorat nahi
rahy gi, hamesha hamesha amal se taseer zahir ho gi,
magar jis ko ijazat day ga khood khali hath reh jay ga,
madawmat zaroori ho gi Tareeqa e kar wahi rahy ga ke
zakwat e asghar ki tadad ko ek bar phir haroof ki
tadad se zarb di jay gi. ye zakwat poori zindgi kam day
gi, jis din ki tadad zaya ho us ko 7,14,21 ya 28 dino me
taqseem kia ja sakta he, iam e Ilahi Lateef se misal di
gai he.

5:  ZAKWAT E AKBAR:


Jo shakhs zakwat e Kabeer ka hamil ho jab chahy
zakwat e akbar ada kar sakta he, zakwat e akbar ada
karny ke bad jis ko marzi ijazat day, chahy ek ko ijazat
day chahy hazar ko, apni zakwat bhi barqrar rahy gi is
maqam pe pahuch kar marhla asan ho jata he ab
tadad me kami waqi ho gi, is bar zakwat e kabeer ki
tadad ko taqseem kia jay ga haroof ki tadad par, or ye
zakwat e akbar tadad me zakwat e asghar ke barabr ho
gi. misal keliy chart dekhain, jo tadad ziyada ho woh
7,14,21,28 ya 35 din me taqseem ki ja sakti he, tajdid ki
zaroorat nahi, madavmat lazmi he.

6: ZAKWAT E KABAAIR:

Zaklwat e Akbar ka hamil jab chahy zakwat e kabir ada


kar sakta he, is maqam pe pahnch ke amal ki taseer
saif e zubaan ho jati he, mehz chand bar wird karny se
hi taseer e kamil ka zahoor ho ga, tariqa e kar mazeed
asan he, zakwat e akbar ki tadad ko phir haroof pe
taqseem kia jay ga, ye zakwat tadad me zakwat e
waseet ke barabar thehry gi. tajdid ki zaroorat nahi
lekin madawmat lazim ho gi, kisi din ki tadad ko,
7,14,21,28,35 ya 42 din me taqseem kia ja sakta he.
7: ZAKWAT E AKBAR E KABAAIR:

Zakwat e kabair ka hamil apni zindgi me jab chahy


zakwat e Akbar e kabaair ada kar sakta he, is zakwat
ke ada karny ke baad na to tajdid e zakwat ki zaroorart
rahy gi or na hi madawmat ki, is bar zakwat e kabaair
ki tadad ko phir haroof ki tadad pe taqseem kia jay ga
pas ye zakwat tadad me zakwat e saghir ke barabar
thehry gi.

You might also like