Location via proxy:   [ UP ]  
[Report a bug]   [Manage cookies]                

Khizar's Interview

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

KHIZAR’S INTERVIEW

INTERVIEWER: Assalam o alaikum apka naam kiya hai bhai?

CWE: Sahab mera naam Barkat Ali.

INTERVIEWER: Aur apke ghar mein kitne afraad hain?

CWE: Sahab jee hamari ek beti hai ek chota beta hai biwi hai aur me hu.

INTERVIEWER: Acha apke ghar mein kamaney waley log kitney hain?

CWE: Sahab jee bachey to chotey hain me ek hi hu kamaney wala to me hi kamata hu.

INTERVIEWER: Apki family mein total kitney log hain jo apki tankhua pe inhisaar krtey hain?

CWE: Sahab jee apko to maaloom hai bachey mere chotey hain biwi meri ghar ke kaam wagera krti hai
to me hi akela kamaney wala hu.

INTERVIEWER: matlab ap hi sarbara hain ghar ke?

CWE: HAN me hi kamata hu.

INTERVIEWER: Acha ap ki kul mila kr tankhua kitni hogi andazan ek bata dein ap.

CWE: Sahab jee me raat ka ek security guard hu me raat 8 se subah 8 baje tak job krta hu to meri jo
tankhua hai wo 18000 hai.

INTERVIEWER: Aur taleem ap ne kahan tak haasil kari hai?

CWE: Taleem me ne 7 class hoti hai na wahan tak parha hai kiuke abba jo they humara wo mazdoor tha
to usne hume ijazat nhi diya aagey parhane ka to bs saathvi tak mene parha hai.

INTERVIEWER: Acha ghar abhi jis me ap reh rahey hain wo apka apna hai ya kiraye pe hai rent pe hai kiya
hai?

CWE: Kiraye ka hai ek kamrey ka hai usme me meri biwi aur mere do bachey rehte hain 8 hazar uska
kiraya hai.

INTERVIEWER: Acha ghar jis me ap rehte hain wo makaan hai ya flat hai apka?

CWE: Sir jee makaan hai ek kamrey ka makaan hai.

INTERVIEWER: Aur apka taaluq kis ilaaqey se hai?

CWE: Sir jee me larkana ka hu Sindh larkana ka rehne wala hu.

INTERVIEWER: Acha aur ap yahan shehar me aye huye hain abhi?

CWE: Jee kamaney ke liye biwi bachon ke liye to yahan ana hi tha.
INTERVIEWER: Acha kiya apke pas apni sawari hai aur sawari ke ilawa jese ghar me cheezein istemaal
hoti hain jese washing machine fridge ye electrical appliances jisey kehte hain hum apni zubaan me to
iska kiya intezaam hai apke ghar me?

CWE: Sahab jitni tankhua hai usme to sawari me nhi rkh skta to me to roz ya to bus mein ya to chinchi
mein safar krleta hu aur baaki jo ap ne bola hai washing machine aur ye sab to meri jo biwi hai wo hath
se kaprey dho leti hai baaki jo apne bola ye angrezi mein ye smjh nhi aya.

INTERVIEWER: Toh ye sab nhi hai apke pas matlab?

CWE: Sahab jee apko pata hai tankhua itni nhi hai usme kese guzara hota hai.

INTERVIEWER: Acha kitchen wagera me cheezein hoti hain jese grocery hogyi ya maheeney ka sauda
type hogaya uske liye apka maheeney ka kharcha kitna hota hoga andazan bata dein zara?

CWE: sahab biwi ko me roz ka 100-150 de deta hu aur apko pata hai tankhua itni nhi hai to hum subah
nashta wagera nhi krtey me seylani wagera me kha leta hu to biwi ko bs itne paise de deta hu ke wo raat
ka khana humarey liye kr leti hai.

INTERVIEWER: Toh guzara hojata hai matlab?

CWE: ALLAH ka shuakr hai bs.

INTERVIEWER: Acha mobile wagera ke liye bhi balance ki zaroorat parti hai to maheeney ka kiya kharcha
bnta hai apka iska?

CWE: Sahab jee me hafte ka 50 rupe ka balance dalwa leta hu me call to saamne se nhi krskta paise
mere zyada katenge to me miscall dene ke liye balance itna rkhta hu to me jab miscall dedun toh
saamne se mere ko call ajaye aur me baat kar leta hu.

INTERVIEWER: Acha ghumney phirne ke hawaley se kaheen to jaatey hongey to kaheen jaatey hain esi
koi jagah hai?

CWE: Sahab jee me to bs ghar ke qareeb hi ye Quaid ka mazaar hai aur wo hai apna kiya kehte hain
chirya ghar wahan bachon ka dil krta hai to me le jata hu ghuma phira ke popcorn wopcorn khila ke to bs
yehi humara hai.

INTERVIEWER: Acha apke ghar ka kiraya kitna hai aur maheeney ka bijli ka bill kitna ata hoga?

CWE : sahab jee kiraya to mera 8000 hai bijli ka bill mera jata hai 1500 tak ajata hai.

INTERVIEWER: Acha gaun wagera mein ap paise bhejte hain?

CWE: Nhi sahab family ko to me yahan le aya hu gaun mein mera koi aesa hai nhi chacha mama hai to
unko toh nhi paisa bhejna hota aur walda aur abba mere hayat nhi hain to bs ghar walon ka kharcha hai
to wo me yaheen pe deta hu unlogon ko.

INTERVIEWER: Acha in sab cheezon ke ilawa bhi agr ap ke koi akhrajaat hain to ap mujhe unke baarey
mein bata na pasand krenge?

CWE: Sahab jee ghar ka rent went hogaya aur ye grocery wrocery aur bachey mere government school
me hain to wahan ka fees mere ko nhi deni prti wo to sindh hukoomat free me parhati hai.
INTERVIEWER: Toh kul mila kr kharcha apka yehi hai?

CWE: Jee kharchey mere yehi hain?

INTERVIEWER: Acha ghar me ap sabun shampoo konsey brand ka istemaal krtey hain?

CWE: Sahab jee ek hi bottle le ata hu sunsilk shampoo hai uski bottle ata hu kabi kabhi to me sunsilk bhi
nhi lata bs sabun le ata hu sab ghar wale us hi se sar dho lete hain body dho lete hain sabu humarey pas
hota hai zyadatar shampoo nhi hota.

INTERVIEWER: Acha apki mobile sim konsi company ki hai?

CWE: Sahab jee mere pas to telenor hai kiuke mere gaun me bhi telenor ke signal atey hain to mene
wohi rakhi hai.

INTERVIEWER: Acha eid ramzan ke moqey pe humne dekha hai ke kharchey barh hi jaatey hain logon ke
to usme ap kese matlab hai ke manage krte hain?

CWE: Sahab jee ye jis jagah me security guard hu wahan ke sahab log eid ke moqey pr extra paise
wagera dedete hain aur iske ilawa jo log hotey hain sahib e istataat wo hume tohfe de kr chale jaatey
hain to is tarhan bachon ki aur humari eid hojati hai.

INTERVIEWER: Agar kabhi khuda na khasta koi hadsa ya accident hojaye to us me bhi paise ki zaroorat
hoti hai to ap us situation ko kese face krtey hain?

CWE: Sahab jee apko to pata hai private haspataal to mehnge hain to agr kabhi koi bemaar hojaye ya
bachon ko nazla zukaam hojaye to me unhe government haspataal le jata hu to wo dekh lete hain.

INTERVIEWER: Acha shehar me aney ke bad apki zindagi kese mutaasir hui hai matlb gaun ke tor
tareeqe aur shehar ke tor tareeqe alag hain to kuch badlao to aya hoga?

CWE: Sahab jee gaun me apko maalum hai itni gaariyan nhi hotein to dhuyen wali gaariyan to hawa
humari saaf hoti hai to humari sehat bhi achi rehti hai aur hum kheti bari krte hain to gandum bhi hume
sabut milta hai to roti bhi achi milti hai aur desi ghi hum khaatey hain to sehat humari achi hoti hai
magar shehar me hum aye hain to sehat bhi humari kharab horhi hai khoraak bhi aesi hai ke bs kaam
chal jaaye faiyda to nhi derhi wo.

INTERVIEWER: Acha jese ye social media hota hai jese ye facbook hogaya aur ye youtube wagera to inka
koi shoq hai apko?

CWE: Sahab jee humare ghar me to bs mere pas hi mobile hai aur wo bhi button wala hai to ye social
media wagera hum nhi krte.

INTERVIEWER: Aur TV bhi nhi dekhte ap?

CWE: TV humarey ghar me to nhi hai humarey padosi ke ghar me hai to bachey cartoon wartoon dekhne
chale jaatey hain wahan.

INTERVIEWER: Acha poorey din ka jo apka routine hai jese subah uthne se lekr raat sone tak ap kiya
activities krte hai ek tarhan se?
CWE: Sahab jee jese mene apko bataya meri subah 8 se raat 8 tak job hai mere gaun ke zameendar hain
bhot barey to unka bohat bara ghar hai idhr to unhon ne mere ko rkha hai me roz 2 ghante ko wahan
jata hu unke baag ki safayi wagera aur ghaans wagera jo bari hojaati hai usey kaat deta hu to bs ye mera
hai baaki namaz wagera parh leta hu din me aur bachon ko school se lena chorna karleta hu to is hi mera
din guzar jata hai.

INTERVIEWER: Acha hafte ke akhir me jo chuti ati hai jisey hum weekend kehte hain usme ap kiya krte
hain?

CWE: Sahab hafte ke 6 din to mera kaam hota hai itwaar ke din mera ye hota hai ke bachon baag waag
legaya ghumaane phiraane baaki koi bazar wazar ke kaam wagera dekh leta hu to bs chutti ka din mera
esa hi guzarta hai.

INTERVIEWER: Toh masroofiyat apki complete yehi hai?

CWE: Han yehi hai masroofiyat.

INTERVIEWER: Chalein theek hai bhai bohat shukriya.

You might also like