Location via proxy:   [ UP ]  
[Report a bug]   [Manage cookies]                

Chai

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 42
At a glance
Powered by AI
Some of the key reflections in the poems are on memories, relationships, purpose of life and finding inner peace.

The poet reflects on past relationships, purpose and meaning of life through changing perspectives of time. He questions why people and situations change with time.

The poet experiences feelings of loneliness but also finds solace and inspiration in nature. Elements of nature like the setting sun, clouds and breeze help him reminisce past memories and emotions.

CHAI KI PYALI..

1. Dekh rha hu is sham ko


Un taron ki chamak ko yaad karta hu,
Door hun maa main tujhse
Tumhari pyari surat ko yaad karta hu,
Chod aaya hu tumhare paas main apni thakaan bhari shamein
Us thakaan ko door karti chai ki pyali ko yaad karta hu.
2. Mujhe har subah zid karke uthana
Main apni manmani ko yaad karta hu,
Tumhare pyaar ke tail me sne huye
Swadisht aalu ke paranthon ko yaad karta hun,
Humare kapdo ke mail se sakht huye
Tumhare un naram hathon ko yaad karta hun,
Meri lakh galtiyon ke natijan
Tumhari chand danto ko yaad karta hun,
Chod aaya hu..
Us thakaan ko.
3. Jeevan ke hare k path par
Tumhare sanyam aur dridhta ko yaad karta hun,
Har ek rishte aur sambandh ke prati
Tumhari nishtha aur samarpan ko yaad karta hun,
Humein ek sachi raah ke taraf prerit karti
Tumhari sachi siksha ko yaad karta hun,
Chod aaya hun.
Us thakaan
4. Aaj bhi mere haath me ek chai ki pyali hai
Par usme kam reh gye maa ke pyaar ko yaad karta hun,
Ghira hua hun yhan bhi pyaar karne walon se magar
Sukoon dene wale tere humdard saaye ko yaad karta hun,
Ye waqt bhi mere liye ek mauka hai
Tumhe saari khushiyan den eke liye khud ko tayar karta hun,
Beet jayenge ye kuch saal bhi yun hi
Phir usi chai ki chuski lene ki fariyaad karta hun-2 .
-

Shubham chauhan

dil-e-nadan tujhe uh hua kya


hai,,,
tere uh khilkhilane ki wajah kya
hai,,,

jise kisi k janne ka gum nhi tha


khabi,,
usse aaj kisi k sath hone ki
parwah kuo hai,,
jeena hi bhul chuka tha jo bhut
phle,,
aaj uske dil lgane ki wajah kya
hai,,,
jo phle nhi tha khayalato me
bhi,,,,
aaj usse uh mulakato ki wajah
kya hai,,,
jo phle likhta tha sirf dil tutne ki
kahaniya,,,
aaj uh dil churane ki bat ki hi kuo
hai,,
jo phle chla gya tha uhi hme
chod kr,,,
to uske dubara aane ki wajah kya
hai,,,
jo phle krte the bhul janne ka
natak,,,
to ab uhi apne aap yad krne ki
wajah kya hai,,,
mujhse bat krna tak gwara nhi
tha jisse phle,,,
aaj use meri hi itni chah kuo
hai,,,,,
jisse kuch farq nhi pdta tha meri
harkato se,,,,
to aaj usse mera itna khayal kuo
hai,,,
jikr nhi tha jiski bato me mera
khabhi,,,,
to aaj hr bat ki surwat mere se
hi kuo hai,,

jo bhut busy tha apne purane


dosto me,,,
to aaj purane dosto ko yad krne
ki wajah kya hai,,,
kya payega wo mujh nachiz se
dubara pyar krke,,,
use iss kayanat me aaj isi chiz
ka lalch kuo hai,,,
aata nhi agar usse uh pyar me
viswas jatana,,,
to uh ye pyar hi kya hai,,
pyar me hota nhi kisi ko panna
manjil,,,
to unhe is bat ka abhi tak pta hi
kuo na hai,,,
last me bas itna hi----------pyar hota hai jajbato se
pyar ki wajah nhi hoti,,,,
pyar to hota hai khayalato se
pyar ko kuch dikane ki jrurat nhi
hoti,,,
agar pyar me hota pana hi
manjil,,,,
to heer-ranjha,sohnimehiwal,laila-majnu ki kahani itni famous nhi hoti......................................

THE END

By paras

1.
dhalti shaam hai tu
ek pl mei samaa bna skti hai
zor khuda se km nahi
teri kalam mei
bujhi raakh ko bhi tu shama bna skti hai
2.
asman choo to main bhi lu
pr kya karu
chookr suna hai aasman mei udne walo ko bhi paani zameen pr hi milta hai
3.
Tjhe veham ke agar koi Tjhe sabak deta hai
bhala dariya ko bhi koi behne ki lalak deta hai
4.
andhero ki bhi kya keemat lagaloge tum
ke Jo jalaane wali cheez ko bhi bhagwan bana deta hai
5.
na aasmano mei ud
na zameen pr rkh paanv apna
hoslo pr kadam rkh
khayalo mei rkh ghaav apna
aashiane ka sapna dekhna buri baat nahi
ashiane ka sukoon tb milega sb sng hoga gaanv apna
6.
arey tu khud shabnam hai
tu kyu sooraj se jlta hai
Tera kya bigade koi saaya
jb tjhme khud farishta plta hai
zakhm taza hi drd kr skta hai
kyoki sooraj bhi acha lgne lgta hai jb dheere dheere dhlta hai
7.
hr lafz hr zubaan ka apna mza hai saakir
kisi sharaab ko bhi kisi ke zehen mei amrit bna rkha hai
8.
arey rang chdne mei thoda wakt lagta hai
is baat ka to khuda bhi gawah hai ki rachi hui mehndi hi na mitne ki zid pakadti hai
9.
meri khamoshi ki keemat us din hi tu bhaap sakega
gurur-e-husn gurur-e-milkiyat sb supurd-e-khaak ho jaega
jis din apne aasmano ki gehrai ko tu naap sakega.
10.
Ab kya kahu is nazarie ko main aakhir
heere ko bhi kahan maalom hoti hai keemt apni....

11.
kyu sooraj tera dooba dooba
kyu shaam si hone aai hai
kya krlega ye tm Ab mera
jo tuney jgmg jyot jalai hai
12.
Har baar phool chunna bura to nahi
Pr phoolo ki keemat hi kya Jo kaanto ka ehsaas na ho
13.
Khulne hi lge aakhir pnkh us chidiya ke
Jo aasmaan ko dekhkr aksar roya krti thi
14.
Baaz bhi aakhir kB tk raaj krenge krenge shamshaano pe
Kbhi to aegi roshni bnkr koi chidiya aasmano pe
15.
Main kya likhta hu koi andaza nahi hai
Rooh ki gehrai se Jo niklta hai kavita bn jaati hai
16.
Deewaro ke maayne toote makaano se pucho
Khushi kya hoti hai drd ke aashiano se pucho
17.
Mrzi hai aapki chahe gul khile ya Kali
meheke gulshan ko to bs Khushboo se gulzar hona chahie
18.
Dil ki khwahish ko kya nam du
pyar ka usko kya paigam du
is dil mei dard nahi uski yadein hain
ab agar yadein hi dard de to unhe kya ilzam du
19.
Chahat ne hamare kadmo ke lie dagar(rasta) na ki hamara dil to tuta par hamne kisi ko khabar na ki ham to
apni kabr khod ae or wo kehte hain ki hamne unki ek bt ki kadr na ki
20.
kia tha jo shuru wo paigam baki hai
hua hai nasha adha abhi adha jam baki hai
napa hai abhi to hamne ratti bhar asman hi
abi to pura asman-e-tamam baki hai
21.
jo bujh na sake wo pyas ho tum ,
jo mit na sake wo ehsaas ho tum , kehne ko ho door magar
har pal dil ke paas ho tum,
jab baitha main paas tumhare...
ankh jhuki saans ruki fir chalti hawa ne kaha tha jise dhundta tha barso se...
wo insaan-e- khaas ho tum
22.
Sitaro ki mehfil ka bhi jo sultan raha hai
Bhala sooraj ki roshni se bhi koi anjaan raha hai?
23.
Kahin khoon kahin jism kahin rooh bikti hai kuch thikaano pr

Kya kadr reh gai insano ki Jb rishte hi khareedne lage hain


log dukano pr
Kaise karu khuda numaish main in deewaro ki jb
"Ghar " naam ki chaadar chadhi hai khali makaano pr
24.
Sheher dhoondta hai is zalzale ki shuruaat kahan hui ,
hame to bs chingaario mei hawa deni thi...
ByParmit Sihag
EIC-1985-2K13
YMCAUST, Faridabad


__________
Ek kahani
....
...








! ...
...
... ...

...



... ...
... ..
... . ..



...


...

...

...








...
?
...
?
...

...
... ..
...
...
...
...
...
...
... ...
...
...
!
...

....

...

...



...







!!!


...
...
...!

Nikita ananya

Jeevan ka kagaz
Apne Jeevan ko kagaz par aaj likh diya, hai hum ne
Cheena hai bachpan ki yaado ko aaj najaane , kis gham ne...
Sunte to roz hi hain gaatha doobte jeevan ki ..
Par mehsoos pehli dafa kia hai , aaj hum ne..
Apne Jeevan ko kagaz par aaj likh diya, hai hum ne
Jo beete kal ko yaad hum karte hain..
To aksar dil bechain ho uth ta hai..
Suna jab umeedo ko teri karte hain...
To mann mein samandar sa sailaab uth ta hai.........
Kaun jaane kis bagiyaan ke phool todein hain humne....
Apne jeevan ko kagaz par aaj likh diya, hai hum ne
Cheena hai bachpan ki yaado ko aaj najaane kis gham ne...
Nahin milta har kisi ko tere jaisa yaar jeevan mein...
Shayad taras agaya ho khuda ko..
Ya khud hi agaye tere mann mein...
Beeti yaado ko bhulaane ke liye...
Apne Jeevan ko kagaz par aaj likh diya, hai hum ne
Cheena hai bachpan ki yaado ko aaj najaane , kis gham ne...
-

Aman sharma

,
















,























?










! !

Nikita ananya

Muskaan hi eenam hai":Lafzon ne karwat aaj phir li hai..


Na tum kuch kaho na hum kuch kahein.
Bol kar bhi bas yu hi chup se rahe,
Aankhein namm na karna kabhi..
Na hona tum kabhi yu gum..
Tumhare har alfaaz ko sajayenge..apne haathon se ab hum..
Lafzon ne karwat aaj phir se li hai..
Umad aaya pyaar ka sailaab hai..
Pyaar ke do bol hi sahi..
Meetha sa, khoobsoorat sa yahi bas ek ehsaas hai..
Kuch bolo, kuch samjho,
Kuch kaho gupchup se yu na raho..
Hum dildaar hai tumhare , tum sada hi khush raho..
Gumsum se...
Gupchup se..chupchaap si hassi koi..
Aasmaan se utar rahe hain..
Sitaare khoobsoorat kai...
Hum chalte rahe yu hi
Ik dooje ko paane ki chahh meinn..
Chahe mushkilei kitni hi ho...
Pyaar ki is raah mein..
Sanam aaj bhi pallkein tumhein hi bas nihaarein..
Aaj bhi zind bas labb se tera naam pukaare.
Yu to kehne ko radha aur krishan bhi badnaam hain..
Tumhare liye humara dil..
Aur humare liye tumhari muskaan hi eenaam hai..!!

Aman sharma

Sarhadon ke kinaare--Dhundhuli shaam ki yaado ke sang..


Umadti pyaar ki barsaaton ke sang..
Duniya khoob kal bhi hasayegi..
Par maut ka kafan baandhein hai hum to..
Aaj phir neend kaise aayegi???
Shikwe yaha bhi hai, gile waha bhi...
Par ek ajeeb sa rishta hai dushman se bhi.. shayad
Haalaat ek hai, mulakaat bhi ek...
Har koshish ek jaan ko aur samet ke le jayegi..
Ki jis se duniya apna kal khushiyo se manayegi..
Aaj dil bahut bhaari sa hai ..
Aaj phir neend kaise aayegi??
Humein ladna hai marne ke liye..
Aur jeena bhi ussi ke liye hai.
Yeh jeewan to bas chalawa hai..
Asli to bas hai vatan ke liye...
Ki so sakein dono aurr ke logg sukkoon se..
Isliye yaha hum ladd rahe hai..
Aur saath hi maidaan ka rang ghumad raha hai..
Har pal kisi jawaan ka ghar ujad raha hai.
Yahi reet hai aur aage bhi jayegi..
To batao kaise..
Aaj phir neend aayegi??

Aman sharma


,



]



,

,

,
,
,
,

,
, ,
,
, 10

,

,
,
,

,

,
,
,

...
,
,
,
,
, ..............]
-

Rahul kumar ymca




,

,

,

,
,
,
,

,
-
,

,
,

Rahul kumar ymca


,
l
,
I
,
l
,
l
,
- l
,
' ' l
,
l
,

l
,
l
,
l

,
l
,
l

Tegpal singh

,
,
,
,

," "

, .......
,
,

;

, ......



, .......
Written by
Hitesh mishra
Btec 2nd year
Mechanical branch



;
,

-
, - !

;
,
-
,- !

;
,
-
,- !
Written by
Hitesh mishra
Btec 2nd year
Mechanical branch





,
,


,
-






,



written by
Name- Hitesh mishra
Btec 2nd year
Mechanical branch





. .














Abhishek Shukla
Jiit

...........



.......




,

..
....




-

,





....
, . ; .






-
-

--

!!!
-

Amaranth

-
,
- , ,
;

, ;

,
,
,
,

- ; ,
--- ?!?!?!
-
-

;
.
;
.

;

.
;
.....

;
....

;
. .....

Amaranth pandey

1.




,
|
.


,



,






,


|
.


?






,
???

4.




|



|


-9818413992, 9868263450


1.




!
,
,
|

2. ,





,




|
|
!!
,
-
,
,
,
- ,
-9818413992,9868263450

KINNAR
Hatho me chudia hai jism mardani hai.
Me khud me ardh nareshwar hu or yahi meri kahani hai.
Dil me mere bhi bohut se dard hai.
Koi kehta h aadhi naari koi kehta aadha mard hai
Jazbaat ko.apne chupa kar rakhti hu.
Khud rokar bhi tumko khush rehene ki dua hi karti hu.
Ek taraf meri dua par bhagwan se bhi jyada bharosa dikhate ho.
Dusri taraf pta nhi kyu tum mujhe kinner kinner kehekar chidate ho.
Shayad yahi meri galti hai ki me ardh nari hu.
Roti hu me fir bhi tumko dua de jati hu ,aisi kismat ki maari hu.
Kisi orat ko dekhti hu to mujhe adhure pan ka ehas hota hai.
Bacha hota kash mera bhi dil.me yahi khwaab reheta hai.
Usko loriya sunakar chati se dud pilati.
Jab wo keheta. Ma ma shayad me bhi ro jati.
Shayad yahi meri galti hai ki me ardh nari hu.

Roti hu me fir bhi me tumko dua de jati hu,aisi kismat ki mari hu.
Logo ki shadio me unko badhai dene jati hu.
Dekhti hu jab dulhan ki suhag ki chudia.
To ander hi ander khud se ye swal kar jati hu.
Kash mera bhi koi hota jiske liye mehendi me sajati.
Suhag ki chudia pehen.
Sakhio ke sath pyr ke geet gungunati.
Doli me vida hoti ma pita ko akhri alvida keh jati.
Par shayad yahi meri galti hai ki me ardh nari hu,aisi mai kismat ki maari hu.
Khud roti hu fir bhi tumko dua de jati hu.
Me bhi to chahhati hu mera bhi bhai ho rakhi jisko bandu.
Mithi mithi ladai.karu.
Kabhi kabhi usse ruth jau.
Wo mujhko manane aye gale use lag jau.
Or pyar se usko apne hatho ka khana khilau.
Bhai bhai kehkar har icha usse puri karau.
Galti wo kare maa se dant me khau.
Raat ko der se aye.
Pita kaha hai ye batau.
Par shayad yahi meri galti hai ki me ardh nari hu.
Khud ansu bahati hu par fir bhi tumko dua de jati hu.
- harsh jaitak
2nd entry

,
.
,
.
,
?
,
.
,
.
,
.
,
, .
,
.
-

Harsh jaitak

,
;

,

,

,
,

,

,
,
,

,

,
,

,

........
-

Priyanka ananya

Dil ko dehlati garmi


or dekh rhe the kismat ki berahmi
Vo chaalo se bhare nanhe peiro ka manzar
chubta h dil m jaise ho khanjar
Khawahishen bunti uski nazar
Ho rha tha dil par uska ek alag hi asar
Aisa hi tha us bache ka haal ..
Jo sadak pe khada tha hath m liye thaal..
Uski roz ki bhiksha mazduri
Or hamesha k liye shiksha se duri
Do waqt ki roti nhi magar
bheekh na milne ka darr
usne to nhi kiya koi jurm sangeen
Phir kyu nhi h uski duniya rangeen..
kash uski stithi se ho pate sbhi avgat
or sunhare bhavishya k liye dete apna mat
Vichar to kiye h bhot bade
par kbhi iske liye nhi lade
is daldal se nikalne ka raasta soch rhe h..
Or ab tak uski muskurahat ko khoj rhe h
uski muskurahat ko khoj rhe h
-

Priyanka ananya

VO TU THI YA TERI PARCHAI THI


Vo tu thi ya teri parchaayi thi...
Jo kehne kuch mere paas ayi thi....
Vo neend thi ya sachchaai thi....
Jab tu kareeb mere ayi thi....
Vo wafaa thi ya bewafaai thi....
Tune mohabbat jab meri apnaai thi....
Vo teri sazaa thi ya ladaai thi...
Jab tu nahi ...teri judaaai thi.
Khuda tu bata ...vo teri rehmat thi ya teri khudaai thi...

Jo saath mere tanhayee thi...


Vo dhoka tha ya sachchai thi...
Mere rooh main jo tu samaai thi...
Vo tu thi ya teri parchaai thi..
Jo milne mjhse yu ayi thi
2. IS SHEHAR ME MERA KYA KHOYA HAI
Ye Jo pahad nazar tumhe ate hai...
Ye mere gaav ki taraf jaate hai...
Ye Jo ped sar jhukaye nazar milate hai....
Ye mere ghar ka pata batate hai...
Ye nadi jahan se bankar ati hai..
Ye meri galiyon ki yaad dilati hai....
Jahan in sabka sangam hai....
Vahan hua mera janam hai...
Par jaane uss sheher ki bheed main
kahan khoyi thi...
Itne Dino kitni mushkil se me soyi thi ...
apni mitti ki dikhaai raah se bhatki thi...
Ye main nahi Jo main bankar Lauti thi....
Isme sheher ki milawat ka ek jhoka tha...
khud ko apna btane wala bs ek dhoka tha yeh..
Laut ke un raahon se aaj.....jab manzil ko apni dekha tha...
Tab samajh aya mjhe....ki vo sheher nahi
ek dhoka tha.....
Mehetvakanshaon ke bazaar main meri
keemat jab sabne lagaai thi....
Tabhi door draz me mjhe apne gaav
ki yaad ayi thi....
Bazaaron main bikta hai jahan insaan.....
Vahan kya hona tha mere adarhshon ka
maan....
Aaj samajh aya hai mjhe....iss shehar me mera kya khoya hai....
Tabhi to ghr laut ke ...mera dil yu roya hai...

By - Navrita Beniwal

1->
## ik adhoori mulakaat ##
By dam d
quaamat thi wo raat jab tha uska sath..
kuch baatein unkahi, kuch lamhe unchue or wo barsaat...
tarasta tha jiski ek jhalak ko,
aaj thi wo mere sath..

aankho me aanke, hatho me hath, baato ka silsila chlta rha


puri raat
khna chahta tha kuch, aur sunna shayad wo bhi chahti thi...
bas,
bas kr na ska shuruaat...
raat kat ti gyi, fizae hat ti gyi..
aur lagne lgi ik adhoori si mulakat......

jise dekhta tha sapno me use hakeekat me badlna tha,


pr jab bji alarm ki ghanti to pta chla wo bhi ek sapna tha...
adhoori thi jo mulakat, wo bhi ab joothi si lagne lagi....
bas uski yaadon me raate uhi katne lgi......
agli subh jab nikla ghar se....
ek saya sa peeche tha
kuch kadmo ki aahat sa,

koi chanchal maan mujhe kheeche tha...


ek dheemi si aawaj ne pal bhar ke lie roka mujhe...
'excuse me' kh ker bade pyaar se usne toka mujhe...
jab palat kr dekha maine
dil ki dhadkanein badne lgi...
kyo ki kal tak jo sirf kalpana thi...
aaj hakeekat me sawarne lgi...
fir se kano me ek ghanti si sunai di..
is bar wo alarm nhi ... mere dil ki gaharai thi.....
janti thi shayad mujhe wo,
kabhi khi usne ise padha tha...
aur mai... mai to bas uski aankho me kho pada tha....
sunna chahti thi kuch aansh # ik adhoori mulakaat # ka...
shayad samajh nhi payi thi wo matlab us raat ka....

aur jate hue...


jate hue na jane wo kyo muskurai thi...
choo li usne mere dil ki gaharai thi..
us muskurahat ki wajah mai sochta har raat....
aur fir se ye thi ..... ik adhoori mulakat..
## ik adhoori mulakat ##
2->
## technology ##
By dam d
Technology ki chamak se jagmgaati ye dunia
Facebook whatsapp pr btlati ye dunia
Aanjano se puchti halchal.
Lekin apno se door ho jati ye dunia
Dp(display pic)pe like chahe fb ho ya hike
Whatsapp ka lastseen chipati ye dunia
Status ke sath upload selfie ki feelings ko
Smileys ke sath samjhati ye dunia
Zindagi ki isi kashmkash me bas ek hi galti kr jati ye dunia
Jhoote rishte nibhate nibhate sach se door ho jati ye dunia
Aanjano se puchti hal chal .
Lekin apno se door ho jati ye dunia
Apno se door ho jati ye dunia
## technology ##
- dipesh single

/
,
, //


....

//



//





.............. //
-

''
,
,
,
,
|
,
,
,
,
|
,

,
,
'' ,
'' |

,
,
,
,
, |
,
,
' ' ,
,
|
-

Jyoti jangra

...



||
...

||
...


||
...

-

||
...


,

, ||
...

,


?
...


||
-

Shakshi sharma




//
......





...
... ...//
-




,
.








.











.



- -





,



.











.


,
9179065814/9643498913



,
,
.










-
.











.






,



.


,

..?
.. ?
...?



9179065814/9643498913



|


|





|
!

|








,








|


|

,,
()


|




,

: |

!
----- ,
" ",
,
,
,
-
()
.,

RUKTA KYU HAI HUMRAHI


Bhor hui hai , ravi chadha hai,
Tu meelo ka ek dag badha hai,

Kaahe ko fir thamey parishram , kaahe ka thak jaana hai ,


Tu rukta kyu hai humrahi abhi kaafi aage jaana hai.
Naman hai tujhko jo tuney is janjaal mei khud ko jhok dia,
Kis parinde ne aandhi ke dar se pankh failana rok dia ?
Jag roopi is upvan ko tujhko hi mehkaana hai,
Tu rukta kyu hai humrahi abhi kaafi aage jaana hai.

safar kathin hai raah achal hai,


girna uthna har ek pal hai,
bs tujhko har andhiyaare ka sooraj bnkar ug jaana hai
tu rukta kyu hai humrahi abhi kaafi aage jaana hai
Bhanvar bi honge , toofaan bi honge ,
Deep bujhate har baar hi honge ,
Par tujhko sooraj ki bhaanti ujiyaara failana hai ,
Tu rukta kyu hai humrahi abhi kaafi aage jaana hai.
Jo beet chuka hai uska kya hai aadhi raat ka wo koi sapna tha
Bhool ja usko chod gaya jo, kaise wo tera apna tha?
Rakt bahega ashk bahenge,
kehne de kuch to log kahenge,
Haadse honge laakh magar, hum sab honge raakh magar ,
Peeche mudio na humrahi tujhe kaafi aage jaana hai ,
Bs badhta jaa tu humrahi abhi kaafi aage jaana hai.

Permit sihag

AAJ EID HAI AAJ TEEJ HAI


In jhoomti hui patango mei,
roze ki umango mei,
saundhi hawa kha raha hu main,
aaj eid hai aaj teej hai akela mana raha hu main.
sakht patang ke pakke maanje ko toota dekh,
apne rishto ko, apne jeevan ko,

saaf dekh paa raha hu main,


aaj eid hai aaj teej hai akela mana raha hu main,
ek maulvi ke ghar ki tooti chhat hai,
us chhat se behte paani ki boond dekhkar,
us khuda ki mujhpar rehmat ke gun ga raha hu main,
aaj eid hai aaj teej hai akela mana raha hu main.
ashk aate hain sookh jaate hain,
karwaan bnta hai log chhot jaate hain,
unhi logo ki badaulat kuch farma paa raha hu main,
aaj eid hai aaj teej hai akela mana raha hu main.
sird pawan ki mehki si khushboo,
kisi aashik ko uske mehboob ki yaad dila rahi hai,
bs us aashik ko kalam ke zarie uske ishq se milwa raha hu main,
aaj eid hai aaj teej hai akela mana raha hu main.
baadalo ke upar kuch parindo ka basera hai,
un parindo ki na koi raat hai na shaam hai na savera hai,
bs unhi parindo ki nazar se sooraj ki tadap ka andaza laga raha hu main,
aaj eid hai aaj teej hai akela mana raha hu main.
dhalti shaam ne mujhe mere kisi apne ki yaad dilai hai,
apni kalam se us dhalte sooraj ko firse utha raha hu main,
aaj eid hai aaj teej hai akela mana raha hu main.
sochta hu main chaand bn jau kisi ki roshni kisi ko dikhau,
fir sochta hu ki kyu main kaayar banu jb apni hi roshni
se sbko jaga raha hu main,
aaj eid hai aaj teej hai akela mana raha hu main,
allah ki rehmat hai , bhgwan ki den,
kalam ka zor aur apno ki dua hai,
ke kuch likh pa raha hu main
aaj eid hai aaj teej hai akela mana raha hu main......
-

Permit sihag

You might also like