Monologues Theatre
Monologues Theatre
Monologues Theatre
sattar minute
sattar minute hai tumhare paas
shayad
tumhari zindagi ke sabse khaas
sattar minute
aaj tum accha khelo ya bura
yeh sattar minute tumhe
zindagi bhar yaad rahenge
toh kaise khelna hai
aaj main tumhe nahi batayunga
bas itna kahunga
ki jaayo
aur yeh sattar minute
jee bhar ke khelo
kyunki iske baad aane wali zindagi mein
chahe sahi ho ya na ho
chahe kuch rahe ya na rahe
tum haaro ya jeeto
lekin yeh sattar minute
tumse koi nahi cheen sakta
koi nahi
Saathi ne kaha:
“Hi”
Hero ne kaha:
“HELLO”
Saathi ne kaha:
“kya haal chaal? Sab Theek?”
(winks)
Hero ne kaha:
“FINE! THANKYOU. HOW ARE YOU?”
Saathi ne kaha:
“Yaar tum aise kyun baat krte ho?”
“KAISE?”
“Aise machine wali awaaz main”
“KYA MATLAB”
“Matlab yeh ki Jo….
Arre ruko jaa kahan rahe ho”
“MAIN RUK NAHIN SAKTA, RUKUNGA TO MAR JAUNGA”
“Mar jaoge?”
“MAIN RACE MAIN BHAAG RAHA HOON”
“ohhh k ;) toh kaunsi race ha yeh”
“MAIN NAHIN JAANTA”
“Tun mahin jaante kaun si race hai yeh to bhaag kyon rahe ho”
“KYUNKI SAB BHAAG RAHE HAIN….ISLIYE MAIN BHI BHAAG RAHA HOON”
“Arrey kyun bhaag rahe hain sab? Koi ruk ke puch kyun nahin raha hai?”
“KYA”
“kyun?”
“WHO KYA HOTA HAI”
“Who kya hota hai? Arrey kyun apna kyun…tum kyun nahin jaante”
(dialed wrong number expression)
“Acha chodo jaane do! Kya farak padta hai kaunsi race hai…Jab tak jeet rahe hain…First
to aate ho na race main”
“NO”
“Second?”
“NO”
“Third!”
“NO”
“Abey 5th, 6th, 7th, 8th, 9th,….?”
(dialed wrong number expression)
“Yaani ke beech main kahin aate ho in sabke? Beech wale ho tum”
“HAAN MAIN MEDIOCRE HOON. AAM AADMI REGULAR ORDINARY”
Chaddha samjhao ise aise khilone bazaar mein bahut milte hain par inse
khelne ke liye jo jigar chahiye na wo duniya ke kisi baazar mein nahin
milta,mard usay lekar paida hota hai aur jab yeh dhai kilo ka haath kisi pe
padta hain na to admi uthta nahin uth jaata hai!
Aur aaj aap phir se tareekh de rahe hain us tareekh se pehle sadak pe koi
truck mujhe maar kar chala jayega aur case banega road accidient ka aap
phir se tareekh de denge aur us tareekh se pehle damini ko pagal bana ke
pagal khane phenk diya jayega…Aur is tarah na to koi sachchai ke liye ladne
wala rahega na insaaf maangne waala.
Mai Wo Hu Jo Aaj Bus Aur Train Me Chadne Se Darta Hai, Mai Wo Hu Jo Kaam Pe Jaata
Hai To Uski Biwi Ko Lagta Hai Ki Jung Par Jaa Raha Hai, Pata Nahi Lautega Yaa Nahi, Har
Do Ghante Baad Phone Karti Hai Ki Chai Pee Ki Nahi? Khana Khaya ki Nahi? Darasal Wo Ye
Janna Chahti Hai KI Mai Jinda Hu Yaa Nahi. Mai Wo Hu Jo Kabhi Barsaat Me Phasta
Hai,Kabhi
Blast Me. Mai Wo Hu Jo Kabhi Kisi Ke Haath Me Tasbih Dekhkar Shak Karta Hai. Aur Mai
Wo Bhi Hu Jo AajKal Daadi Badan
Aur Topi Pahanne Se Ghabrata Hai, Business Ke Liye Dukan Kharidta Hai To Sochata Hai Ki
Naam Kya Rakhu.. Kanhi Dange Me Mera Naam Dekhkar Meri Dukaan Naa Jala De.
Jhagada Kisi Ka Bhi Ho Bewajah Marta Mai Hi Hu.. Bhid To Dekhi Hogi Naa Aapne , Bhid Me
Se Koi Ak Shakl Chun Lijiye, Mai Wo Hu. I Am Just A Stupid Comman Man , Wanting To
Clean His House.
hum hain to kaha hain aur aur nahi hai to kaha gaye, hum hai to kisliye aur
kaha gaye to kab?
Janaab, hum they bhi ya hum they hi nahi…
“aaj ...khush to bahut hoge tum। Dekho... jo aaj tak tumhaare mandir kee seedhiyaaN
naheeN chaDha ..jisne aaj tak tumhaare saamne sar naheeN jhukaayaa...jisne aaj tak
kabhi tumhaare saamne haath nahee joDe ... woh... aaj tumhaare saamne haath
phailaaye khaDaa hai।
bahut khush hoge tum...bahut khush hoge ki aaj maiN...yahaaN aayaa...lekin tum jaante
ho ki jis waqt main yahaaN khaDaa hoon...woh aurat, jiske maathe se tumhaaree
chaukhaT ka patthar ghis gayaa, wo aurat, jispar zulm baDhe, to uskee poojaa baDhee,
wo aurat jo zindagi bhar jaltii rahee magar tumhaare mandir meN deep jalaatee
rahee ...WOH AURAT...woh aurat aaj zindagi aur maut ki sarhad par khaDee hai.
kyaa qasoor hai uskaa, kaunsaa paap, kaunsa jurm kiyaa hai usne. kyaa uskaa jurm ye
hai ki wo merii maa hai, kya uskaa jurm ye hai ki usne mujhe janam diyaa hai, kyaa
uskaa jurm ye hai ki main usse pyaar kartaa hooN. ye...ye kis jurm kee sazaa dee jaa
rahee hai use?”
Naina kaash mein tumhe bataa sakta, mein tumhe kitna chahta hoon. I love you, I love
you very very much Naina. Main aankhein band karta hoon toh tumhe dekhta hoon,
aankhein kholta hoon toh tumhe dekhna chahta hoon. Tum paas nahin hoti toh tumhe
charon taraf mehsoos karta hoon. Har pal har ghadi har waqt mere naina mere Naina ko
doondhte hain. Ise pyar kaho, paagalpan ya mere dil ki dhadkan. Mere liye ek hi baat
hai. Pyaar toh bahut log karte hain, lekin mere jaisa pyar koi nahin kar sakta, kyonki kisi
ke paas tum jo nahin ho. Main tumhe bhool nahin sakta Naina. Main tumhe bhoolna hi
nahin chahta. Tum meri ho, main tumhe zindagi bhar pyar karoonga. Marte dam tak pyar
karoonga aur uske baad bhi.
Toh kya hua agar maine jhooth sirf tumhe paane ke liye kaha tha? Toh kya hua agar
tumhare chehre ke siva mujhe koi aur chehra dikhayi nahi deta? Toh kya hua agar
tumhare naam ke siva mujhe koi aur naam yaad nahi rehta? Toh kya hua agar yeh
awara tumhe deewano ki tarah pyar karta hai? Toh kya hua? Pyaar sab kuch toh nahi
hota na…
I know such English that I will leave the British behind. You see sir, I can talk
English, I can walk English, I can laugh English, I can run English, because
English is such a funny language. Bhairo becomes Byron because their minds are
very narrow. In the year 1929 when India was playing Australia at the Melbourne
stadium Vijay Hazare and Vijay Merchant were at the crease. Vijay Merchant told
Vijay Hazare "Look Vijay Hazare Sir, this is a very prestigious match and we must
consider it very prestigiously. We must take this into consideration, the
consideration that this is an important match and ultimately this consideration
must end in a run." In the year 1979 when Pakistan was playing against India at
the Wankhede stadium Wasim Raja and Wasim Bari were at the crease and they
took the same consideration. Wasim Raja told Wasim Bari, "Look Wasim Bari, we
must consider this consideration and considering that this is an important match
we must put this consideration into action and ultimately score a run." And both
of them considered the consideration and ran and both of them got out.
Main nahin manta ki humara desh dunia ka sabse mahaan desh hai…lekin yeh
zarur manta hun ki hum mein kaabliyat hai, taaqat hai, apne desh ko mahaan
banaane ki.
Yahan par jaati ke aadhar par bhed bhaav kiya jata hai…Hum log sirf aapas
main ladte rehte hain, jab ki hume ladna chahiye ashiksha ke khilaaf, bhadti
aabadi, bhrastachar ke khilaaf.
Hum Sarkar ki taraf ungli uthate hain aur who kissi aur ki taraf. Hum sub ek
doosre ko dosh de rahe hain jab ki sachchai yeh hai ki hum sab hi doshi hain.”
He...(Laugh)
Is pistol me teen zindegi
teen maut band hai
Dekhe kisse kya milta hai,
(targetting pistol)
1st person-Ha !!
Bach gaye sala
(targetting pistol)
2nd person-- Ha !!
Gabbar--Ye bhi bach gaya !
Tera kya hoga Kaliya ?
Kaliya--S-S-Sardar Maine aapka namak
khaya Sardar !!
(targetting pistol)
Ab... Goli khaa !!
kaliya--Ah.AHH.
Gabbar-- kamaal ho gaya !!
Teeno bach gaye!
ye bhi hahahaha...(laugh)
teeno haramzadoko golise
..hahahahaha....(laugh)
hahahahaha...hahaha...hahaha..
1----hahahahahaha.....
2----hahahahahaha....
3---hahahahaha.....
Gabbar--hahahahahahahaha..
..teeno bach gaye.
ALL--hahahahahahaha.............
.............................
(3 shot sounds from pistol.........
.........
पर उठें गे किसी दिन.. उसी गंगा किनारे डमरू बाजाने को.. उन्ही बनारस के गलियो मे दौड जाने को,
किसी झोया के इश्क मे फिर से पड जाने को..!’